Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

03/03/2018 By Santosh Kumar Leave a Comment

HDFC SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register, Activate And Use Kaise Kare ?

HDFC SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register, Activate And Use Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 0
  •  
  •  

Dosto, SMS banking bahut hi kamaal ki service hai. Isse aap kewal ek sms bhejkar apne account se related sari jankari ghar baithe le sakte hai. Agar aap HDFC SMS Banking ke baare me detail se janana and use karne chahte hai to is post ko padhte rahiye.

HDFC pahli aisi bank hai jo English and Hindi dono language me SMS Banking ko provide karti hai. Isme aap English ke saath hi saath Hindi me bhi SMS Banking ko use kar sakte hai.

Is Post me ham aapko HDFC SMS Banking se related detail jankari dene jaa rahe hai. jaise – Iske liye mobile number register kaise kare ? Isko activate kaise kare ? Iska use kaise kare ? Iske liye kya-kya keywords hai ? etc

Inhe Bhi Jaane :-

  • HDFC Missed Call Banking Ki Detail Jankari In Hindi.
  • SBI New ATM Card Ko Activate Kaise Kare ?

HDFC SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register Kaise Kare ?

HDFC Bank SMS Banking ke liye aap 4 tarah se registration kar sakte hai.

  1.  Register SMS Banking By Sending SMS
  2.  Register SMS Banking online using net banking
  3.  Register SMS Banking Using ATM and
  4.  Register SMS Banking in nearest HDFC branch.

Is post me mai iske pahle method Register SMS Banking By Sending SMS ke bare me bataunga. Kuki yah method sabse aasaan hai aur isme aapko kahi jane ki koi jarurat nahi padti hai.

SMS Bhejkar HDFC SMS Banking Ke Liye Register Kaise Kare ?

Iske liye aap sabse pahle apne mobile ke Create Message Box me chale jaye. Waha jakar capital letter me type kare “REGISTER” fir space de uske baad “Custemer id” likhe fir space dekar “Last 5 digit of HDFC Account Number” likhe.

Format :- REGISTER<Customer Id><Last 5 digit of A/c No>

For Example :- REGISTER  12345678  12345

Is format me message type karne ke baad aap apne HDFC me Registered Mobile Number se ise 5676712 me bhej de.

Agar aapko HDFC Customer Id yaad nahi hai to yaha click karke isko Find / Pata karne ke 4 aasaan tarike jaan sakte hai.

Jab aap is mesaage ko bhej denge to uske kuch der ke baad HDFC ke taraf se ek Confirmation message aayega. Usme likha hoga “Thank you for subscribing to SMSBanking”. isko aap neeche ke image me bhi dekh sakte hai.

HDFC SMS Banking Me Mobile Number Register Karna
HDFC SMS Banking Me Mobile Number Register Karna

Ab aap puri tarah se taiyar hai apne account se related jankari matra ek sms bhejkar lene ke liiye. Ab aapko kuch bhi janana ho kewal apne register mobile se ek special keyword bhejna hai aur turant usse related jankari aapke mobile me aa jayega.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Paytm Customer Care Number And Email Id Jo Aapki Madad 24×7 Karegi.
  • SBI Account Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Aasaan Tarike.

HDFC SMS Banking Ko Use Kaise Kare ?

Isko use karne ke liye aapko iske sms banking keyword ko sms se bhejna padega. Iske baad HDFC ke dwara aapke bheje keyword ke anusar reply aa jayega. Chaliye ab isko use karne ka tarika detail me jante hai.

Iske liye sabse pahle aap apne create message box me jaiye. Waha aapko jo bhi janana hai uske anusar keyword ko likh dijiye ab is SMS ko 5676712 me send kar dijiye. SMS send karne ke baad kuch hi second me reply aa jayega aur usme aapka jankari likha hua hoga, jisse related keyword aapne send kiya tha.

For Example :- Balance check karne ke liye sms me “bal” likhkar ise 5676712 me bhejne par reply me aapka bank balance aa jayega.

Isi tarah se aap alag-alag keywords bhejkar alag-alag jankari le sakte hai.

HDFC SMS Banking English Keywords

Neeche mai HDFC ke sabhi keywords batane ja raha hu jisse aap jankari le sakte hai.

  1. Balance Enquiry :- bal
  2. Mini Statement :- txn
  3. Cheque Status Enquiry :- cst <6 digit cheque no.>
  4. Stop Cheque :- stp <6 digit cheque no.>
  5. Cheque Book Request :- chq
  6. Request for an Account Statement :- stm
  7. Bill Details :- bil
  8. Fixed Deposit Enquiry :- fdq
  9. Change of Primary Account :- new <14 digit account no.>
  10. Internet Banking password (IPIN) regeneration :- ipin
  11. PAN number updation :- PAN <PAN number> <Cust Id>
  12. Debit Card Green Pin generation through SMS Banking :- REPIN <last 4 digits of Debit Card>
  13. List of keywords :- help

HDFC SMS Banking Ko Hindi Me Use Kaise Kare ?

HDFC pahla bank hai jo India me Hindi keyword provide karta hai. In Hindi keywords se aap Hindi me bhi HDFC SMS Banking ko use kar sakte hai.

For Example :- बैलेंस पूछताछ karne ke liye sms me “ब” likhkar ise 5676712 me bhejne par reply me aapka bank balance aa jayega.

Neeche mai HDFC ke sabhi Hindi keywords ko batane ja raha hu jisse aap sabhi tarah ke jankari le sakte hai.

  1. बैलेंस पूछताछ :- ब
  2. लेनदेन विवरण :- त
  3. चेक की स्थिति की  पूछताछ :- चेक  <6 अंक चेक क्रमांक >
  4. चेक रोके :- रोक <6 अंक चेक क्रमांक >
  5. चेक बुक के लिए आवेदन :- चेक बुक
  6. खाते के विवरण के लिए एक आवेदन :- स
  7. बिल विवरण :- बिल
  8. फिक्स्ड डिपोजिट पूछताछ :- जमा
  9. प्राथमिक खाते में परिवर्तन :- नया <14 अंक खाता  क्रमांक >
  10. इंटरनेट बैकिंग पासवर्ड आइपिन पुनः स्थापित करना :- पिन
  11. मूल शब्दों की सूची :- मदद

Upar bataye hue English and Hindi keyword ki sahayta se aap unse related jankari le sakte hai.

Dosto ab mujhe ummid hai ki aapko HDFC SMS Banking ki detail jankari mil gai hogi. Is post se aapko kaphi benefit hoga aur ab aap choti choti jankari ke liye bank and ATM ke chakkar nahi lagayenge.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Android Mobile Me Hindi Me Typing / Type Kiase Kare ?
  • Google Me Apna Email account FREE Me Kise Banaye ?

Aapko is post se kya benefit hua ise Comment Box me likhkar hamare saath share kar sakte hai. Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to bhi Comment Box me likhe.

Isi tarah ke Banking se related saari jankariyo ko Video Format me dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain In Hindi” ko SUBSCRIBE karna bilkul na bhule.

Aapke jaise aur bhi log honge jo is Post ka laabh utha sakte hai, isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 0
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 0
  •  

Related Posts For You:

  1. HDFC Me Missed Call Banking Ke Liye Mobile Number Register And Use Kaise Kare ?
  2. SBI Missed Call Banking Ke Liye Register And Enquiry Kaise Kare ?
  3. HDFC Customer Id Forgot / Pata Karne Ke 4 Aasaan Tarike
  4. SBI ATM Machine Se Mobile Number Register Kaise Kare ?

Filed Under: Banking Tagged With: HDFC, HDFC SMS Banking, SMS Banking Keyword, SMS Banking Registration

RECOMMENDED POST FOR YOU

IGNOU Ka Previous Year Question Paper Download Kaise Kare ?

IGNOU Previous Year Question Paper Download Kaise Kare ?

Aadhaar Card Enrolment And Update Centres Ko Find Kaise Kare ?

Aadhaar Card Enrolment Center And Update Centre Ko Find, Pata Kaise Kare ?

Bank Account Mini Statement

Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?

SBI ATM PIN Forgot / Reset Complete Process In Hindi

SBI ATM / Debit Card Ke PIN Ko Bhul Gaya. SBI ATM Card Ke PIN Ko Forgot / Reset Kaise Kare ?

IGNOU Re Registration FAQ Question And Answer

IGNOU Re Registration FAQ Isse Jude Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved