
Dosto, Jaisa ki ham sabhi jaante hai ki Bharat Sarkar ke niyamanusar sabhi Bank Account ko Aadhaar se link karwana hai. Agar ham aisa nahi karte hai to hamara Bank Account band kar diya jayega.
Link karwane se pahle hame yah janna hoga ki hamara kon kon sa Bank Account Aadhaar se link hai aur kon sa nahi hai. Agar aapne apna Bank Account Aadhaar se link karwa liya hai to yah Confirm karna jaruri hai ki wah Properly link hua hai ya nahi.
Is post me mai is Topic par detail se batane jaa raha hu ki kaise aap yah check kar sakte hai ki aapka Bank Account Aadhaar Card Number se Link hai ya nahi ? How to check your Bank Account Linked With Aadhaar Card Number or Not In Hindi ?
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?
- LPG Subsidy Ke Liye Aadhaar – LPG Gas Linking Status Kaise Check Kare ?
Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Check Karne Ke Kitne Tarike Hai ?
Yah check karne ke kai tarike hai. Inme se mai is post me 3 sabse aasaan tarike batane jaa raha hu.
- UIDAI (Aadhaar Card) ke website se Online.
- *99*99# me call karke Offline.
- Apne Bank Ke Branch se.
UIDAI Ke Website Se Aadhaar Bank Account se Link Hai Ya Nahi Online Kaise Check Kare ?
Yah suwidha UIDAI yani Aadhaar Card ne apne Website me diya hai, jisse aap apne Aadhaar Number aur Bank Account ke linking status ko check kar sakte hai. iske liye aap niche ke steps ko follow kare –
- Sabse pahle UIDAI ke official website https://uidai.gov.in par jaye.
- Is website me janne ke baad waha par ek “Aadhaar Services” ka column mil jayega. Iske niche kai links honge inme se aap “Check Aadhaar & Bank Linking Status” ke option par click kare.

- Ab aapko ek new page me le jaya jayega. Is page me aapko aapka Aadhaar Number enter karne ke jagah mil jayega. Is jagah par apna 12 digit ka Aadhaar Card Number enter kar de.

- Iske niche aapko Security Code ko enter karna hai.
- Dono information (Aadhaar Number, Security Code ) ko enter karne ke baad “Send OTP” par click kare.
- Ab aapke Registerd Mobile Number me 6 digit ka OTP aayega. Is OTP ko “Enter OTP” ke box me enter kar de.

- OTP enter karne ke baad “Login” ke button par click kare.
- Jaise hi aap Login par click karenge aapke saamne Aapka Bank Account and Aadhaar Linking status aa jayega.

- Agar aapka account link hoga to Aadhaar Number, Linking Status, Linking Date and Bank Ka Name saari detail aapke saamne aa jayega.
Is tarah se aap UIDAI Ke Website se online Aadhaar Bank Account linking Status check kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- Laptop, Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye Ya Use Kare ?
- Aadhaar Card Ka Status Active, Deactive Kaise Check Kare ?
*99*99# Se Offline Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare ?
Iski sabse achhi bat yah hai ki iske liye mahangi mobile ya internet connection ki koi jarurat nahi hai. Isse ek aam admi bhi chote mobile se check kar sakta hai. Iske liye niche ke steps ko follow kare –
Step 1
Iske liye aap sabse pahle apne Account Number me registered Mobile Number se *99*99# Dial karna hai. Dial karte hi aapke Screen me likha hua aayega:-
Welcome to *99*99# service. Select your option-
1. Aadhaar Linking Status.
2. PMJDY A/C Overdraft Status.

Ab aapko Answer me jakar isme 1 likhkar “Send” karna hai.
Step 2
Jaise hi aap 1 likhkar Send karenge aapko aapka 12 digit ka Aadhaar Number manga jayega.

Ab aap Answer me jakar apna 12 digit ka Aadhaar Number likhkar “Send” me click kare.
Step 3
Jaise hi aap apna Aadhaar Number likhkar Send me Click karenge aapke Screen me aapka Aadhaar Number dikhya jayega aur aapke pucha jayega ki jo Aadhaar Number dikhaya ja raha hai wah sahi hai ya nahi ? Aapke paas do option hoga
1. Confirm
2. Change

Agar aapka Aadhaar Number sahi hai to usme 1 likhkar “Send” karna hai. Agar dikhaya gaya Aadhaar Number galat hai to usme 2 likhkar Send kare aapko ek step piche bhej diya jayega. Ab aap fir se apna Aadhaar Number Change kar sakte hai.
Step 4
Jaise hi aap Answer me 1 likhkar Send karenge aapke paas aapka Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya nahi bata dega.

Agar link hai to sara detail aapke saamne hoga. Itna hi nahi isme yah bhi likha rahega ki isme kis date ko Last Update kiya gaya tha.
Inhe Bhi Jaane :-
NOTE :- Dosto upar ke dono tariko me aapko kewal us 1 Bank Account se Aadhaar link ka status batayega jisse sabse last me Linking Process hua hai. Agar aapke paas 1 se jyada Bank Account hai aur sabhi me Aadhaar Number link hai tab bhi sabhi Account ka status nahi bataya jayega.
Agar aapke paas kewal 1 Bank Account hai tab upar ke kisi bhi Process ko follow kar sakte hai. Agar aapke paas 1 se jyada Bank Account hai to aapko 3 rd Process karna hoga.
Bank Ke Branch Me Jaakar Aadhaar Card Bank Account se Link Hai Ya Nahi Pata Karna ?
Iske liye aapko apna Aadhaar Card aur Bank Account ko lekar apne Bank ke Branch me jaye. Branch me jaakar waha ke Employee se apna Account aur Aadhar Link status puchiye. Waha ke employee aapka Bank Account and Aadhar Number linking status check karke aapko bata denge. Aapke paas jitne bhi bank account hai sabhi ke liye aap same process kar sakte hai.
In 3 tariko ke alawa kai aise bank bhi hai jo apne Official website me bhi yah option diya hua hai. Union Bank Of India ne bhi apne website me yah check karne ka direct link diya hua hai, Jiski jaankari yaha click karke aap le sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- India Post Office Ka Complaint Or Shikayat Central Gov. Ko Kaise Kare ?
- Aapka SIM Card Kiske Name Par Hai Kaise Check Kare ?
Mujhe ummid hai ki is post se aapko bahut laabh hoga. Jaldi se aap apne Aadhaar Number Bank Account se Link hai ya nahi check kar lijiye.
Aapko yah Post kaisa laga hame Comment karke bata sakte hai. Apne sawal bhi hame Comment karke puch sakte hai.
Aapne is Post ko Last tak padha yaani aapko yah Post pasand aaya aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member aur Social Media me SHARE karne bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad.
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply