
Dosto, Jab bhi koi IGNOU me admission leta hai to uska sabse pahla aur sabse bada problem IGNOU study material (IGNOU books) hota hai. Students ko yah samajh me hi nai aata hai ki unka study material kaha hai aur unko kab tak wah milega.
Agar aap bhi IGNOU ke student hai aur aapko bhi study material nahi mila hai to is post ko padhte rahiye. Is post me mai aapko isi topic “IGNOU study material ka status kaise check kare ? How to check IGNOU study material status in hindi ?” par detail se jankari dene ja raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Online Admission Se Jude Question And Answer FAQs.
- IGNOU ID Card Online FREE Me Download Kaise Kare ?
Is post me mai aapko 2 tarike batane jaa raha hu jisse aap apne IGNOU study material (IGNOU Books) ka status pata kar sakte hai.
1. IGNOU Study Material Ka Status July 2018 Session And January 2018 Session Online Kaise Check Kare ?
Iske liye aap neeche ke steps ko follow kare-
- Sabse pahle aap IGNOU July 2018 Session ke liye is link Study Material Status July 2018 Session and January 2018 ke liye is link Study Material Status January 2018 Session me jaye.
- Jaise hi aap is link me jaynge aapse aapka Enrolment Number manga jayega. Yaha aap apna Enrolment Number enter kar de.

- Iske baad “Submit” Button par click kare.
- Jaise hi aap Submit button par click karenge aapke samne aapke Study material ka status a jayega. Is Page me aapko aapka details, Subject Code, Medium, Bar Code and Expected Date Of Delivery mil jayega. Yaha se aap Expected date of delivery dekh sakte hai.

- Jis subject ka Bar Code yaha diya hua hai uska exact position aap turant dekh sakte hai. Iske liye aap yaha se is Bar Code ko likh le ya Copy kar le.
- Ab aap India Post ke official Website https://indiapost.gov.in par chale jaye.
- Is website me thoda neeche jane par aapko ek section “Track N Trace” milega. Isme Number wale box me apna “Bar Code” ko enter kar de.

- Iske baad aap Verification Code ko uske neeche ke box me same to same enter kar de. Ye dono detail enter karne ke baad “TRACK NOW” par click kare.
- Ab aapke IGNOU Study Material ka exact position aapke saamne aa jayega. Yaha se aap jaan sakte hai ki abhi aapka Book kaha hai.

Is tarah se Book ka status dekhkar aap jaan sakte hai ki aapka book kaha hai aur aaptak kab pahuchega ya ku nahi pahuch raha hai. Agar aapko yaha ek hi jagah par bahut dino se book fansa dikhaye to aap direct us post office me contact kar sakte hai aur ise collect kar sakte hai.
Is tarah se aap badi hi aasaani se apne IGNOU Study Material ka status check kar sakte hai.
How To Check / Track IGNOU Study Material (IGNOU Books) Dispatch Status Of July 2018 and January 2018
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Online Admission Confirm Hua Ya Nahi Status Kaise Check Kare ?
- IGNOU Online Admission Username & Password Forgot / Reset Kaise Kare ?
Jis subject ka Bar Code yaha nahi dikha raha hai uske liye aap neeche ke tariko ko use kar sakte hai.
2. Regional Centre and Study Centre Se IGNOU Study Material Ka Status Pata Karna ?
Chuki IGNOU ke sabhi Study material IGNOU ke Regional Centre me aata hai aur waha se sabhi ke address me bheja jata hai. Agar aap apne Regional Centre me contact karnge to waha se aapka Study material Speed Post ka Tracking Id mil jayega. Is tracking id se aap apne Books ka Status pata kar sakte hai.
Agar aapko Regional Centre se pata nahi chal raha hai to apne Study Centre me contact kijiye waha se bhi aapko aapka Study Material (IGNOU Book) ka Status pata chal sakta hai.
IGNOU regional centre and study centre se aapko yah bhi pata chal jayega ki aapka study material aapko by post milega ya kisi IGNOU Centre me jakar aapko collect karna padega. Yah pata chalne ke baad aap apne IGNOU Books ko collect kar sakte hai.
TIPS :- Dosto kai baar maine dekha hai ki IGNOU Study Material address me aane ke baad wah post office se return chala jata hai. Agar ho sake to aap apne Post Office ke contact me rahe aur waha bata de ki aapka IGNOU ki taraf se Books aane wala hai. Isse agar aapka books aayega to wah return nahi jayega.
Dosto mujhe ummid hai ki aapko is post se IGNOU Study Material se related bahut madad aur jankari mili hogi aur ab apne IGNOU Study Material (IGNOU Books) ka status pata kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Assignment Question FREE Me Download Kaise Kare ?
- IGNOU Previous Year Question Paper Download Kaise Kare ?
Aap hi ki tarah aur bhi IGNOU ke student hai jinko is tarah ki dikkat ho rahi hai. Is Post ko apne IGNOU Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap un Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Sir maine January 2019 ko admission liya tha ma previous me par abhi tak books ni ayi h aur status m kuch ni bta rha
Apne regional centre me jakar pata kariye
Sir India post pr track krne pr tracking detail not found Bta rha h. Me kya kru expected date bhi 22 Sept 2018 ka tha pr Abhi tk Nhi Aaya h book. Plzz help me
apne regional centre se contact kijiye
Sir Maine is baar m.com me admission liya h ignou se. Mujhe aaj mail aaya h ki ek subject ki book dispatch ho chuki h uska bar code bhi diya hua h pr India post pr track krne pr tracking detail not found Bta rha h. Or expected date for delivery 22 Sept. Hi tha pr Abhi tk book Nhi aayi h.. Plzzz help me sir.
contact your regional centre
Mera book kha h sir
Aap usko khud se track kar lijiye is Post me bataye tarike ki sahayta se.
Hi sir i have a problem actually i took admission in m.com in January 2018 and now I m not yet getting one book also but on book status it is showing that 3 has been dispatched and will be delivered on 29th April but not yet delivered what will i do now and when the classes are going to start how will I get to know rply plz…
1st agar aapka bar code show ho raha hai to apne Study material ka exact position aap dekh sakte hai. Agar Bar Code nahi show ho raha hai to aap wait kare is month ke last tak aapka book aa jana chahiye.
2nd IGNOU me classes karna jaruri nahi hai. Agar Classes honge to aapko Study Centre email or message se bata dega ya fir aap khud hi study centre me contact karke iska date pata kar sakte hai.
Mai January 2018 session me admission CIG me liya hu. book ka status dekhne par uska bar code nahi diya hai. Expected date 13 march tha. Kya karna padega?
Aap iske liye apne Regional Centre me puchiye . Waise jo Expected Date hota hai usse 15 se 20 din late se bhi book aata hai.
January 2018 k liye form bhara hua hai MPS POLITY. KB TAK AAYEGA KITAB. Enrollment no dalne pr matarial under dispach bta rha march end hone wala hai.
Iske liye aap kuch nahi kar sakte hai. Aap jyada se jyada apne Regional Centre me contact kar sakte hai. Try karke dekhiye ho sakta hai solution mil jaye.
Hi,
I am MCA student and I am in 2nd semester but my books did not until reach to me .
My all classmates have their books one week before and I tried to track my books thorough your way but it shows that my enrolment number is not found only in January session but in June session it shows..
Now what should I do?
In this condition contact your regional centre and tell him your problem. In regional centre check your study material dispatch or not and solve your problem.
Book 24 february 2018 ka date tha mera ignou ka center me bat kiya toh bola ki home delivry hoga avi tak aya nahi 31 march tak asgmnt jama karne ka sayad last date hai..
Book kaha tak pohcha track kese kore please help me …. Sir
Is post me ek video hai dekh lijiye track karna sikh jayege. Aap pareshan na ho is baar IGNOU ne Assignment Submission date badhakar last date 30/04/2018 kar diya hai.
Hi,
I have joined MCA Jan 2018. The Assigment submission due date for Jan-June session is 15 th April. Is it for me or it is for those you joined before but want to appear in June?
It is for you and those who wants to appear in june 2018 examination.
Sir i dont recieved bswe4 and Aso12 books .i m b.a student.2018 seesion
You Can Check Your books Status Using method in this post