
ATM Ka Use Kaise Kare ? How To Use ATM In Hindi ? ATM Se Paisa Kaise Nikale ? How To Withdrawal Money From An ATM ? In Sabhi Sawalon Ke Jawab Aapko Is Post Me Mil Jayega.
ATM iska full form “Automated Teller Machine” hai, ek aisa electronic machine hai jiski sahayata se hum banking se jude kaam bina bank gaye bhi kar sakte hai. Iska ek aur benefit ye bhi hai ki hamara Bank Account kisi bhi branch me ho ATM Card ki sahayta se hum pure World me kahi par bhi banking ki suvidhayen le sakte hai.
ATM ke inhi benefits ke karan ye itna popular ho gaya hai ki ab iske bina kisi ka bhi kaam chalna muskil hai. Lekin jab kisi ko new ATM Card bank ke through milta hai to unke man me kuch sawal jarur hote hai jaise –
- ATM ka use kaise kare ?
- ATM se paisa kaise nikale ?
- ATM Card ko activate kaise kare ?
Agar aapko bhi ATM Card new mila hai aur aapke man me bhi is tarah ka sawal hai to aap is Post ko pura padhiye, is post me mai batane ja raha hu ki aap ATM Card ka use karke ATM machine se paise kaise nikalenge.
Ye Bhi Jaane :-
- PNB New ATM Card Activate Kaise Kare ?
- SBI ATM PIN Change Kaise Kare ?
- Apna Gmail Account Free Me 5 Minute Me Kaise Banaye ?
ATM Se Paisa Kaise Nikale ?
Harek Bank ke ATM ke options me kuch difference rahta hi aapko iska dhyan rakhna hoga. ATM se paise nikalna bahut hi aasaan hai iske liye bas aap niche bataye steps ko follow kare –
- Sabse pahle aap kisi bhi ATM me jaye.
- Waha pe aapko ATM Machine nazar aayega, Usme Right side me ek jagah par LED jalti nazar aa jayeg.
- LED ke paas aapko apna ATM Card swipe karna hai.
- ATM Card swipe karte hi screen par kuch option nazar aa jayenge usme se ”Banking” option ko select kare.
- Ab aapko ATM Screen par kuch language nazar aa jayengi usme se aap aage ke option jis bhi language me dekhna chahte hai usko select kare.
- Uske baad aapko aapka ATM PIN manga jayega, ab aap keypad ki sahayta se apna ATM PIN enter kar de.
- Jaise hi aap ATM PIN enter karenge, ATM screen par banking se related options aa jayenge, inme se “CASH WITHDRAWAL” ke option ko select kare.
- Iske baad aapko apna Account Type ko select karna hai. Apka Account jis bhi type ka hai usko select kar le.
- Iske baad ATM screen par ”Please Enter Amount” likha hua aa jayega. Yaha per ab aapko jitna bhi paisa nikalna hai use enter kar dena hai.
- Amount enter karne ke baad confirm karne ke liye “YES” ke option ko select karna hai.
- Ab jitne paise aapne enter kiye hai wo paise bahar aayenge, un paiso ko collect kar le.
- iske baad us machine se ek slip niklegi jisme us Transection se related saari information hogi, usko apne paas rakh le.
Isi ke saath aapka paisa nikalne ka process complete ho jata hai ab aap us ATM Room se bahar aa sakte hai. Lekin ATM Room se bahar aane se pahle aapko kuch saavdhaniya baratni chahiye, jisse aapke account aur ATM se related information chori na ho sake.
Ise Bhi Jaane :-
- SBI ATM PIn Bhul Gaya Usko Reset Kaise Kare ?
- YouTube Me Apna Channel Kaise Banaye ?
- Apna Aadhaar Card Free Me Download Kaise Kare ?
ATM Ka Use Karte Time Jaruri Savdhani
Hame ATM ka use karte time kuch chizon ka dhyan rakhna chahiye jisse hamare Paise, Account aur ATM Card se related jankariyan ( Information ) surakshit ( Safe ) rah sake, jo niche hai-
- ATM ka use karte time us ATM Room me Aapke alawa koi na ho.
- ATM PIN daalte time keypad ko dhak ke PIN ko enter kare.

- Jab paise nikal jaye to acchi tarah se mila le aur sunischit kar le ki saare note sahi hai.
- ATM chodne se pahle yah dhyan rakhe ki us ATM par Home Screen aa jaye.
- ATM Room chodne se pahle dhyan rakhe ki jaha par aapne ATM Card ko swipe kiya tha waha par wo LED jalna bujhna start kar de.
ATM Ka Use Kaise Kare ? How To Use ATM In Hindi ? ATM Se Paisa Kaise Nikale ? Detail Hindi Video Tutorial
In saawdhaniyon ko dhyan me rakh kar hi ATM ka use karna chahiye. Agar aap aur bhi koi Suraksha jaante hai to Comment karke bataye ham use bhi saamil karenge.
To aapne dekha ATM ka use karna aur ATM se paisa nikalna kitna aasaan hai. Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to hamare Comment Box me Comment kare, hame aapka madad karke khushi hogi.
Agar aapko yah post pasand aaya aur jaankari ke layak laga to ise Social Media me SHARE karna bilkul bhi na bhule. SHARE karke aap dusre jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply