Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • About Us
  • Contact Us

09/01/2018 By Santosh Kumar 2 Comments

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock / Unlock Kaise Kare ?

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock / Unlock Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  • 2
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    3
    Shares

Dosto Is Post me mai aapko Aadhaar Card ke Biometric ko Lock, Unlock and Temporary Unlock karna bataunga. Yah Aadhar Card ke security se juda hua bahut hi jaruri and kaam ki Information hai.

Ab aap soch rahe honge ki aakhir ham apne Aadhaar Card ke Biometric ko Lock ku kare. To Chaliye ab ham yah ku jaruri hai iske bare me thoda jaan lete hai.

Aadhaar Card ke Biometric ko Lock / Unlock Karna Ku Jaruri Hai.

Jaise jaise Aadhaar Card ka use badhte ja raha hai, usi tarah isse jude Fraud hone ke Case and News bhi badhte ja rahe hai. Aadhar card abhi ke time me ek bahut bada document ban gaya hai, jisko harek Account and Document se jod diya gaya hai.

Agar koi hamara Biometric ko Copy kar le to wo hamare Accounts and documents ke saath gadbadi kar sakta hai. Hamare Aadhaar Card ka detail use karke hamare Accounts me andar ki jankariya nikal sakta hai. Isse wo hamare liye kaphi problem create kar sakta hai.

Chuki ham sabhi jante hai ki Aadhaar Card Authentication Process par kaam karta hai, agar hamara Biometric Lock rahega to Biometric ( Fingerprint and Iris ) se Authentication complete nahi ho payega. Inhi khatro se bachne ke liye hame apne Aadhar Card ke Biometric ko jab bhi gadbadi lage Lock kar dena chahiye ( Gadbadi ka pata lagane ki jankari ke liye yaha click kare).

Inhe Bhi Jaane :-

  • Aapka Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
  • Aadhaar Number Aur Enrolment Number Kho Jane Par Kaya Kare ?

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock / Unlock Karne Ke Liye Jaruri Chize-

Kuch chizo ka aapke paas hona jaruri hai tabhi aap yah kaam kar payenge. jaise-

  1.  Aadhaar number jiska Biometric Lock / Unlock karna hai, aur
  2.  Us Aadhaar Number me registered mobile number (Isme aadhaar ki taraf se ek OTP aata hai)

Agar aapke paas ye dono chize hai to aap taiyar hai.

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock / Unlock Common Steps

Iske liye kuch Common Steps hai jo aapko Lock and Unlock karne time follow karna hi padta hai.

Step 1.

  • Iske liye sabse pahle aap Aadhaar Card ke official website https://www.uidai.gov.in me jaye.
  •  Is website me jane ke baad right side me “Aadhaar Services” ka ek section milega. Is section me “Lock/Unlock Biometrics” ka option milega, is option par click kare.
Aadhaar Card Lock / Unlock Biometric
Aadhaar Card Lock / Unlock Biometric

Step 2.

Jaise hi aap Lock/Unlock Biometrics par click karenge aapko ek naye page me le jaya jayega.

  • Is page me aapko left side me Aadhaar Number enter karne ke option milega. Is Box me apna Aadhaar Number enter kar de.
Enter Aadhaar Number And Security Code
Enter Aadhaar Number And Security Code
  •  Isi ke neeche ek “Enter Security Code” ka box milega jisme usi box ke right side me kuch numbers likhe hue honge usko usme enter kar de.
  •  Iske baad neeche diye hue “Send OTP” ke option par click kare.

Step 3.

Jaise hi aap send otp ke option par click karenge, us Aadhaar ke saath Registered Mobile Number par ek OTP aayega.

  • Is OTP ko right side me “Enter OTP” wale box me bhar dijiye.
Aadhar Card Ke Biometric Lock / Unlock
Aadhar Card Ke Biometric Lock / Unlock
  •  OTP bharne ke baad neeche me “Login” ka button milega, ab is button ko click kare.

Isse aap Aadhar Card ke Biometric wale page me Login ho jayenge. Isi page se aap apne Aadhaar Card ke Biometric ko Lock, Unlock and Temporary Unlock kar sakte hai.

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock Kaise Kare ?

  • Iske liye aap upar ke Common Step 1 to Step 3 ko follow karke Login kar le.
  • Agar aapke aadhaar card ka biometric lock nahi hoga to waha Left side me likha hua aayega “Your Biometric Lock is currently disabled” iska matlab hai ki is aadhaar ka biometric lock nahi hai aur aap ise kahi bhi fingerprint ya iris scan karke authenticate kar sakte hai.
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Lock
  •  Ab agar aap is biometric ko Lock karna chahte hai to aap right side me diye gaye “Enter Security Code” wale box me uske saamne me diye gaye numbers ko enter kar de.
  •  Security numbers enter karne ke baad wahi neeche me “Enable” ke button ko click kijiye.
  • Ab aapke saamne “Congratulations! Your Biometric is locked.” likha hua aayega.
Aadhar Card Biometric Lock Confirmation Message
Aadhar Card Biometric Lock Confirmation Message
  • iska matlab hai ki aapke aadhaar ka biometric Lock ho gaya hai aur ab fingerprint aur iris scan karke aadhaar authenticate nahi kar sakte hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Aadhaar Card Ke Enrolment Center And Update Center Ka Pata Ghar Baithe Kaise Lagaye ?
  • Aadhaar Card Banwane And Update Karwane Ke Liye Kon-Kon Se Document Liye Jate Hai ?

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Unlock Kaise Kare ?

Agar aap kabhi apne Aadhaar card ke Biometric ko Unlock karna chahe to neeche ke Steps ko follow kare.

  •  Iske liye aap upar ke Common Step 1 to Step 3 ko follow karke Aadhaar card Biometric wale page me Login kar le.
  •  Agar aapke aadhaar card ka biometric lock hoga to waha left side me “Your Biometric Lock is currently enabled” likha hua aayega, iska matlab hai ki is aadhaar ka biometric lock hai.
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Unlock
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Unlock
  •  Agar aap us aadhaar ke biometric ko Unlock karna chahte hai to right side me diye hue “Enter Security Code” wale box me uske saamne me diye gaye numbers ko enter kar de.
  •  Security numbers enter karne ke baad wahi neeche “Disable” ka button hoga usko click kijiye.
  •  Jaise hi aap Disable par click karenge aapke saamne “Your Biometric is disabled” likha hua aayega.
Aadhaar Card Biometric Unlock Confirmation Message
Aadhaar Card Biometric Unlock Confirmation Message
  • iska matlab hai ki aapke aadhaar ka biometric unlock ho gaya hai. Ab aap fingerprint aur iris scan karke aadhaar authenticate kar sakte hai.

Ab aap jaan chuke hai ki Aadhaar Card ke Buiometric ko Lock and Unlock kaise karte hai.

Agar aapke Aadhar Card ka Biometric lock hai to kaam padne par aap ise Temporary Unlock yani 10 Minute Ke Liye unlock bhi kar sakte hai. chaliye ab iske baare me jaan lete hai.

Aadhaar Card Ke Biometric Ko Temporary Unlock Kaise Kare ?

Iske liye sabse pahle us aadhar card ka biometric lock hona jaruri hai, tabhi aap use temporary unlock kar sakte hai. Ise Temporary Unlock karne ke liye in Steps ko follow kare-

  •  Iske liye aap upar ke Common Step 1 to Step 3 ko follow karke Aadhaar Card Biometric wale page me Login kar le.
  •  Agar aapke aadhaar card ka biometric lock hoga to waha left side me “Your Biometric Lock is currently enabled” likha hua aayega, iska matlab hai ki is aadhaar ka biometric lock hai.
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Temporary Unlock
Aadhaar Card Ke Biometric Ko Temporary Unlock
  •  Biometric ko Temporary Unlock karne ke liye is page ke right side me “Enter Security Code” ka box milega, aap is box ke saamne me diye gaye numbers ko isme enter kar de.
  •  Iske baad neeche “Unlock” ka button milega, usko click kijiye.
  • Jaise hi aap Unlock par click karenge aapke saamne “Your Biometric is unlock” likha hua aayega. Saath hi kitne time tak yah unlock rahega wah bhi likha hua hoga.
Biometric Unlock Confirmation Message
Biometric Unlock Confirmation Message

Iske baad aap 10 minutes ke andar Fingerprint aur Iris scan karke aadhaar authenticate kar sakte hai. 10 minutes ke baad us aadhaar card ka biometric automatic lock ho jayega.

Is tarah se aap Biometric ko Temporary Unlock yani 10 Minute Ke Liye unlock kar sakte hai. iska use aap tab kar sakte hai jab aapko thodi der ke liye apne aadhaar card ke biometric se Authentication karne ki jarurat padega.

Ab mujhe ummid hai ki aapko Aadhaar card Ke Biometric ko Lock, Unlock and Temporary Unlock karne se judi detail jankari ho gaya hoga.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Aadhaar Card Ka Status Active, Deactivate, Valid or Invalid Kaise Check Kare ?
  • Apna Aadhaar Card FREE Me Download Kaise Kare ?

Aapne is Post ko ant tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.

Aap hamare saath sabhi Social Media platform me jud sakte hai jaise- YouTube, Facebook, Twitter etc hamare sabhi Social Media handles “Explain In Hindi” name se hi hai. Dhanyawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

http://www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  • 2
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    3
    Shares
  •  
    3
    Shares
  • 2
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  

Related Posts For You:

  1. Aadhaar Card / E-Aadhaar Card Download Kaise Kare ?
  2. LIC Policy Ko Aadhaar Card And PAN Card Se Link Kaise Kare In Hindi ?
  3. SBI ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?
  4. Aadhaar Card Enrolment Center And Update Centre Ko Find, Pata Kaise Kare ?

Filed Under: Aadhaar Card, Security Tips Tagged With: Aadhaar Card, Aadhaar Card Biometric, Aadhaar Card Lock, Aadhaar Card Unlock

RECOMMENDED POST FOR YOU

JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill Online Pay Kaise Kare ?

JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill (Electricity Bill) Online Pay Kaise Kare ?

YouTube Video Me Multiple Ads Kaise Lagaye

YouTube Video Me Multiple Ads Lagakar Income / Earning Kaise Badhaye

ATM Ka Use Kaise Kare ? ATM Se Paise Kaise Nikale ?

ATM Ka Use Kaise Kare ? ATM Se Paisa Kaise Nikale ? Puri Jaankari

How To Check Aadhaar Card Update History In Hindi ?

Aadhaar Card Update History / Status Kaise Check Kare ?

IGNOU BA History Honours Courses,Subjects, Subject Codes Ki Detail Jaankari

IGNOU BA History Honours Courses,Subjects, Subject Codes Ki Detail Jaankari

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. Chandra mohan Singh says

    21/02/2018 at 11:29 PM

    Savse pahle meri subsidy pNB wazirganj men jaati thhi. 23.01.2017 ko 171.29 ke bad 11.07. 2017 ki subsidy va ab tak ki subsidy Sarva up gramin bank wazirganj men ja rahi hai, distributer ne bank account number Sarva up gramin bank ka account number bhai nhi bataaya, bank ka manager bhai account number bataane ko rajI nhi hai, chandra mohan Singh naam se Sarva up gramin bank men koi account nhi hai, joki bank ke manager ne search kar ke bataaya.

    Reply
    • Santosh Kumar says

      22/02/2018 at 8:51 AM

      Aap apne GAS Company ke Customer Care se contact kijiye, Saath hi apne Gas Distributor se apna bank account link karne ko boliye.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?
  • IGNOU BA Political Science Honors Syllabus, Eligibility, Subject Code Detail Information
  • IGNOU BA Mathematics Honors Syllabus, Eligibility, Subject Code Detail Information

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (16)
  • Banking (40)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2019 ExplainInHindi All Rights Reserved