
Dosto agar aapne IGNOU ke kisi bhi course me online admission liya hai to sabse pahle aapne IGNOU ke Online Admission wale Website me Register kiya hoga aur aapko waha ek Username and Password mila hoga. Aap bina is Username and Password ke apne course se related kisi bhi tarah ki details dekh ya jaan nahi payenge aur aage ke process bhi nahi kar payenge.
Agar aap apna IGNOU ka Username aur Password bhul gaye hai aur aap is Username aur Password ko Forgot, Reset karna chahte hai to is post ko pura padhiye. Is post me aapko isi ke baare me detail se batane jaa raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- IGNOU Previous Year Question FREE Me Download Kaise Kare ?
- Gmail Ke Password Ko Forgot Kaise Kare ?
- IGNOU Term End Exam Form Status Online Kaise Check Kare?
IGNOU Username Ko Forgot Kaise Kare ?
Username ko Forgot karne ke liye niche bataye gaye steps ko follow kare –
- Iske liye sabse pahle aap IGNOU ke online admission wale Website https://onlineadmission.ignou.in me aa jaye.
- Is website ko kholne ke baad right side me aapko Login ka option mil jayega to aap is Login ke option par click kare.

- Login ke option par click karte hi aap ek naye page me aa jayenge, ab aapko is page ke right side me “Forgot Username” ka option mil jayega, us option par click kare.
- Us link par click karte hi aap naye page me aa jayenge, is page par aapko ek form milega, aapko us form ko fill karna hoga.

- Sabse pahle column me aapko aapka Control Number bharna hoga, second column me Registerd Email ID, third column me Registerd Mobile number, forth me aapka Course Name choose karna hai jisme aapne admission liya hai.
- Sare information fill karne ke baad aapko Search button me click kar de.
- Jaise hi aap Search pe click karenge aapke saamne ek pop-up khulega jisme likha rahega “Username sent to your registerd Email, Kindly check your email!!!”. Iska matlab hai ki Username aapke registerd email id me bhej diya gaya hai.
- Ab aap apna registerd email id ko open kare aur IGNOU ki taraf se bheja gaya email ko open kare.
- Us email me aapka Username likha hua mil jayega.
Is tarah se aap apne IGNOU ke Online Admission Ke Username ko Forgot kar sakte hai. Ab chaliye jaan lete hai ki Password ko Reset kaise karenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ke PIN Ko Change Kaise Kare ?
- Aapka SIM Care Kiske Name Par Hai 1 Minute Me Kaise Pata Kare ?
- IGNOU Online Admission Status Kaise Check Kare?
IGNOU Password Ko Forgot, Reset Kaise Kare ?
Iske liye aap niche bataye gaye steps ko follow kare-
- Iske liye sabse pahle aap IGNOU ke online admission wale Website https://onlineadmission.ignou.in me aa jaye.
- Is website ko kholne ke baad right side me aapko Login ka option mil jayega to aap is Login ke option par click kare.

- Login ke option par click karte hi aap ek new page me aa jayenge, ab aapko is page ke right side me Forgot Password ka option mil jayega, us option par click kare.
- Forgot Password par click karte hi aap new page me aa jayenge, is page par aapko ek form milega, aapko us form ko fill karna hoga.

- Sabse pahle column me aapko Username bharna hoga, second column me Registerd Mobile Number, third column me Registerd Email ID, forth me neeche diye gaye Captcha ko fill karna hoga. Sare information fill karne ke baad aapko “Submit” button me click kar de.
- Jaise hi aap Submit pe click karenge aapke saamne ek pop-up khulega jisme likha rahega “Reset password request link will be sent to your EmailID !!!”. Iska matlab hai ki Password reset karne ka link aapke email id me bhej diya gaya hai.
- Ab aap apne Ragisterd Email Id ko open kare, waha aapko IGNOU ki taraf se bheja gaya email milega. Is Email ko Open kare.
- Us email me aapko ek password Reset ka link mil jayega, us link par click kare.
- Jaise hi aap us link ko Click karenge, aap ek page me chale aayenge, jaha se aap apne Password ko Reset kar sakte hai.

- Yaha aap puche gaye information ko fill up kar de. jaise jo New Password ab aap rakhna chahte hai use pahle column me bhar de, second column me dubara se New Password ko bhar de, third column me neeche diye gaye Captcha ko same to same fill up kar de.
- Sare information fill karne ke baad aapko Submit button me click karna hai.
- Jaise hi aap submit pe click karenge aapke saamne ek pop-up khulega jisme likha rahega “Your password has been changed !!!”. Iska matlab hai aapka password change ho gaya hai.
Ab aap apne Username Aur New Password ( jisko abhi apne set kiya hai ) ki sahayta se IGNOU ke Online Admission wale Website me Login kar sakte hai.
How To Forgot, Reset IGNOU Online Admission Username And Password Easily Detail Hindi Video Tutorial
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM Ka Use Kaise Kare ? ATM Se Paisa Kaise Nikale ?
- Google Chrome Ke Hidden Features Jo Aapki Jindagi Badal Dega ?
To dekha aapne IGNOU Username aur Password reset karna kitna aasaan hai. Mujhe ummid hai ki ab aage aapko isse related kisi tarah ki dikkat nahi hogi.
Agar aapko yah post pasand aaya ya jankari ke layak laga to ise Social Media me SHARE karna bilkul bhi na bhule. SHARE karne se aap dusre jaruratmand logon ki madad karenge.
Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to Comment Box me Comment kare, hame aapki madad karke khushi hogi. Dhanyawad.
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
sir i have forget email id…..how can i recive new user name
sir na to mere pas user id h na password to me kiya mera id card kho gyaa h
IGNOU me offline form bhar vaya h uska username or password kese le
IGNOU me offline form bhar vaya h uska username or password kese le
Sr mujhe mera control no. Ni pta actually me form fill kia admisson ko online light chli gyi to ab me fir se register kia to registered bta ra
Aap IGNOU Online admission Team se Contact Kijiye
sir mere ko username aur password dono hi nahi pata hai to ase me maine login kase karu ,,,
Tab aap IGNOU Online Admission team se contact kijiye
sir mera password problem dikhata kounsa bhi password dalu to hota nahi please jara password ka example denge?
Aap hamara ye Post padhiye isme hamne Password kaisa hona chahiye bataya hai – https://www.explaininhindi.com/ignou-online-admission-website-registration-kaise-kare/
Sir username ko reset kiya hoo lekin email I’d pe nhi aaya h plz bataiye kya karun ar admission status bhi show nhi kr rha h
Aap iske liye apne Regional Centre me contact kijiye.
Sir mera ignou Id nhi khul raha hai ab mainay forgot password kiya tou diKha raha hai username not found ab username forgot kiya tou kuch open nhi ho raha hai…sir mai kya Karun ab tell me….
Sabse pahle yah check kar lijiye ki aap jo username enter kar rahe hai wo sahi hai ya nahi. Uske baad Iske liye aap IGNOU Online Admission Team se Contact kar sakte hai.
Control no m kya likhna hai
Apna Control Number likhna hai.
sir maine aabi tak card bhi download nahi kiya hai kyuki mere password bhi nahi hai mere pass username hai lakin control no. nahi hai
lakin mere pass sirf enrollment no. hai mujhe batav mai apne identify card Ko kaise download karu aur maine kaise jaane mera control no. kya hai
Iske liye aap apne Regional Centre me contact karke apna problem bataiye.
Sir IGNOU bale registered email id pr hi recovery link kyun send karte h, mobile no pr kyun Ni??
Maine Jo email id Diya h uska password mujhe yaad Ni h or eMail id k sath registered mobile no deactivate ho Gaya h.
Kya IGNOU bale mobile pr link send Ni kr skte ?
Tab to aap IGNOU ke Online Admission department se contact kijiye.
Sir mughe control no. Nahi pata Mai kya karu
Control Number aapke Admission ke Print Out me hoga dekh lojiye.
Sir mera exam ho gaya 1st year ka but galti se admisan m B.a form bhara gaya h but mujhe B.com karna tha to m kya karu plzzz sir mera help kijiye
Aap apne Regional Center me contact kijiye waha se iska Solution aapko mil jayega, ki si condition me aapko kya karna hoga. Ghabraiye nahi aaapka problem solve ho jayega.
sir mera pariksha form wrong ho gaya he usme inviralment or human right ke papper select kr liye jisse fees barg gayi he jabi 1st year me pass hai use reset karwane ke liye kya karna chahiye please sir help me.
Sir aapka question clear nahi ho raha hai, aap please apna problem clear bataiye. Aap apne regional centre se contact karke dekhiye.
Sir control no kaise milega ye bata sakte h…
Aapne jab admission liya hoga us time aapka control number generate hua hoga, Agar aapne usko print kiya hai to dekhiye usme aapko mil jayega.