
Dosto Kya aapka Aadhaar Number Aur Enrolment Number kho gaye hai ? Aur ab aapko Aadhaar Card ya Enrolment Slip nahi mil raha hai ? Aise condition me aap aadhaar card ko download bhi nahi kar payenge. Agar aapko iska solution janna hai to is post ko padhte rahiye.
Agar ham Aadhaar Number aur Enrolment Number ka pata laga le to uska use karke apna Aadhaar Card nikal sakte hai. Is E-Aadhaar ko Print karwakar ham kahi bhi original Aadhaar Card ki tarah use kar sakte hai.
Is Post me mai aapko ek aisa tarika batane ja raha hu jisse aap 2 minute se bhi kam time me apna Aadhaar Number aur Enrollment Number dono ko kahi bhi Pata kar sakte hai. Chaliye ab detail se iske baare me jan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- Aapka Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
- Aapka SIM Card Kiske Name Par Hai Kaise Pata Kare ?
Aadhaar Number / Enrolment Number Ko Pata Karne Ke Liye Kya-Kya Chahiye ?
Iske liye do jankari ka apke paas hona jaruri hai.
- Name jaisa ki aapke aadhaar card me likha hua hai.
- Aadhaar Card me Registered Mobile Number ya E-mail id.
Agar aapke paas ye dono jankari hai to aap taiyar hai.
Aadhaar Number Kho Jane Par Ise Pata Kaise Kare ?
Aadhaar Number Retrive karne ke liye neeche ke steps ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap Aadhaar ke official website https://uidai.gov.in par jaye.
- Iske home page me hi aapke left side me “Aadhaar Enrolment” section mil jayega. Iske neeche “Retrieve Lost UID/EID” ka link milega, Is link par click kare.
Step 2.
Ab aap ek new page me aa jayenge. Is Page me aapko apna Personal detail fill up karna padega jisse aapka Aadhaar Number Pata chal sake.

- Aapke left side me aap “Aadhaar Number (UID)” ke option ko select kar le.
- Ab aap Personal Detail wale section me aa jaye aur apna full Name enter kar de. ( Dhyan rakhe jaisa name aapke Aadhaar Card me hai same to same yaha enter karna hai”
- Iske baad apne Aadhaar Card me Registerd Mobile Number ya Email Id me se koi ek ko fill up kar de.
- Iske neeche Security Code ko enter kar de.
- Upar ke teeno information ko fill up karne ke baad “Send OTP” par click kare.
Step 3.
- Jaise hi aap Send OTP par click karenge aapke Mobile Number ya Email Id jo bhi aapne enter kiya hai usme Aadhaar ki taraf se 6 degit ka OTP aayega. Is OTP ko isi page ke right side ke “Enter OTP” wale box me enter kar de. (Upar ke image me dekhe)
- OTP enter karne ke baad “Verify OTP” par click kare.
- Iske baad aapke samne Congratulations ka page aa jayega.

- Iske kuch hi der me aapka Aadhaar Number SMS/Email ke dwara aapko mil jayega.

To tha na apne Aadhaar Number ko Pata karna aasaan. Chaliye ab Enrolment Number kaise pata karte hai isko jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- Apna Nazdiki Aadhaar Enrolment Center And Update Center Kaise Pata Kare ?
- Aadhaar Card Banwane Ya Update Karwane Ke Liya Kya Kya Document Liya Jata Hai ?
Enrolment Number Kho Jane Par Ise Pata Kaise Kare ?
Enrolment Number Retrive karne ke liye neeche ke steps ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap Aadhaar ke official website https://uidai.gov.in par jaye.
- Iske home page me hi aapke left side me “Aadhaar Enrolment” section mil jayega. Iske neeche “Retrieve Lost UID/EID” ka link milega, Is link par click kare.

Step 2.
Ab aap Enrolment Number pata karne wale page me aa jayenge. Is Page me aapko apna Personal detail fill up karna padega jisse aapka Enrolment Number Pata chal sake.

- Aapke left side me aap “Enrolment Number (EID)” wale option ko select kar le.
- Ab aap Personal Detail wale section me aa jaye aur apna Full Name enter kar de. (yaha dhyan rakhe apna name jaisa Aadhaar Card me hai waisa hi yaha enter kare)
- Iske baad apne Aadhaar Card me Registerd Mobile Number ya Email Id dono me se koi ek ko fill up kar de.
- Iske neeche Security Code ko enter kar de.
- Upar ke teeno information ko fill up karne ke baad “Send OTP” par click kare.
Step 3.
- Jaise hi aap Send OTP par click karenge aapke Mobile Number ya Email Id jo bhi aapne enter kiya hai usme Aadhaar ki taraf se 6 degit ka OTP aayega. Is OTP ko isi page ke right side ke “Enter OTP” wale box me enter kar de. (Upar ke image me dekhe)
- OTP enter karne ke baad “Verify OTP” par click kare.
- Iske baad aapke samne Congratulations ka page aa jayega.

- Iske kuch hi der me aapka Enrolment Number (EID) SMS/Email ke dwara aapko mil jayega.
Is tarah se aap badi hi aasaani se apne khoye hue Aadhaar Number and Enrolment Number ko Pata kar sakte hai. Inko pata karke aap apne Aadhaar Card khud bhi Download kar sakte hai- Iski detail jankari ke liye yaha click kare.
Apna Aadhaar card download karke ise aap Print karwa le aur iska use Original Aadhaar Card ki tarah kahi bhi kar sakte hai. To ho gaya na aapka Aadhaar Number aur Enrolment Number kho jane ka Problem Solve.
Inhe Bhi Jaane :-
- Aadhaar Card Ka Status Active, Deactivate,Valid Or Invalid Kaise Check Kare ?
- SBI ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Se Link Kaise Kare ?
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare saath sabhi Social Media platform me jud sakte hai jaise- YouTube, Facebook, Twitter etc hamare sabhi Social Media handles “Explain In Hindi” name se hi hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply