
IGNOU ke sabhi students ko to pata hi hoga ki ab IGNOU Exam Form June 2020 ko fill up karne ka time aa gaya hai. Indra Gandhi National Open University ke jitne bhi students June 2020 ke term end examination me appear hona chahte hai unko apna exam form fill up kar dena hoga.
IGNOU Exam Form aap 2 tarah se fill up kar sakte hai.
- Offline IGNOU Exam Form Fill Up karna and
- Online IGNOU Exam Form Fill Up karna
Agar aap IGNOU ke student hai to jante hi honge ki Offline form fill up me kitni pareshani hoti hai. Isliye is Post me ham IGNOU Exam Form Online Ghar Baithe kaise fill up kar sakte hai, saath hi IGNOU Exam Fee Online Payment kaise kar sakte hai iske upar detail janakri dene jaa rahe hai.
Is Post ko padhne ke baad aap apna exam form ko khud se fill up kar payenge and iska Online Payment bhi khud se kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Assignment Banane Ke Liye Rules And Guidelines Ki Detail Jaankari
- [IGNOU] Assignment Status And Marks / Number Kaise Check Kare ?
IGNOU Exam Form Online Fill up Karne Ke Benefits
Sabse pahle chaliye ham is form ko online fill up karne ke kuch benefits ko jaan lete hai. Isse aapko decision lene me aashani hogi ki online process me aapko kya-kya laabh hone wala hai.
- Isme aap payment Online karenge, Jiske karan DD banwane ke liye aapko Bank ke chakkar nahi lagane padenge.
- DD banwane and Post karne ya Regional centre jakar Examination Form submit karne ke extra kharch se bach jayenge. Isse aapke paise bachenge.
- Iske pure Process ko aap ghar baithe kar sakte hai jisse aap idhar udhar ke paresaani se bhi bach jayenge.
- Online Form Fillup karne ke 24 ghanto ke baad aap check kar sakte hai ki aapka Exam Form Submission Confirm hua ya nahi. Offline me aap ise kabhi bhi check nahi kar sakte hai.
- Exam Form Submission Confirm hone ke baad aap bina tension ke exam ki taiyari kar payenge.
Ye saare benefits ko janne ke baad aap jarur iske process ko janne ke liye betab honge. Chaliye ab iske process ko jaan lete hai.
IGNOU Exam Form Online Fillup Karne Ke Liye Jaruri Information
Agar aap apna IGNOU exam form online fill up karna chahte hai to aapke pass kuch cheejo ka hona jaruri hai.
- IGNOU Enrollment Number,
- Subject Code jiska exam aap dena chahte hai,
- IGNOU Exam Centre Code jaha aap exam dena chahte hai.
- IGNOU Exam Fee Online Pay karne ke liye kisi bhi bank ka Debit Card (ATM Card), Credit Card ya Net Banking.
Ye sabhi information agar aapke paas hai to aap taiyar hai. chaliye ab iske baare me detail se jaan lete hai.
IGNOU Exam Form June 2020 Online Fill up Kaise Kare ?
Iske liye aap neeche ke steps ko follow kare.
Step 1.
- Sabse pahle aap ignou ke official website https://www.ignou.ac.in par jaye.
- Yaha iske menu bar me aapko ek option “Register Online” milega isme jaye. Is option me jate hi iske neeche kuch aur option aa jayega, inme se “Term End Exam” ke option par click kare.

Step 2.
Ab aap IGNOU online exam form fill up wale page me aa jayenge. Is page me exam fee, mode of payment and instructions likha hua mil jayega. Inko aap achhi tarah se padh sakte hai.
- Is process ko aage badhane ke liye is page ke last me chale jaye. Page ke last me ek “Declaration” milega isko accept karne ke liye ise tick kar de.

- Iske baad “Proceed to Fill Online Examination Form” par click kare.
Step 3.
Ab ek page khul jayega jisme aapko kuch detail fill up karna padega.

- Sabse pahle aap apna “Programme Code” enter kar de.
- Iske baad apna “Enrollment Number” ko enter kar de.
- Iske baad Mode of Payment me click karke “Through Debit / Credit Card / Net Banking” ke option ko select kar le.
Ye sare information fill up karne ke baad “Submit” par click kare.
Step 4.
Ab aapka saara detail khul jayega. Is page me bhi aapko kuch detail fill up karna padega.
- Sabse pahle aap apna Exam Centre Code ko likh de. (Apna nazdiki IGNOU Exam Centre ka pata kaise lagaye ?)
- Ab aap thoda neeche aa jaye aur apna Date Of Birth ko select kar le.

- Iske baad apna Gender ko select kar le.
- Ab aapko apna jis bhi subject ka exam dena chahte hai unke Subject Code ko 1-1 karke select kar lena hai.
- Apne sabhi subjects ko select karne ke baad usi ke neeche “Are Assignment(s) submitted for the above course(Yes/No)” ke option ke samne Select ko click karke “Yes” ko select kar le.
- Ab aapka is page ka sara detail fill up ho gaya hai. Iske baad “Submit” par click kare.
Step 5.
Agle Page me aapka jitna bhi detail hai wah total detail aapke samne aa jayega. Is page ke details ko achhi tarah se varify kar le kyonki exam form fill up hone ke baad ise change nahi kiya ja sakta hai.

Is step ke baad aap IGNOU Online Exam Form ke Fee Payment karne ke Steps ki aur badh jayenge. Yah Payment aap apne kisi bhi Bank ke Debit Card (ATM Card), Credit card ya Net Banking se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU TEE Exam Result khud Se Online Kaise Dekhe ?
- Aapka IGNOU Study Material / Books Ka Status Kaise Check Kare ?
IGNOU Exam Form Fee Online Payment Kaise Kare ?
Jab aap upar ke Step 1 se step 5 tak follow karke aa jayenge tab aapko Exam Fee Online payment karna padega. Aaiye ab iske liye kya-kya process hai isko bhi dekh lete hai.
Step 5.
Upar ke steps 5 tak follow karne ke baad ab is Step se aage badhne ke liye is page ke neeche jaye. Neeche aapko payment ke 2 methods milenge Upar ke image me dekhe.
- Pay With HDFC Bank
- Pay With IDBI bank
Aap yaha par ghabraye nahi HDFC and IDBI ka kewal Payment Gateway use kiya jayega. Aap payment apne kisi bhi Bank ke Debit Card (ATM card) / Credit card / Net banking se kar sakte hai.
Yaha aap inme se kisi bhi option ko select karke “Pay Now” par click kare.
Step 6.
Is step me aapke Payment ka Transaction Reference Number dikhaya jayega aap isko likhkar rakh le ya Screen Shot lekar rak le. Yah Reference Number aage aapko kaam aayega. Iske baad “Make Payment” par click kare.

Step 7.
Jaise hi aap Make Payment par click karenge tab aapke saamne Payments ke options aa jayenge.

Is page me Payment ke option ko select karne time neeche bataye information ko dhyan me rakhe.
- Ab aap “Pay With” par click kare. Iske baad aapke saamne bahut saare option aa jayenge, yaha agar aapke paas jis bank (HDFC / IDBI ) ko aapne select kiya hai usi bank ka Card hai to uske option ko select kare. Agar kisi aur bank ka Card hai to OTHER BANK ke option ko select kare. Agar aap Net banking ke through payment karna chahte hai to NET BANKING ko select kare.
- Ab iske neeche ek option aa jayega “Select Debit card Type” ispar click karke aapke paas jis bhi type ka Card hai usko select kar le.
- Iske baad aapko apne Card ke information Fill Up karne ka option mil jayega. Yaha aap apne Card ka Number, Name on Card, Expiry Date and CVV Number ko enter kar de.
- Saare information ko fillup karne ke baad Security Code ko enter karke “Pay Now” par click kare. (Upar ke image me dekhe)
Step 8.
Iske baad aapke bank se aapke registered mobile number me ek message aayega. Is message me 6 digit OTP likha hoga. Is OTP ko is page ke box me enter kar de. OTP enter karne ke baad “Make Payment” par click kare.
Step 9
Agle Page me aapka Control Number aa jayega. Is control Number ko likhkar ya Screen Shoot lekar rakh le. Yah aapko baad me bahut kaam aayega.

Ab aapka IGNOU exam form online fill up and IGNOU fee online payment ka process complete ho jayega.
Aapka IGNOU Exam Form fill up Confirm hua ya nahi iske status ko aap 24 hours ke baad check kar sakte hai. Yah 24 hours Saturday / Sunday / Holiday ko chodkar ginti kiya jata hai. Isko kaise check kar sakte hai iski jankari ke liye yaha click kare.
Aapne dekha IGNOU Online Exam Form fill up karna aur iska Fee Online Payment karna kitna aashan hai. Mujhe ummid hai ki is Post se aapko benefit hoga aur aap apna exam form ghar baithe fill up kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Online Admission Username & Password Ko Forgot / Reset Kaise Kare ?
- IGNOU Previous Year Question Paper Kaise Download Kaise Kare ?
Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Iske liye apna Email Id enter karke Subscribe kar le.
Aapke jaise aur bhi IGNOU students honge jo is problem se pareshan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand Students ki madad karenge. Dhanayawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
explained everything very clearly.good work.
Thanks