
Dosto, Bahut intezaar ke baad aakhirkar Bank Of India ne bhi BOI ATM PIN Generate karne ka Facility Provide kar hi diya. Is facility ke liye BOI ke sabhi Customer ne kaphi intezaar kiya hai. Is Facility se hame kaphi benefit hone wala hai jaise-
- ATM PIN bhul jaane par ab hame bank jaane ki koi jarurat nahi hai. Ham khud se hi New PIN set kar sakte hai.
- New BOI ATM Card milne ke baad ab hame PIN ke liye Bank jaane ki jarurat nahi hai. Ham khud se hi New BOI ATM Card ka PIN Generate karke use Activate kar sakte hai. etc
In benefits ka labh uthane ke liye aapko janna jaruri hai ki ATM Card ka PIN Generate kaise karte hai. Agar aap janna chahte hai to is Post ko padhte rahiye. Is Post me mai isi topic Bank Of India ATM Card Ka PIN Generate Kaise Kare ? How To Generate BOI ATM PIN In Hindi ? par detail se jankari dene jaa raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Register / Apply Kaise Kare ?
- BOI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
- Aapka Bank Account Aadhaar Card Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
BOI ATM PIN Generate Karne Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye ?
Bank Of India ke ATM Card ka PIN Generate karne ke liye aapke paas 2 cheeje honi jaruri hai.
- ATM Card jiske liye PIN Generate karna hai.
- ATM Card ke Account me Registered Mobile Number.
Agar aapke paas ye dono cheeje hai to aap taiyaar hai PIN Generate karne ke liye.
Bank Of India BOI ATM Card Ka Green PIN Generate Kaise Kare ?
PIN Generate karna bahut hi aasan hai. Aap niche ke steps ko follow kare –
- Sabse pahle aap BOI ke kisi bhi ATM me chale jaaye.
- ATM me jaakar apne BOI ka ATM Card waha ke ATM Machine me “Swipe” kar le.
- Ab aapko aapka language select karne ko bola jayega. Yaha aap aage ke options jis bhi bhasha me dekhna chahte hai us Language ko select kar le.
- Language select karte hi aapke samne 2 option aayega. Inme se “(FORGOT/CREATE PIN) GREEN PIN” ke option ko select kare.
- Ab dubaara se aapke saamne 2 option aayenge. Inme se “GENERATE OTP” ke option ko select kare.
- Jaise hi aap GENERATE OTP ko select karenge, aapke Registered Mobile Number me BOI ke taraf se ek message aayega. Is message me aapka 6 digit ka OTP rahega, yahi aapka Generated PIN hai.
Yaha par aapka PIN Generate karne ka Process complete ho jaata hai. Aapke Registered Mobile number me jo 6 digit ka OTP aaya hai wahi Green PIN hai. Yaha dhyan rakhne wali baat yah hai ki jo OTP aata hai uska validity kewal 10 Minute ka hota hai. Agar aapne us OTP ka use 10 Minutes tak nahi kiya to wah invalid ho jayega.
Apne ATM Card ka PIN Forgot ya New PIN Create karne ke liye is OTP ko Validate karna padega. OTP ko Validate karne ke baad hi aapka process complete hoga.
BOI ATM Card Ke Generated Green PIN OTP ko Validate Kaise Kare ?
BOI Green PIN OTP ko Validate karne ke liye Niche ke steps ko follow kare-
- OTP aa jane ke baad us ATM Card ko dubara se ATM Machine me “Swipe” kar le.
- Ab aapko aapka language select karne ko bola jayega, Yaha Language ko select kar le.
- Language select karte hi aapke samne 2 option aayega. Inme se “(FORGOT/CREATE PIN) GREEN PIN” ke option ko select kare.
- Ab dubara se aapke saamne 2 option aayega. Inme se “VALIDATE OTP” ke option ko select kare.
- Ab aapko 6 digit ka OTP manga jayega. Aapke mobile me aaya 6 digit ka OTP yaha Enter kar de.
- OTP enter karne ke baad “Continue” par click kare.
- Aapko aapka “New PIN Enter” karne ko bola jayega. Yaha aap jo bhi PIN rakhna chahte hai use enter kar de.
- Ab aapko “New PIN Re-Enter” karne ko bola jayega. Yaha abhi abhi jo PIN aapne enter kiye tha use Re-Enter kar de.
- PIn Re-Enter karte hi ATM Screen par “Your PIN is Changed / Created Successful” likha hua aa jayega.
Dosto aap is complete process ko follow karke apne ATM Card ka PIN bhul gaye hai to ise dubara se set kar sakte hai, Saath hi New ATM Card ko Activate bhi kar sakte hai. In kaamo ke liye ab aapko Bank ka chakkar lagane ki koi jarurat nahi hai.
BOI ATM Green PIN Generate And Activate Complete Process In Hindi Video Tutorial
Inhe Bhi Jaane :-
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Gaye ? Ise Dubara Forgot / Reset Kaise Kare ?
- ATM Se Apna Bank Balance Check Kaise Karae ?
NOTE :- Is Facility ko abhi BOI ke sabhi ATM me provide nahi kiya jaa saka hai. BOI dhire dhire yah apne sabhi ATM Machine me Provide kar rahi hai. Aap apne nazdiki BOI ATM me jaakar check kar sakte hai, ho sakta hai usme is facility ko provide kar diya gaya ho.
Mujhe ummid hai ki ya Post aapke liye kaphi useful saabit hoga. Isse aapko bahut benefit hone wala hai.
Aapne is Post ko last tak padha yani aapko yah Post pasand aaya aur jankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre jaruratmand logon ki madad kar sakte hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Sir Mera atm leker aa gya. Or kya usi form k andar pin rhta h. Boi Ka Jaise phle tha. Ya fir atm machine se hi hoga
Pin agar aapko nahi mila hai to aap ise Generate kar lijiye, jyada better rahega.
Sir mera atm nahi mila hai mujhe atm kese milega
Aap apne bank me jakar ATM Card ke liye apply kariye mil jayega
Bank se atm Lane ke bad kitne dino me pin janrate Kar sakte hai ya turant pin janrate ho jata hai
Iske liye koi nischit time nahi hai. Aap chahe to turant Generate kar sakte hai ya baad me bhi kabhi bhi Generate kar sakte hai.
Jab validate otp ka option dalte hain to usme insert your card ka option aa jata hai aisa kyun
To apna ATM Card insert kijiye isme koi dikkat nahi hai.
Mere bde papa ka tam new Aya he ab vo khi chle gye he gumsuda ho gye or atm ke sat me password nhi aaya vh jo ki 30 dino ke under me aana tha usko kaffi time ho gya ab me atm ka use kese kru
Agar aaoke pass registered mobile number hai to is post ko padhkar activate kar lijie aur ATM Card ko use kijiye. Agar nahi hai to bank me contact kijiye.
rupay card me agar sir balance below 100 hai toh otp nai aata hai kya aisa hum boi ke 5 atm me try kar chuke hai transaction timeout ho jaa raha hai..
moblie no bhi update hai tab bhi qki balance dalne pe turant msssgg aa jata hai
BOI ne apne harek ATM me is system ko add nahi kiya hai. Aap pane branch jakar iske bare me baat kijiye waha aapko pata chal jayega ki nazdiki kis BOI ATM me yah facility hai abhi.
Muje international card chahiye boi me Kya ka ru
Apne branch me jakar International Card ke liye form fill up karke dijiye. Iske baad aapko International Card Issue kar diya jayega.