
How To Change Bank Of India ATM Or Debit Card PIN? Bank of India Ke ATM or Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare?
Namaskar Dosto, Agar aapke paas Bank Of India Ka ATM card hai to aapko pata hona chahiye ki har ek bank apne customers ko yah bolta hai ki wo apne ATM card ke PIN ko kuch dino ke interval me change karte rahe. Jisse ki aap apne bank details aur ATM se releted details ko hack hone se bacha sake aur apne paiso ko surakshit rakh sake.
Ab yaha bahut saare logon ko pata hi nahi hota ki wo apne ATM card ke PIN ko kaise change kare jiske karan wo ek hi PIN ko bahut dino tak use karte rahte hai jisse unke liye khatra badh jata hai. isliye ye jaruri hai ki aap apne ATM card ke PIN ko change karte rahe.
Agar aapko nahi pata hai ki aap apne BOI ATM card ke PIN ko kaise change kare to aap yah post pura padhe taki aage aapko koi problem na ho.
Yah Bhi Jaane :-
- BOI ATM / Debit Card Ka PIN Generate Kaise Kare ?
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
Bank of India (BOI) Ke ATM, Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare?
Yah bahut hi aasaan hai, Iske liye aap neeche bataye gaye steps ko follow kare-
- Sabse pahle aap BOI ke kisi bhi ATM me chale jaye.
- Ab aap apne BOI ke ATM card jiska PIN change karna hai usko ATM Machine me swipe kar le.
- Jaise hi aap apne ATM card ko swipe karenge ATM machine ke screen par aapko language select karne ke liye bola jayega. Ab aap aage ke options jis bhi language me dekhna chahte hai usko select kar le.
- Jaise hi aap language select karenge aapko us card ka PIN dalne ko bola jayega. Ab aap apna existing PIN enter kar de.
- PIN enter karte hi aapke samne screen par bahut saare options aa jayenge. Ab un options me se aapko “PIN Change” ka option select karna hai.
- PIN Change select karte hi aapse aapke ATM ka existing PIN pucha jayega jo aap abhi tak use kar rahe the. Ab aap wo existing PIN enter kar de.
- Existing PIN enter karne ke baad ab aapko New PIN enter karne ke liye bola jayega jo aap rakhna chahte hai. Yaha aap jo bhi PIN aage ke dino me use karna chahte hai use enter kar de.
- New PIN enter karte hi ab aapko dubara se new Pin enter karne ko bola jayega. To aap phir se New PIN enter kar de. Yaha par aapko yah dhyan rakhna hai ki aapne abhi jo New PIN enter kiya tha usi ko same to same dubara se enter karna hai.
- Aap jaise hi dubara se New PIN ko enter karenge screen par ek messgae aayega “Your PIN is changed succesfully” yani aapke ATM ka PIN successfully change ho gaya hai.
Isi ke saath aapka BOI ATM Card ke PIN ko change karne ka process complete ho gaya hai. Ab aage aap jab bhi is ATM Card ka use kare to apne is New ATM PIN ki sahayta se kare.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Register / Apply Kaise Kare ?
- PNB New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
How To Change BOI ATM, Debit Card PIN ? BOI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ? Detail Video Tutorial In Hindi
Is tarah se aap apne Bank Of India (BOI) ke ATM Card ke pin ko badi hi aasani se change kar sakte hai. Mujhe aasha hai ki ab aapko koi pareshani nahi hogi aur aap is kaam ko aasani se kar sakenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Gaya Ise Reset Kaise Kare ?
- BOI ATM PIN Bhul Jaane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to Comment Box me Comment kare, hame aapki madad karke khushi hogi.
Agar aapko yah post pasand aaya ya jaankari ke layak laga to is post ko Social Media me SHARE karna bilkul bhi na bhule. SHARE karne se aap jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad.
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
How to generate atm pin through registered mobile number by sms.
BOI not provide PIN generation through SMS. Its only provide PIN generation through BOI ATM.
BOI not provide PIN generation through SMS. Its only provide PIN generation through BOI ATM.