Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

19/07/2018 By Santosh Kumar 2 Comments

IGNOU Me BDP BA / BCom / BSc Application Oriented Courses Subject Selection Kaise Kare ?

IGNOU Me BDP BA / BCom / BSc Application Oriented Courses Subject Selection Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  

Dosto, IGNOU ( Indira Gandhi National Open University ) ek bahut hi populer open university hai, jisse aap koi bhi cource bina classes attend kiye kar sakte hai. Isme sabse jyada log jis program me admission lete hai wo hai IGNOU me BDP course yani B.A. / B.Com. / B.Sc.

Lekin Maximum students inke admission ke time ya baad me bhi jab 2nd year and 3rd year me re registration karwana rahta hai tab subjects ke selection me bahut pareshan hote hai.

Ham sabhi jaante hai ki IGNOU me BDP karne ke liye 96 Credit Points Earn karna rahta hai. 96 Credit points earn karn ke baad hi hame Bachelor Degree diya jata hai.

IGNOU ne 96 credit points ko 3 Categories me devide kar diya hai.

  1.  Foundation Courses
  2.  Elective Courses
  3.  Application Oriented Courses

Is Post me ham aapko iske Third Category yani “Application Oriented Courses” ke Subjects, Subject Code, Credits and Subject select karne ke baare me detail se batane jaa rahe hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. IGNOU Re-Registration Se Jude FAQ . Aapke Sabhi sawalo Ke Jawab
  2. IGNOU Online Admission Website Me Registration Kaise Kare ?

Sabse pahle ham yah jaan lete hai ki Application Oriented Courses me kon-kon se subjects aate hai.

IGNOU Me BDP BA/BCom/BSc Application Oriented Courses Ke Subjects

IGNOU me BDP ke andar Application Oriented Courses me jitne bhi subjects aate hai unke detail list Subject Code and Credits ke saath mai neeche de raha hu.

  • BEGA 1 – Introduction to the Media (Formerly AFW(E) – 4 Credits

OR

  • BHDA 101 – Smachar Patra aur (Feature Lekhan (Hindi) (Formerly AFW (H) – 4 Credits
  • BEGA 102 – Writing for Radio (Formerly AWR (E) – 4 Credits

OR

  • BRPA 101 – Radio Lekhan (Hindi) (Formerly (AWR (H) – 4 Credits
  • ATR 1 – Translation (Hindi 4 credits + English 4 credits ) – 8 Credits
  • ACC 1 – Organizing Child Care Services – 8 Credits
  • ANC 1 – Nutrition for the Community – 8 Credits
  • AHE 1 – Human Environment (6 Credits Theory + 2 Credits Project) – 8 Credits
  • AMK 1 – Marketing – 4 Credits
  • AED 1 – Export Procedure and Documentation – 4 Credits
  • AOM 1 – Office Organization and Management – 4 Credits
  • ASP 1 – Secretarial Practice – 4 Credits
  • AMT 1 – Teaching of Primary School Mathematics (6 Credit Theory + 2 Credit Project) – 8 Credits
  • ACS 1 – Consumer Studies – 8 Credits
  • CTE 3 – Teaching Strategies – 4 Credits
  • CTE 4 – Teaching English-Elementary School To be taken together – 4 Credits

OR

  • CTE 5 – Teaching English-Secondary School (With CTE 3 take anyone either CTE 4 or CTE 5) – 4 Credits
  • AST 1* – Statistical Techniques – 4 Credits
  • AOR 1* – Operations Research – 4 Credits
  • AEC 1 – Environmental Chemistry (6 Credit Theory + 2 Credits Lab Work) – 8 Credits
  • APM 1** – Integrated Pest Management (6 Credit Theory + 2 Credits Project) – 8
  • BCOA 1 – Business Communication and Enterpreneurship (English Medium only) – 4 Credits

Important NOTE :-
*  –  In subjects ko lene ke liye aapke paas 10+2 me Mathematics ka hona jaruri hai.
**  –  Only for BSc. students ke liye hai jinhone CHE1, CHE2 and CHE3(L) pahle se le rakha hua hai. Ye subject kewal un students ke liye hai jinhone 10+2 tak chemistry ka padhai kiya hua ahi.

Upar hamne IGNOU me BDP BA/BCom/BSc ke Application Oriented Courses me aane wale sabhi Subjects ke Code, Name and Credits ke baare me bata diya hai. Aaiye ab ham yah jaan lete hai ki in subjects me se kisko kab lena hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. IGNOU Study Material ( Books ) Ka Status Kaise Pata Kare ?
  2. IGNOU me Online Admission Se Related Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab ( FAQ )

IGNOU me BDP BA/BCom/BSc Application Oriented Courses Subject Selection Kaise Kare ?

Is courses me aane wale subjects ko sabhi students ko lena rahta hai jo IGNOU me BDP BA/BCom/BSc se graduate hona chahte hai. Is Category ke subjects ko kewal 3rd year me padhna rahta hai.

1st Year :- 1st year me isse koi bhi subject nahi lena hai.

2nd Year :- 2nd year me isse koi bhi subject nahi lena hai.

3rd Year :- 3rd year me isse 8-16 Credits ke subjects lena rahta hai.

NOTE :- Agar aapne 3nd year me Elective courses me 24 credits liya hai to Application Oriented Courses me 8 credits lena hoga. Aur Agar aapne 3nd year me Elective courses me 16 credits liya hai to Application Oriented Courses me 16 credits lena hoga.

Yani ki aapko 3rd year me  Elective courses and Application Oriented Courses  me milakar 32 Credits complete karna rahta hai.

Ye to kewal Application Oriented Courses ke baare me detail jaankari hai . Iske aur 2 courses yani Foundation Courses and Elective Courses ke bare me ham alag alag Post me jaanenge.

Is post se aapko Application Oriented Courses ke baare me jaankari ho gayi hogi aur ab aapko IGNOU me BDP BA/BCom/BSc ke 3rd year me Application Oriented Courses ke subjects selection me kisi bhi tarah ki dikkat nahi hogi.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. IGNOU MCom Subjects, Eligibility, Course Duration, Course Fee Ki detail Jankari
  2. Apna IGNOU Id Card Online Download Kaise Kare ?

Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to hame Comment Box me likhkar bataiye, Hame aapki madad karke khushi hogi.

Aapke jaise aur bhi students honge jo is problem se pareshan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand Students ki madad karenge. Dhanayawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  

Related Posts For You:

  1. IGNOU BDP BA/BCom/BSc 1st, 2nd Year Foundation Courses Subject Select Kaise Kare ?
  2. IGNOU BA History Honours Courses,Subjects, Subject Codes Ki Detail Jaankari
  3. IGNOU BA / BDP 1st, 2nd, 3rd Year Subjects Selection Kaise Kare ?
  4. IGNOU BA Mathematics Honors Syllabus, Eligibility, Subject Code Detail Information

Filed Under: IGNOU Student Support Tagged With: IGNOU BA Subjects Selection, IGNOU BCom Subjects Selection, IGNOU BDP Subjects Selection, IGNOU BSc Subjects Selection, IGNOU Subjects Selection

RECOMMENDED POST FOR YOU

Aapka Aadhar Card Kaun, Kahan, Kitna Use Kar Raha Hai History Kaise Pata Kare ?

Aapka Aadhar Card Kaun, Kahan, Kitna Use Kar Raha Hai History Kaise Pata Kare ?

Google Adsense Address PIN Verify Kaise Kare

Google Adsense Address PIN Verify Kaise Kare? Step by Step Jaankari

SBI New ATM Card PIN Generate Aur Activate Kaise Kare

SBI New ATM Card Ka PIN Generate Aur Activate Kaise Kare ?

WhatsApp Two Step Verification

WhatsApp Two Step Verification Password Ko Forgot / Reset / Disable Kaise Karen?

Windows 7, 8, 10 Ke Product Key And Product Id Ko Free Me Find Kaise Kare ?

Windows 7, 8, 10 Ke Product Key And Product Id Ko Free Me Find Kaise Kare ?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. सोहन लाल says

    22/08/2019 at 6:52 PM

    मैने संस्कृत आनर्स (शास्त्री) किया है और मैं अब कोई एक पेपर बी ए.-1 का देना चाहता हूँ। संस्कृत आनर्स में मैने हिन्दी भी पास कर रखी है। बी.एड. करने में कौन विषय का पेपर सहायक होगा

    Reply
    • Suraj Kumar says

      31/08/2019 at 4:14 PM

      aap apnr study centre me jakar pata kar le.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved