
Dosto ATM card to ham sabhi use karte hai, lekin kya aap ATM Card use karte time kya-kya savdhaniya rakhni chahiye ye jante hai ?
ATM Card se related maximum Fraud hamare Savdhan na rahne ke karan hote hai. Agar ham ATM Card use karte time kuch Savdhaniyo ko yaad rakhe to iske Fraud ko kam kar sakte hai. Saath hi apne detail ko bhi surakshit rakh sakte hai.
Agar aap janna chahte hai ki ATM Card use karte time kya-kya Savdhaniya yaad rakhni chahiye to is Post ko padhte rahiye. Is Post me mai isi topic ” ATM Card Use karte time yaad rakhne wale Savdhaniya- Kya Kare ? Kya Na Kare ? ” ke bare me detail se jankari dene ja raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
ATM Card Use Karte Time Savdhaniya – Kya Kare ?
ATM Card Use karte time Savdhaniyo me Kya Kare ? iske bare me neeche padh sakte hai.
- Waise anjan logo se savdhan rahe jo ATM me aapse baten karke aapko engage karne ki kosis kare.
- ATM me andar jate hi yah dhyan rakhe ki koi aisa device to nahi laga hua hai jo aapke activity ko record kar raha hai.
- ATM machine me apna card ko swipe karne se pahle yah dekh le ki aapke alawa koi aur to us ATM Room me nahi hai na . Agar koi aur hai to use waha se jane ko bole aur uske jane ke baad hi aap apne ATM Card use kare.
- Apna ATM PIN dalte time ATM keypad ko apne hatho se dhak le, taki aapka ATM PIN koi aur dekh na le.
- ATM Room ko chodne se pahle dekh le ki ATM Machine me Welcome Screen aaya hai ya nahi. Agar Welcome Screen nahi aaya hai to Room ko chodkar bahar na jaye.
- ATM Room ko chodne se pahle dekh le ki ATM Machine me ATM Swipe karne ke jagah par LED Blink karna start kiya hai ya nahi. Agar LED Blink karna start nahi kiya hai to Room ko chodkar bahar na jaye.
- Agar kisi karan se Transaction pura nahi ho sakta hai to ATM Machine me Welcome Screen and LED Blink hone ka intijar kijiye, uske baad hi Room ko chodkar bahar jaye.
- ATM Room chodne se pahle ho sake to “Cancel” button ko ek bar press jarur kare.
- ATM Security ke liye harek kuch dino par ATM PIN ko change kar dena chahiye.
Inhe Bhi Jaane :-
- Online Shopping Karte Time Rakhe In 5 Savdhaniyo Ko Yaad
- SBI ATM / Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
- BOI ATM / Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
ATM Card Use Karte Time Savdhaniya- Kya Na Kare ?
ATM Card Use karte time Savdhaniyo me Kya Na Kare ? iske bare me neeche padh sakte hai.
- ATM ke Magnetic Strip par kisi bhi tarah ka nuksan na pahuchaye.
- Apna ATM Card kisi aur ko na de chahe wo aapka nazdiki rishtedar, Dost ya Bank ke Staff hi kyon na ho.
- Kabhi bhi ATM PIN ko card me ya kahi bhi likhkar na rakhe.
- Kabhi bhi apna ATM PIN kisi aur ko na bataye, chahe wo aapka Family Member, Dost, ya Bank ke staff hi kyon na ho.
- ATM Machine me apna ATM PIN enter karne time use kisi aur ko dekhne na de.
- Apne ATM Card aur ATM PIN ke bare me kisi ko telephone par na bataye.
- Paise nikalne ke baad use achchi tarah se gin le, sahi hone par usko packet me rakhne ke baad hi ATM Room ko chode.
- ATM ka use karne ke liye kisi aur se ya suraksha guard se help na le.
New ATM Card Milne Par Kya-Kya Savdhaniya Yaad Rakhe ?
Jab bhi hame New ATM card milta hai to turant kuch Savdhaniyo ko Apnana chahiye. Inke bare me neeche padh sakte hai-
- Apna new ATM Card milte hi turant uske peechhe apna Signature jarur kar de.
- Agar aapko ATM Card ke saath PIN mila hai to use yaad kar le aur PIN ke letter ko khatm kar de.
- PIN milte hi use change kar lena chahiye. Bank ki taraf se mile PIN ko jyada dino tak use nahi karna chahiye.
- Apne Transaction ki jankari ke liye bank me apna mobile number Register jarur karwaye.
- Harek kuch dino me apne Bank Account ke transaction par dhyan de, kisi tarah ki gadbadi par bank se contact kare.
Inhe Bhi Jaane :-
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
- Aapka Aadhaar Card Ka Status Active, Deactivate, Valid, Invalid Kaise Pata Kare ?
Upar ke Savdhaniyo ko dhyan me rakhkar agar ham apna ATM Card use kare to ham ATM Fraud se bach sakte hai. Ab mujhe ummid hai ki aap in Savdhaniyo ko dhyan me jarur rakhenge, aur iske bare me dusro ko bhi batayenge.
Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me itna SHARE kar dijiye ki sabhi logo ko in Savdhaniyo ke bare me pata chal jaye. Is Post ko SHARE karke aap Bahut sare logo ko ATM Fraud se bachne me madad karenge. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply