
Kya aapke paas (Bank Of India) BOI ka Account hai ? Aur ab aap usme BOI Net Banking Online Activate karna chahte hai ? to aap sahi jagah me aaye hai, is post ko aage padhte rahiye.
Dosto, Agar aap BOI Net banking ( Internet Banking, Online Banking ) use karna chahte hai to iske liye aapko BOI Account me Net Banking ke liye Register / Apply karna padega. Iske baad aapka us Account me Internet Banking ko Activate kiya jayega. Is Process ke baad aap BOI Net banking ka laabh utha payenge.
Aap BOI Net Banking Online and Offline dono tarah se Register / Apply kar sakte hai.
Is Post me ham aapko “BOI net banking online registration / apply kaise kare ? How to register online for BOI Internet Banking in Hindi” ki detail jankari dene jaa rahe hai.
Is process se aap ghar baithe apne BOI Account me Net banking ke liye apply kar sakte hai. Iske liye ab aapko apne bank ke branch ka chakkar katne ki koi jarurat nahi hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- BOI ATM Card / Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
BOI Net Banking Online Registration Ke liye Jaruri Information
Agar aap iske liye online registration karna chahte hai to aapke paas kuch information ka hona jaruri hai.
- BOI Account Number :- Aap jis Bank Of India account me internet banking register karna chahte hai uska account number.
- BOI ATM / Debit Card ka Detail :- Iske liye aapke paas ATM card ka Number, Expiry date and ATM PIN hona chahiye.
- BOI Registered Mobile Number :- Iske liye Bank Of India Account me registered mobile number bhi aapke paas hona chahiye, kuki isme OTP bhejkar verify kiya jata hai.
Agar aapke paas ye saari details hai to aap taiyar hai BOI Net Banking online registration ke liye.
BOI Net Banking Online Registration / Apply Kaise Kare ?
Aaiye ab jaan lete hai ki iske liye kya process hai.
Step 1.
- Iske liye aap sabse pahle Google me jaye aur search kare “BOI Net Banking“.
- Iske baad sabse upar hi Bank Of India Internet Banking ka link aa jayega, is Link par click kare.

Step 2.
Ab aap Bank Of India ke internet banking ke official website me pahuch jayenge. Is page me thoda neeche aapko ek option “NEW USER” milega, is option par click kate.

Step 3.
Agle page me aapko sabse pahle bataya jayega ki aapke paas kya-kya hona chahiye jo mai pahle hi bata chuka hu. Is page me aapko apne account se related details fill up karna hai.
- Isme sabse pahle aap apna Bank Of India account number enter kar de.
- Iske neeche apna BOI me Registered Mobile Number enter kar de. Mobile Number aise enter karna hai ki sabse pahle aapko bina + sign ke apna Country Code likhna hai uske baad 10 digit mobile number likhna hai jaise – 919123456789. ( Yaha 91 India ka country code hai and 9123456789 mobile number)
- Iske neeche aapko ek box milega jisme usi box ke upar ke image me jo bhi likha hua hai usko same-to-same enter karna hai.

Ye sabhi box fill up karne ke baad “Continue” par click kar de.
Step 4.
Iske baad aapke registered mobile number me BOI ke taraf se ek OTP aayega. Is page me aapko wahi OTP manga jayega, to aap yaha OTP ko enter kar de aur “Continue” par click kare.

Step 5.
Next step me aapse aapka ATM / Debit Card ka detail manga jayega.
- Sabse upar ke box me Debit / ATM card ka number enter kar de.
- Uske neeche ATM Card ka Expiry Date enter kar de. Expiry date MMYY ke format me enter karna hai yaha MM month ka number and YY year ka last 2 digit hai.
- 3rd box me apne ATM ka 4 digit ATM PIN enter karna hai.

Ye sabhi details enter karne ke baad “Continue” par click kare.
Step 6.
Is step me aapke samne BOI Net Banking Online Register karne ka term and conditions aa jayega. Aap in term and conditions ko padh sakte hai. Iske baad aage badhne ke liye usi ke neeche ek “I Agree to the above mentioned Agreement-Cum-Indemnity” ko Tick kar de.

Jaise hi aap isko tick karenge to uske neeche ka option “I Agree” enable ho jayega. Ab aap is “I Agree” button par click kare.
Step 7.
Iske baad aapko Login Password enter karne ko bola jayega. Iske upar aako aapka Login Password kaisa hona chahiye iske baare me bataya hua rahega. Isko aap padh sakte hai chaliye mai bhi aapko yah password kaisa hona chahiye bata deta hu.
Aapka login password minimum 6 characters ka and maximum 28 characters ka hona chahiye. Aapka login password letter (A to z), Number (1 to 9) and Special Character ([email protected]#$%^&*) sabhi ka combination hona chahiye. Iska matlab hai ki aapke login password me ye sabhi kam se kam 1-1 hone chahiye tabhi use accept kiya jayega.
- Jab aap Login Password bana le to use “Login Password” wale box me enter kar de.
- Iske baad same password ko “Confirm Login Password” wale box me enter kar de. (Dono password same hona chahiye)

- Iske baad “Continue” par click kare.
Step 8.
Agle step me aapka BOI net banking online registration se related saara detail aapke samne aa jayega. Jaise – Reference Number, Account Number, Customer Id, Name and Login User Id.

Iske baad aapke registered mobile number me bhi iska Confirmation message aa jayega ki aapka Internet Banking Use Id create karne ka request successfully ho gaya hai. Aapka Customer Id hi aapka internet banking user id hoga. Isko aap 1 working day ke baad access karna start kar sakte hai.
Itna process karne ke baad aapka BOI Net Banking Online Register / Apply karne ka process complete ho jata hai. Isko Activate hone me 1 working day ka time lagega aisa BOI likhta hai, lekin aap 2, 3 dino ke baad login karne ka try kare.
Dosto ab aapko detail me pata chal gaya hai ki BOI Net Banking Online Registration / Apply kaise kar sakte hai. Ab aap iske liye puri tarah se taiyar hai to jaiye aur iske liye ghar baithe apply kar dijiye aur BOI Internet Banking ka mazaa lijiye.
Inhe Bhi Jaane :-
- BOI ATM Card Ka PIN Bhul Jane Par Ise Forgot Reset Kaise Kare ?
- Mini Statement Kya Kai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
- ATM Machine Se Apna Bank Balance Kaise Check Kare ?
Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to hame Comment Box me likhkar jarur bataiye, hame aapki madad karke khushi hogi.
Aapke jaise aur bhi log honge jo is Post ka laabh utha sakte hai, isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Agar aapne abhi tak hamara YouTube Channel “Explain In Hindi” ko Subscribe nahi kiya hai to jaldi se Subscribe kar le, Waha par aapko Banking se related saari jankari milegi. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Hello sir, maine August 2017 mein hi BOI mein new account open karwaya tha aur usi samay Net banking aur ATM card bhi banwa liya tha. ATM card to usi samay mil gaya tha lekin Net banking ek mahine baad ghar par aaya. Us samay main bet banking ka use nahin kar paya tha aur na hi activate kar paya tha. Ab jab main isey use karna chahta hoon to net banking ka user ID mang galat bata raha hai. Sir mujhe kya karna hoga, bank jana hoga ya online iska solution available hai?
Iska sabse aasaan tarika hai aap apne BOI Branch me visit kijiye. Waha aapko iska reason and solution dono mil jayega.
net banking m ATM card jrurat parta par mere paash ATM card nhi mere papa ke pass h ATM card sirf net banking suru krwane k liye kuch paise dene parte usi k liye na ATM card ka use hota h to kya ham kisi ka ATM card use kr Skte h
Agar aap BOI Net Banking ko Online activate karna chahte hai to ATM Card jaruri hai. Net banking ke liye kisi bhi tarah ka paisa nahi lagta hai yah bilkul FREE hai. Aap kisi aur ka ATM Card use nahi kar sakte hai.
Aapke paas ATM Card nahi hai to bank me jakar Net banking suru karwaiye waha ATM card jaruri nahi hota hai.
Agar aap BOI Net Banking ko Online activate karna chahte hai to ATM Card jaruri hai. Net banking ke liye kisi bhi tarah ka paisa nahi lagta hai yah bilkul FREE hai. Aap kisi aur ka ATM Card use nahi kar sakte hai.
Aapke paas ATM Card nahi hai to bank me jakar Net banking suru karwaiye waha ATM card jaruri nahi hota hai.
HAAY I HAVE SOME QUESTION.I CAN REGESTER MY NET BANKING BY ONLINE. BY AFTER LOG IN, THE TRANSFER AND PAY TAX OPTION CANT SHOW.WHY IS IT CANT SHOW PLEASE HELP WHAT CAN I DO.
Don’t worry. This is option through which you can pay your tax direct.
sir Online boi net banking registration nahi ho rshs hai computer me 1 ONUC system error try after some time show kar raha hai
mo.no. bhi not registered bata raha hai
Sir iska jawab mai de chuka hi aap pahle ke comment padhe.
Bank of India ki net banking hai mere pas us me email Update karna hai to karta hoo to transaction password mangta hai. Sir ye btao update krenge to kya transaction krne ke bad account se balance kt jayega kya pls bto.
Nahi Balance nahi katega. Account Detail ko aap change kar rahe hai isliye transaction password mang raha hai.
Online boi net banking registration nahi ho rshs hai computer me 1 ONUC system error try after some time show kar raha hai
5,6 dino se try kar raha hoon lekin nahi ho raha hai
Mujhe lagta hai ki Aap jo browser use kar rahe hai wah compatible nahi hai. Use pahle update kijiye tab yah error nahi aayega.