
Is post me mai aapko batane jaa raha hu ki kaise aap apne aas-paas ke Aadhaar Enrolment Center & Update Centre ke baare me jaan sakte hai ya pata laga sakte hai.
Dosto abhi ke time me Aadhaar Card ek bahut hi important document ban chuka hai. Aapke paas Aadhar Card hai ya nahi hai dono hi condition me aapko Aadhaar Enrolment Center Or Update Center ke jaankari ki jarurat padegi.
- Agar aapne apna Aadhaar Card abhi tak nahi banwaya hai to use banane ke liye Aadhaar Enrolment Center jaana padega. Aadhar Enrolment Centre Jaakar hi aap apne Aadhar Card banwa sakte hai.
- Aur agar aapne Aadhaar Card banwa liya hai to jab bhi aapko usme kisi tarah ka update (Change) karwana hoga to Update karwane ke liye Aadhaar Update Center jana padega.
Aadhaar Card banwana ho ya usme kisi tarah ka Update karwana ho dono hi condition me aapko kuch Document Proof lekar jana padta hai. Aadhaar Card me Liye jaane wale Document ka list aap yaha click karke dekh sakte hai.
Agar hame pata ho ki ham jaha rahte hai uske aas-paas kitne Aadhaar Enrollment Center & Update Center hai aur unme se kon hamare jyada najdik hai to hamara kaam bahut hi aasaani se ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- Aapka Aadhaad Card Active, Deactive, Valid Invalid Kaise Check Kare ?
- Apna Aadhaar Card FREE Me Download Kaise Kare ?
- Aadhaar Number Aur Enrolment Number Kho Jane Par Kya Kare ?
Is Post me mai aapko isi ke baare me detail se batane jaa raha hu ki aap Aadhaar Enrolment Center & Update Center ki detail jaankari kaha se aur kaise le sakte hai.
Aadhaar Card Enrolment Center & Update Center Kaise Find Kare ?
Iske liye aap niche bataye steps ko follow kare-
- Sabse pahle aap UIDAI ke official website https://uidai.gov.in par jaye.

- Is website me jaane ke baad apne left side me dhyan denge to “Aadhaar Enrolment” ka ek section najar aayega. Is section me “Locate Enrolment & Update Centres” ka ek link mil jayega, is link par click kare.
- Ab aap Aadhaar Enrolment Center & Update Center Find karne wale page me aa jayenge. yaha aap 3 tarah se Enrolment Center & Update Center ko find kar sakte hai- 1. State Wise, 2. Pin Code Wise, 3. Area Wise. aap jis bhi tarah se chahe search kar sakte hai.
1. Find Aadhaar Enrolment Center & Update Center State Wise
- Isme aap Search Criteria me State hi rahne de.

- Aap yaha apne anusaar information select karke jaise- State, District, Sub District, VTC(Village Town City). Isme se State ka option Mandatory hai baki ke box aap chahe to chod bhi sakte hai. Aap yaha jitna jyada information fill karenge uske hisaab se search result aayega.
- Iske niche aapko ek option “Only Permanent Centers” ka milega, agar aapko kewal permanent Centers ke baare me jaanna hai to ise tick kar de.
- Verification Code ko fill Up kar de.
- Saare information fill up karke “Search” Button par click kare.
2. Find Aadhaar Enrollment Center & Update Center Pin Code Wise
- Isme aap sabse pahle Searck Criteria me Pin Code ko select kar le.

- Ab niche aapko Pin Code enter karne ka box mil jayega, Isme aap Pin Code Enter kar de.
- Isme bhi aap chahe to “Only permanent center” ko tick kar sakte hai.
- Verification Code ko fill Up kar de.
- Saare information fill up karke “Search” Button par click kare.
3. Find Aadhaar Enrolment Centre & Update Center Area Wise
- Iske liye aap Search Criteria me “Search Box” ko select kar le.

- Ab aapko ek Search Box mil jayega isme jis bhi area ke Aadhaar Enrolment Center & Update Center ke baare me jaanna chahte hai usko type kar de.
- Isme bhi aap chahe to “Only permanent center” ko tick kar sakte hai.
- Verification Code ko fill Up kar de.
- Saare information fill up karke “Search” Button par click kare.
Upar ke 3 Method me se aap jisko bhi select karnge aur saare information ko fill up karke “Search” par click karenge, uske hisaab se Aadhaar Card Enrolment Center & Update Center ka list aapke saamne aa jayega.
Is list me jaisa ki aap upar ke image me dekh sakte hai un Aadhaar Card Enrolment Center & Update Center ka pura detail rahta hai jaise- Registrar Name, Agency Name, Center Summary ( yani Center ka Address ) Contract Person, Center Type etc.
Inhe Bhi Jaane :-
- LPG Subsidy Ke Liye Aapka Aadhaar Card Lpg Gas Link Kaise Ya Nahi Kaise Check Kare ?
- Aapka SIM Card Kiske Name Se Hai Kaise Jaane ?
- Railway Reservation Counter Me Kataye Ticket Ko Online Cancil Kaise Kare ?
Agar aapko us Aadhaar Enrolment Centre & Update Center ko Google Maps me Locate karna hai to us center ke Locate Center ( Right Side Last Option) ke niche Icon bana hua hai usme click kare. Jaise hi aap Icon me click karenge to google maps me uska location dikha dega.
Is tarah se aap kahi bhi rahte ho uske aas-paas ke Aadhaar Card Enrolment Centre & Update Center ki jaankari le sakte hai. Iske address aur Location ko Google maps me dekhkar aap decide kar sakte hai ki aapko inme se kon sa center me jana chahiye.
Is tarah se aapka kaam bahut hi aasaan ho jayega, aur badi hi aasaani se aap apne Aadhaar Card se releted kaam karwa payenge.
Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to Comment kar sakte hai. Yah post aapko kaisa laga iske baare me bhi hame Comment karke bataye.
Yah post agar aapko pasand aaya ya Jaankari ke layak laga to ise SHARE karna bilkul na bhule, SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge. Dhamyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply