
(Indira Gandhi National Open University) IGNOU Exam Time Table yah word harek student ke man me exam se pahle aa hi jata hai. Chuki IGNOU ek Open University hai isliye iske sabhi chijo ka process alag rahta hai.
Iske baare me chuki kisi ko pata nahi rahta hai isliye jab koi student isme admission leta hai tab unhe apne aas-paas ke logon se iski jankari nahi milti hai. Aise condition me students ko kaphi kathinayi ka saamna karna padta hai.
Isi tarah se IGNOU Exam Time Table ke baare me bhi students ko confusion rahta hai. Agar aapke man me bhi koi confusion hai to is post ko padhte rahiye. Is post me main aapko “IGNOU Exam Time Table June 2020 Puri Jankari” dene jaa raha hu.
Is post ko padhne ke baad aapke man me Term End Exam time table se jude sabhi confusion khatam ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Term End Exam Ke Liye Exam Centre Me Kya-Kya Lekar Jana Rahta Hai ?
- Apna IGNOU Exam Form Submission Status Online Kaise Check Kare ?
IGNOU Exam Time Table Session June 2020
Session ka matlab hai ki harek din kitni baar exam liya jata hai. IGNOU apna exam harek din 2 session me leta hai. Iska matlab yah hai ki IGNOU harek din 2 baar exam leta hai.
Morning Session :- Morning Session me 10 baje se exam start hota hai. Yani ki IGNOU Morning Session subah 10 baje start hota hai.
Agar aapka exam Morning Session me hai to aapko exam centre me 9 baje tak pahuch jane ki kosis karna hai, taki aapko exam me baithne me der na ho.
Evening Session :- Evening Session me 2 baje se exam start hota hai. Yani ki IGNOU Evening Session dopahar 2 baje start hota hai.
Agar aapka exam Evening Session me hai to aapko exam centre me 1 baje tak pahuch jane ki kosis karna hai, taki aapko exam me baithne me der na ho.
IGNOU Exam Time Table By Credit
Chaliye ab ham jaan chuke hai ki Session wise hamara exam kab start hoga aur hame exam centre me kab pahuch jana chahiye.
Lekin ab hame yah bhi janana chahiye ki hamara exam kab khatam hoga. Yani ki hamara exam kitne ghante ( hours ) ka hoga.
Iska nirdharan aap khud hi kar sakte hai. Jaise-
- 2 Credit ka exam 1 ghanta ( hour ) ka hota hai,
- 4 Credit ka exam 2 ghante ( hours ) ka hota hai and
- 8 Credit ka exam 3 ghante ( hours ) ka hota hai.
Isse aap khud se hi apne exam ko khatam hone ka time pata kar sakte hai. Chaliye ham hi aapko bata dete hai, neeche hamne exact time table likha hua hai.
IGNOU Exam Time Table Morning Session
- 2 Credit 10:00 AM to 11:00 AM
- 4 Credit 10:00 AM to 12:00 PM
- 8 Credit 10:00 AM to 01:00 PM
IGNOU Exam Time Table Evening Session
- 2 Credit 02:00 PM to 03:00 PM
- 4 Credit 02:00 PM to 04:00 PM
- 8 Credit 02:00 PM to 05:00 PM
Upar ke table se aapko detail me jankari ho gaya hoga ki IGNOU Exam Time Table kya hai. Isse aap bina kisi confusion ke apne exam centre me sahi time par pahuch sakte hai. Saath hi agar aapka IGNOU exam centre dur me hai to uske liye pahle se hi planing kar sakte hai.
Ab mujhe pura viswas hai ki aapko IGNOU term end exam ( TEE ) time table ke baare me kisi tarah ka confusion nahi bacha hoga.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Exam Ka Admit Card / Hall Ticket Kab Aata Hai ? Ise Download Kaise Kare ?
- IGNOU Date Sheet Download Karke Apna Exam Date and Time Kaise Pata Kare ?
Aapke jaise aur bhi Students honge jo is problem se pareshan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand Students ki madad karenge. Dhanayawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
I was admission in IGNOU 20 Jan 2020 in b.com. how many takes time to deliver study material.i alreday check in study material status no date is shown it was s fully empty
Santosh Sir ..I took admission in IGNOU in ba psychology honor’s 2017… But I was not able to continue…now I want to continue…I have complete first year study material..and assignments…I want to know if I’ve to prepare them only or I’ve to take re-admission and do new assignments
For 1st year exam you don’t have to take re-admission
Sir I get admission 10 June but I not receive i card I reach center but not give answer he say some time after you got your I card .
Sir pleas what I can do
In Online admission you not found I Card from IGNOU . You have to download Id Card and attested in Regional Centre it’s your own duty. This is Information about how to download I Card online. read and solve your problem.