
Dosto, Kya aap Bank Of India BOI ATM Card ke PIN ko bhul gaye hai ? Aur ab soch rahe hai ki isko Reset kaise kare ? agar “Ha” to is Post ko padhte rahiye aapko “BOI ATM Card ke PIN ko Forgot / Reset Kaise Kare ? How to Forgot / Reset BOI ATM PIN ?” iska jawab mil jayega.
Pahle ke time me jab bhi ham BOI ATM Card ke PIN ko bhul jate the to hame Bank Of India ke Brnch se dusra PIN mangwana padta tha. Iske liye bahut jyada time lagta tha aur itne din ham us ATM Card ko use nahi kar pate the.
Aaj ke is Post me mai aapko ek aisa tarika batane jaa raha hu jisse aap BOI ATM Card ke liye bina Branch gaye New PIN set kar sakte hai. Apne BOI ATM Card ka PIN Generate aur Validate karke uske liye New PIN turant Set kar sakte hai. Chaliye ab iske bare me detail se jaan lete hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
- Aapka Bank Account Aadhaar Card se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
BOI ATM PIN Generate Karne Ke Liye Kya Kya Chahiye ?
BOI ATM Card ka PIN Generate karne ke liye aapke paas 2 cheeje honi jaruri hai.
- ATM Card jiske liye PIN Generate karna hai. (Jiska PIN aap bhul gaye hai)
- ATM Card ke Bank Account me Registered Mobile Number.
Agar aapke paas ye dono cheeje hai to aap iske liye ready hai.
Bank Of India BOI ATM Card Ka Green PIN Generate Kaise Kare ?
Green PIN Generate karna bahut hi aasaan hai. Iske liye neeche ke steps ko follow kare –
- Sabse pahle aap BOI ke kisi bhi ATM me chale jaye.
- ATM me jaakar apne BOI ka ATM Card waha ke ATM Machine me “Swipe” kar le. (Jiska PIN aap bhul gaye hai)
- Ab aapko aapka language select karne ko bola jayega. Yaha aap aage ke options jis bhi bhasha me dekhna chahte hai us Language ko select kar le.
- Language select karte hi aapke samne 2 option aayega. Inme se “(FORGOT/CREATE PIN) GREEN PIN” ke option ko select kare.
- Agle step me dubara aapke samne 2 option aayenge. Inme se “GENERATE OTP” ke option ko select kare.
- Jaise hi aap GENERATE OTP ko select karenge, aapke Registered Mobile Number me BOI ke taraf se 6 digit ka OTP aayega.

Yaha par aapka PIN Generate karne ka Process complete ho jata hai. Aapke Registered Mobile Number me jo 6 digit ka OTP aaya hai wahi Green PIN hai.
Apne ATM Card ke liye New PIN set karne ke liye is OTP ko Validate karna padega. OTP ko Validate karne ke baad hi aapka process complete hoga aur New PIN set ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Gaya Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
BOI ATM Card Ke Generated Green PIN OTP ko Validate Kaise Kare ?
BOI Green PIN OTP ko Validate karne ke liye Neeche ke steps ko follow kare-
- OTP aa jane ke baad us ATM Card ko dubara se ATM Machine me “Swipe” kar le.
- Ab aapko aapka language select karne ko bola jayega, Yaha Language ko select kar le.
- Language select karte hi aapke samne 2 option aayega. Inme se “(FORGOT/CREATE PIN) GREEN PIN” ke option ko select kare.
- Iske baad aapke samne dubara 2 option aayenge. Inme se “VALIDATE OTP” ke option ko select kare.
- Ab aapko 6 digit ka OTP manga jayega. Aapke mobile me aaya 6 digit ka OTP Enter kar de.
- OTP enter karne ke baad “Continue” par click kare.
- Aapko aapka New PIN Enter karne ko bola jayega. Yaha aap jo bhi PIN rakhna chahte hai wah PIN Enter kar de.
- Ab aapko New PIN Re-Enter karne ko bola jayega. Yaha abhi abhi jo New PIN aapne enter kiye tha use re-enter kar de.
- New PIN re-enter karte hi ATM Screen par “Your PIN has been Changed / Created Successfully” likha hua aa jayega.
Ab aapne jo New PIN abhi banaya hai, wahi us ATM Card ka PIN ho jayega. Iske baad aap jab bhi us ATM card ka use kare to isi New PIN ka use karke kare.
To aapne dekha is complete process ko follow karke aap BOI ATM Card ka PIN bhul gaye hai to kitni aasaani se uske liye New PIN set kar sakte hai. Iska sabse bada benefit yah hai ki isme apko Bank ka chakkar nahi katna padega aur turant us ATM Card ko aap use bhi kar sakte hai.
How To Forgot / Reset Bank Of India ATM Debit Card PIN Detail Video Tutorial In Hindi ?
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI Net Banking Ghar Baithe Online Register / Apply Kaise Kare ?
- Aapka SIM Card / Mobile Number Kiske Name Se Hai Kaise Pata Kare ?
NOTE :- Is Facility ko abhi BOI ke sabhi ATM me provide nahi kiya jaa saka hai. BOI dhire dhire yah apne sabhi ATM Machine me Provide kar rahi hai. Aap apne nazdiki BOI ATM me jakar check kar sakte hai, ho sakta hai usme is facility ko provide kar diya gaya ho.
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare saath sabhi Social Media platform me jud sakte hai jaise- YouTube, Facebook, Twitter etc hamare sabhi Social Media handles “Explain In Hindi” name se hi hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply