
Dosto, Is Post me aapko Canara Bank ATM Card Green PIN Generate and Activate karne ki detail jankari milegi. Agar aap Canara Bank ke customer hai aur iska ATM Card ko use karte hai to yah Post aapke liye bahut important hai.
Aap Canara Bank ATM Card Green PIN Generate karke kai kaam bina bank ke chakkar kate kar sakte hai. Is tarah se aapka time and effort bach jayega aur aap pareshani se bhi bach sakte hai.
Canara Bank ATM Card Green PIN Generate Karne Ke Benefits.
Is Green PIN se aap neeche bataye gaye kaam kar sakte hai.
- Agar aapne Canara Bank ka New ATM Card (Debit Card) liya hai to use Activate kar sakte hai.
- Agar aap Canara Bank ATM Card PIN bhul gaye hai to iske liye aap badi hi aasaani se New PIN Set kar sakte Hai. Yani us ATM card ka PIN reset kar sakte hai.
Ye sare kaam karne me pahle hame na jaane kitni baar bank ke chakkar katne padte the. Is tarah se hame in kaamo me bahut pareshani bhi hoti thi, jinhe ab aap is Canara Bank Green PIN se aasaani se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM Fraud Se Bachne Ke Liye Jane In Savdhaniyo Ko.
- ATM Se Apna Bank Balance kaise Check / Pata Kare ?
Canara Bank ATM PIN Generate Karne Ke Liye Kya Chahiye
Iske liye aapke paas 3 Cheejo ka hona jaruri hai.
- Canara Bank ATM Card / Debit Card jiska Green PIN Generate karna hai.
- Canara Bank Account Number jisse wah ATM card issue hua hai.
- Canara Bank Registered Mobile Number jisme us account number se related message aata hai.
Canara Bank ATM PIN Generate karne ke liye jaate time ye 3 cheeje lekar jaye.
Chaliye ab jaan lete hai ki kaise aap Canara Bank ATM Card Green PIN Generate and Activate kaise kar sakte hai.
Canara Bank ATM Card Green PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
Iske liye neeche ke steps ko follow kare.
- Sabse pahle Canara Bank ke kisi bhi ATM me chale jaye.
- Waha jakar Canara Bank ke ATM Machine me apna ATM Card (Debit Card) ko “Insert” kar le.
- Ab Language ka Screen aa jayega. Is screen me najar aa rahe language ko select na kare. Language ke neeche “GREEN PIN / FORGOT PIN” ka option mil jayega, isko select kare.
- Agle screen me “Generate OTP” ke option ko select kare.
- Iske baad aapko aapka Canara Bank ka Account Number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apna Canara Bank ka Account Number enter kar de. Iske baad “CORRECT” par click kare.
- Agle step me aapko Registered Mobile Number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apna 10 digit Registered Mobile Number enter kar de. Iske baad “CORRECT” ko select kare.
Itna process karne ke baad aapke Registered Mobile Number me Canara Bank ke taraf se ek SMS aayega jisme 6 digit OTP likha hoga. Jab yah OTP aa jaye tab aap aage ka process kar sakte hai.
- OTP aa jane par is 6 digit OTP ko ATM Machine me enter kar de. Iske baad “CORRECT” ke option ko select kare.
- Agle step me aapse New PIN enter karne ko bola jayega. Yaha aap aage ke dino me jo bhi ATM PIN rakhna chahte hai us 4 digit New ATM PIN ko enter kar de.
- Jaise hi aap NEW PIN enter karenge aapse New PIN Re-Enter karne ko bola jayega. Yaha aapne abhi-abhi jo New PIN enter kiya tha use dubara se enter kar de. (Isse yah verify ho jayega ki aapko aapka New ATM PIN yaad hai)
- Iske baad ATM Machine ke screen me “Your PIN is changed successfully Please take your card” likha hua aa jayega.
- Iske baad aapka ATM Card and Receipt us ATM Machine se niklega unko aap lekar rakh le.
Jab yah screen aa jaye to aap samajh lena ki aapka process complete ho gaya hai.
Jis bhi kaam ke liye aapne Canara Bank ATM Card Green PIN Generate kiya hai aapka wah kaam ho jayega. Agar aap apne Canara Bank New ATM card ko activate kar rahe the to wah Activate ho jayega aur agar apna Canara bank ATM card ka PIN bhul gaye the to uska New PIN set ho jayega yani ATM PIN reset ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
- SBI ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
Aapke jaise aur bhi log honge jo is Post ka labh utha sakte hai isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Agar aapne abhi tak hamare Facebook Page “Explain In Hindi” ko LIKE nahi kiya hai to jaldi se Link kar le, Waha par aapko hamare Videos and Blog Post ki jankari FREE me milti rahegi. Dhamyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply