
Dosto, Kya aap IGNOU me Online Admission lena chahte hai ? Agar “Ha” to yah post aapke liye bahut hi important hai, kuki is post me mai iske pahle step yani IGNOU Online Admission Website me Registration kaise kare iske bare me batane ja raha hu.
IGNOU Online Admission ke Complete process me 2 Stage hote hai.
- IGNOU online admission website me Registration and
- IGNOU online Admission Process.
Iske 1st stage me sabse pahle IGNOU Online Admission Website me Registration karna padta hai ya aisa kah sakte hai ki is Website me apna Account banana padta hai. Isme Account banane ya Registration karne ke baad hame ek Username and Password milta hai jisse ham IGNOU online admission se related sare Activities kar sakte hai.
Is Post me mai iske Pahle Stage yani IGNOU Online admission Website me Registration ka Complete Process batane ja raha hu. To chaliye ab iske bare me detail se jaan lete hai.
Inhe Bhi Jane :-
- IGNOU Online Admission Se Jude Aapke Sawalo Ke Jawab.
- IGNOU BDP/B.A. Ke Subjects And Courses Ki Detail Jankari.
IGNOU Online Admission Website Me Registration Kaise Kare ?
IGNOU Online Admission Website me apna Registration (Account Banane) ke liye neeche ke steps ko follow kare-
Step 1.
- Sabse pahle IGNOU Website https://ignou.ac.in par jaye.
- Iske menu bar me “Register Online” par jaye. Isme jate hi iske neeche kuch aur option aa jayega, inme se “Online Admission” par click kare.

Step 2.
Ab aap IGNOU Online Admission website me aa jayenge. Aap https://onlineadmission.ignou.ac.in/admission/ type karke direct is website me aa sakte hai. Iske home page ke Right side me “Register Yourself” ka option mil jayega, is option par click kare.

Step 3.
Ab aapke samne “Student Registration Form” aa jayega. Is Form me aapko apna Personal details fill up karna padega.

- Name Of the Applicant – Isme jis bhi student ko admission lena hai unka pura name likhe.
- Father’s Name – Isme apne Father ka name likhe. Agar aap Father ka name ke jagah par aur kisi ka name dena chah rahe hai to “Father’s” ko click karke unka relation select kar le aur unhi ka name likhe.
- Date of Birth – Iske box ke samne ek calendar hai usko click karke apna Date of Birth select kar le.
- Gender – isme apna Gender select kar le.
- Email – Apna ek valid Email id enter kar de. Yaha Valid email id hi dale kuki future me ya bahut kaam aane wala hai.
- Username – Isme aapko apne anusar ek Username lena hai, aapka username unique hona chahiye tabhi wah aapko milega. Apna Username likhne ke baad aap usi ke right side me “Check” ke button ko click karke wah available hai ki nahi yah check kar sakte ahi.
- Password – Isme aapko apna 4 to 16 characters ka Password bharna hai. Is password ko alphabet (a to z) and number (1 to 9) ko milakar banana hai tabhi yah accept kiya jayega.
- Confirm Password – Isme aapne jo Password upar bhara hai usi ko same to same enter karna hai.
Iske baad security code ko sabse neeche wale box me enter kar de. Agar aapse is Page me kisi tarah ki galat information likha gaya hai to Submit Button ke samne “Reset” button par click karke is Form ko dubara se bhar saket hai.
Saare information ko fill up karne ke baad “Submit” button par click kare.
Step 4.
Iske baad welcome page aa jayega. Is page me aapka Name, Father’s Name, Mobile Number and Username likha hoga. Iska matlab hai ki aapka Registration IGNOU Online Admission website me ho gaya hai.

Is website me Registration complete hone ke baad aapke diye hue Email Id me IGNOU ki taraf se ek email aayega, Is email me aapka Username and Password likha hoga.
NOTE :- Yah Username and Password aapko age harek time kaam aayega isliye ise aap yaad kar le. Agar aapko apna Username and Password bhul jane ka dar ho to yaha click karke use Forgot / Reset karne ki jankari le sakte hai.
Ab aap puri tarah se IGNOU me Online Admission lene ke liye taiyar hai. Agar aap IGNOU me Online Admission ke process ke bare me bhi janna chahte hai to iske 2nd Stage ki jankari ke liye hamara ek alag se Detail Post hai jisko padne ke liye yaha click kare.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Online Admission Confirm Hua Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
- IGNOU Id Card Online Download Kaise Kare ?
Agar aapko abhi bhi kisi tarah ki dikkat ho rahi hai to hamare Comment Box me likhkar bataiye, hame aapki madad karke khushi hogi.
Agar aapko lagta hai ki yah Post aur kisi student ki madad kar sakta hai to Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand Students ki madad karenge. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
agar pasword aur user name kho jata hai to kaise to kaise login karenge
Dono kho jane par IGNOU Online Admission team se contact kijiye. Ya fir apne Regional Centre se contact kijiye.