
How To Change Gmail Password In Hindi ? Gmail Password Ko Kaise Change Kare Ki Step By Step Jaankari In hindi
Abhi ke samay me hame hamare harek Account ka Password ko harek kuch-kuch dino ke baad badalte rahna chahiye. Password badalne ka main kaaran Hackers se bachna hai. Hackers hamesa hamare Account ko kholne ka kosis karte rahte hai agar ham ek hi Password lagatar use karenge to unko hack karne me aasaani hoti hai.
Kabhi-kabhi ham kisi kaaran se apne Account ka Password kisi Family Member ya Friends ko bata dete hai. Jab unka kaam ho jaye to bhi hame Password Change kar dena chahiye nahi to wo iska galat use kar sakte hai.
Is Post me mai aapko batane jaa raha hu ki aap badi hi aasaani se kaise apne Gmail Account ka Password Change kar sakte hai. To chaliye jaan lete hai ki yah kaise hota hai.
In Post Ko Bhi Padhe
- Online Shopping Sawdhaniya
- Android Mobile Me Bina App Ke Photo, File, Video Ko Kaise Hide Kare ?
- Aadhaar LPG Gas Link Status Kaise Check Kare ?
Gmail Ka Password Ko Kaise Change Kare ?
Gmail Password ko change karna bilkul aasaan hai aap kewal niche bataye step ko follow kare –
- Iske liye sabse pahle aap apne Gmail Account me log in kar le jiska Password Change karna chah rahe hai.

- Sign in karne ke baad apne right side ke upar me aapko ek chakri type ka dikhega ( Upar ke Image ko dekhe ) usko click karna hai. Click karte hi ek menu khulega isme se Settings ke option par click karna hai.

- Ab aap Gmail ke Settings ke page par aa jayenge. Yaha aapko Account And Import ke option par click karna hai. Click karte hi aapke paas Account And Import ka page khul jayega is page par aapko sabse upar hi Change Password ka link mil jayega usme click kare.

- Ab ek new tab me aapko dubara Gamil me log in karna padega yah Security purpose se Gmail karwata hai. Dubara Sign in karwakar Gmail yah confirm karta hai ki jo Gmail ka Password aap change kar rahe hai wah aapka hi Gmail Account hai. Yaha aap dubara se Sign in kar le.

- Sign in karne ke baad ab aap finally Password Change karne wale page me aa jayenge. Yaha aap apne New Password Inter kar de aur usi Password ko dubara Confirm New Password me same to same Inter kar de. Agar dono dabo me dala gaya Password me difference hoga to aapka Password Change nahi hoga isliye dono dabo me same Password Inter kare. Ab niche CHANGE PASSWORD ke link par click kare.
Ab aapka Password Change ho gaya hai. Agli baar jab bhi aap Gmail log in kare to apne New Password ke saath kare.
Aapke paas Gmail ki taraf se ek Change Password ka Email bhi aayega jisme aapko bataya rahega ki aapke Gmail ka Password Change kiya gaya hai.
How To Change Gmail Password ? Gmail Password Ko Kaise Change Kare Detail Jaankari Video Tutorial
Inhe Bhi Jaane :-
- SIM Card Kiske Name Se Hai 1 Minute Me Kaise Jaane ?
- Google Chrome Hidden Features Jo aapki Bahut Kaam Aayega.
- Railway Reservation Counter Me Kataye Ticket Ko Online Cancel Kaise Kare ?
Aapne dekha Gmail ke Password ko Change karna kitna aasaan hai. Ab mujhe ummid hai ki aapko Apne Gmail Account ke Password ko Change karne me koi dikkat nahi hogi aur is tarah se aap apne Gmail ko Hacking se bacha payenge.
Yah Post agar aapko Pasand aaya ya Jaankari ke layak laga to ise Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre jaruratmand logo ki madad karenge.
Abhi bhi agar aapke man me kisi tarah ka Sawal hai to Comment Box me Comment kare hame aapka madad karke khushi hogi. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Hello can i ask u some
Yes ask your question.
Mera WhatsApp nhi chal raha h Bhai mujhe call karo m bahut hi parson hu mo.9837585756 kanhiayalal
Agar aapka WhatsApp ka Two Step Verification ke liye nahi khul raha hai to hamara yah post padhiye- https://www.explaininhindi.com/whatsapp-two-step-verification-password-ko-reset-disable-kaise-karen/