Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

07/04/2018 By Santosh Kumar 1 Comment

IGNOU Re Registration Kya Hai ? Re-Registration Kab Karwana Hai ?

IGNOU Re Registration Kya Hai ? Re-Registration Kab Karwana Hai ?
Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  

Dosto agar aap IGNOU ke Student hai to aapne IGNOU Re Registration Word jarur suna hoga. Aur maximum logo ko iska matlab samajh me nahi aata hai ki yah kya hai ? aur hame Re-Registration kab karwana hai ?

Agar aapke man me bhi is tarah ka sawal hai to is Post ko padhte rahiye . Is Post me ham aapko IGNOU Re Registration ki detail jankari dene ja rahe hai. Is post ko padhne ke baad iske bare me aapke sabhi sawalo ke jawab mil jaynge.

Inhe Bhi Jaane :-

  • IGNOU Study Material / Books Ka Status Kaise Pata Kare ?
  • IGNOU Assignment Submission Status And Assignment Marks / Number Kaise Dekhe ?

To chaliye ab iske baare me ek-ek karke sabhi confusion ko khatm karte hai.

IGNOU Re Registration Kya Hai ?

IGNOU me agar aapne kisi bhi Course me Admission karwaya hai to agle Year / Semester me Admission lene ke liye jo Process hota hai use hi IGNOU Re Registration bola jata hai.

Yani ki IGNOU me jab ham kisi Course me Admission lete hai to pahli baar jo Process hota hai use IGNOU Admission bola jata hai. Lekin jab ham usi Course ke agle Year / Semester me jane ke liye Admission karwate hai to us Process ko IGNOU Re-Registration bola jata hai.

Ab ek simple se example se samajhne ki kosis karte hai.

Ham sabhi jaante hai ki B.A. ek 3 years ka Course hai. Agar koi IGNOU se B.A. karna chahta hai. Is student ko first year me Admission karwane ke liye IGNOU Admission karwana padega. Iske baad 2nd and 3rd year me jane ke liye ise IGNOU Re Registration karwana padega.

Yani ki B.A.
1st Year :- IGNOU Admission
2nd Year :- IGNOU Re-Registration
3rd Year :- IGNOU Re-Registration

Is tarah se is student ko 1 baar Admission and 2 baar re-registration karwana padega tab iska IGNOU se B.A. ka course complete hoga.

Isi tarah Semester wale course me bhi hota hai. Unko 1st semester me Admission lena padta hai baki ke sabhi Semester me Re-Registration lena padta hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  • IGNOU Assignment Banne Ke Liye Rules And Guidelines Ki Deytail Jaankari ?
  • Apna IGNOU Grade Card Free Me Khud Se Kaise Dekhe ? Kaise Download Kare ?

IGNOU Re Registration Kab Karwana Hai ?

Ab ham jan chuke hai ki IGNOU Re-Registration kya hai. lekin ab agla sawal yah uthta hai ki Re-Registration kab karana hai ?

Ham sabhi jaante hai ki IGNOU Admission ka facility harek year 2 time deta hai . Isi tarah Re-Registration ki facility bhi 2 time deta hai. Aapka pichla Year / Semester jab khatm hone wala hai uske pahle jab bhi Re-Registration start ho aapko apna bhi Re-Registration karwa lena hai.

Isko ek Example se samajhte hai. Maan lete hai ki maine January 2018 me B.A. me admission liya to December 2018 me mera B.A. ka 1st year complete hota hai. Isliye mujhe December 2018 se pahle jab bhi Re-Registration start hoga tab agle year yani B.A. ke second year ke liye Re-Registration karwa lena hoga.

Same condition Semester wale students ke saath bhi hota hai. Unko bhi apna semester end hone se pahle hi next Semester me Re-Registration karwa lena hota hai.

IGNOU Re Registration Start Hua Hai Kaise Pata Kare ?

Dosto normally jab next year / semester ka admission hota hai same usi date me Re-Registration bhi hota hai. Yani jab Admission chal raha hota hai tab aap apne next year / semester ke liye Re-Registration karwa sakte hai.

lekin kabhi-kabhi IGNOU admission and Re-Registration ke liye alag alag date announce karta hai. Jaise July 2018 session ka Admission and Re-Registration ka date alag hai.

Iska clear Date pata karne ke liye aap apne Study Center ya Regional Centre se puch sakte hai. Unke paas iske baare me jakari rahta hai ki is baar Re-Registration ka date kab se start hoga.

Saath hi iske baare me IGNOU Apne official website me notify bhi karta hai. To aap IGNOU Website se bhi iske baare me jankari le sakte hai.

Dosto ab mujhe ummid hai ki aapke man me jo bhi sawal IGNOU Re Registration ke baare me tha unke baare me aapko jankari mil gaya hoga.

Inhe Bhi Jaane :-

  • IGNOU Term Eed Exam Result Kab Aayega ?
  • IGNOU Exam Form Submission Status Kaise Dekhe ?

Yah Post aapko kaisa laga hame Comment Box me likhkar bata sakte hai. Saath hi agar abhi bhi aapke man me koi sawal ya sujhaw hai to bhi Comment kare, hame aapki madad karke khushi hogi.

Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Iske liye apna Email Id enter karke Subscribe kar le.

Aapke jaise aur bhi Student honge jo is problem se pareshan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand Students ki madad karenge. Dhanayawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  

Related Posts For You:

  1. IGNOU Re Registration Status Confirm Hua Ya Nahi Kaise Pata kare ?
  2. IGNOU Online Admission Website Me Registration Kaise Kare ?
  3. IGNOU Re Registration FAQ Isse Jude Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab
  4. IGNOU Enrollment Number Ko Forgot, Recover Ya Pata Kaise Kare ?

Filed Under: IGNOU Student Support Tagged With: IGNOU, IGNOU Admission, IGNOU Re Registration

RECOMMENDED POST FOR YOU

How To Create A YouTube Channel

YouTube Me Apna YouTube Channel Kaise Banaye?

United Bank Of India ATM PIN Generate

United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?

PAN Card Aadhaar Card Link Kaise Kare

2 Minute Me PAN Card Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?

Aadhaar Bank Linking Status

1 Minute Me Bina Internet Ke Aadhaar Card Number Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare

Aapka Aadhar Card Kaun, Kahan, Kitna Use Kar Raha Hai History Kaise Pata Kare ?

Aapka Aadhar Card Kaun, Kahan, Kitna Use Kar Raha Hai History Kaise Pata Kare ?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. Taanraj says

    18/05/2019 at 7:24 PM

    Very nice information. thanks

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved