Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

19/11/2017 By Santosh Kumar 6 Comments

India Post Office Ka Complaint Or Shikayat Kaise Kare ?

India Post Office Ka Complaint Or Shikayat Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  • 3
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    4
    Shares

India Post Office Ki Shikayat Kaise Kare ? How To Register Complain Against India Post Office? iski step by step jaankari aapko is post me milegi.

Dosto, kya aapko India Post se related koi problem ho rahi hai? Kya aapka parcel kahi bich me atka hua hai aur aapke Post Office wale koi jawab nahi de rahe hai? Ya phir aur bhi kisi tarah ka problem India Post Office se related aapko ho rahi hai to aap sahi jagah aaye hai. Aaj mai step by step batane ja raha hu ki aap India Post ke regarding koi bhi complain kaise kar sakte hai.

Is post me mai jo tarika batane jaa raha hu usme aapka Complaint ya Shikayat direct Central Government (Kendra Sharkaar)  ko jayega. Iske pure process ko jaanne ke liye aap post ko pura pahiye aur last tak aap khud jaan jayenge ki complain kaise karna hai. To chaliye ab jaan lete hai ye kaise karte hai?

Inhe Bhi Jaane :-

  1. Windows 7, 8, 10 Ke Product Key And Product Id Ko FREE Me Find Kaise Kare ?
  2. Aapka SIM Card Kiske Name Par Hai 2 Minute Me Kase Pata Kare ?

India Post Office Ka Complaint Or Shikayat Kaise Kare ?

India Post Office ka complain karne ke liye neeche ke steps ko follow kare-

  •  Sabse pahle aap kisi bhi device (Mobile, Tab, Computer, Laptop, etc.) me browser ko open kar le.
  •  Browser me ek website https://www.pgportal.gov.in me jaaye. Yah website Indian Government ki hai isliye is site se regiser ki gayi complain sidhe Related Government ke paas jati hai.
  •  Is website ke open hone ke baad waha pe ek “CITIZEN CORNER” ka box milega, us box me aapko 3 options milenge un options me se aapko sabse upar wale option “Please Lodge your grievance here” par click karna hai.
India Post Complaint
India Post Complaint
  •  Please Lodge your grievance here wale option par click karte hi aap ek naye page par aa jayenge. Is page me aapko “SELECT AN OPTION” likha hua milega, uske neeche aapko 2 options mil jayenge, un options me se aapko upar wala option “Public Grievance” par click karna hai.
India Post Complaint Public Grievance
India Post Complaint Public Grievance
  •  “Public Grievance” par click karte hi uske neeche ek list khul jayegi. Is list me aapko sabse neeche wale option “I agree that my grievance does not fall in any of the above listed categories” wale box me click karna hai.
Post Office Ka Shikayat Kaise Kare
Post  Office Ka Shikayat Kaise Kare
  • I agree wale box me click karne ke baad usi ke neeche ek “Submit” ka option hoga, ab us Submit wale option ko click karna hai.
  • Submit  par click karte hi ek form open ho jayega ab aapko is form ko bharna hoga.

Is Form ko fill up karne ke baad hi aapka Complaint or Shikayat Central Government ke paas jayega. Agar aapko nahi pata hai ki is form ko kaise bharna hai to maine neeche bataya hai use carefully padhe.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. Apna Aadhaar Card Kaise Download Kare ?
  2. Gas Subsidy Ke Liye Aadhaar Card LPG Linking Status Kaise Check Kare ?

Post Office Complain Form Fill Up Process

Upar ke steps ko follow karne ke baad aapke paas aye Complaint Form ko fill up karne ke liye niche bataye steps ko follow kare-

Note – Star (*) mark wale field ko jarur bhare nahi to aapka complain register nahi hoga.

  • Sabse pahle wale row Grievance Concerns me aapko “Central Government” ke option ko select karna hai.
Post Office Complaint Form
Post Office Complaint Form
  • Second row Select Ministry/Department me aapko “Post (Department)” wale option ko select karna hai.
  • Third row Grievance Category me aapko Post Office ke regarding jo bhi problem hai uske according apna option choose kare.
  •  Ab next row “Name” me aapko apna pura name bhar de.
  • Agle row Do you want to have a password for this Grievance? me aap agar is complain ke liye koi password lena chahte hai to “Yes” wale option ko choose kare, agar nahi chahte to “No” wale option ko choose kare.
Post Office Shikayat Form
Post Office Shikayat Form
  • Next ke options Address, Pincode, Country, State, District wale options me aap apne hisaab se apna Detail fill up kar de.
  • Ab uske next row “Phone No.” wale me agar aap phone number dena chahte hai to waha bhar de.
  • Next row “Email Id” wale me aapko apna email id bharna hai (Jaruri nahi hai lekin de dijiye)
  • Ab aapko ek bada sa box dikhega, is box me aapko apna problem batana hai. Aapka jo bhi problem hai Post Office ke regarding usko is box me detail me kewal Hindi ya English language me hi likhe, kyunki dusre language me likhe complain ko nahi liya jata hai.
India Post Shikayat Form
India Post Shikayat Form
  • Iske neeche agar aapke problem se related Reference Number aur Date dena chahte hai to de sakte hai bas aapko “Reference Number” wale box me Number aur Date bharna hai.
  • Iske neeche agar aapke paas problem se related koi document hai to aap usko PDF format me upload kar sakte hai bas aapko “Do you want to upload PDF Attachment?” wale row me “Yes” wale option ko select karna hai aur iske baad PDF file upload karne ka window khul jayega, iske baad aap apna PDF file upload kar de.
  • Iske baad aapko neeche diye gaye Captcha Code ko uske neeche diye gaye box me bharna hai.
  • Captcha code bharne ke baad sabse neeche ek “Submit” button milega, is button ko click karne se pahle aapne jo bhi information bhara hai is form me usko acche se check kar le. Check karne ke baad ab aapko us “Submit” button ko click karna hai.
  • Jaise hi aap submit button pe click karenge aapko ek “Registration Number” diya jayega, yah registration number aapke Mobile number aur Email id me bhi bhej diya jayega. Is registration number ko sambhal ke rakhe kyunki baad me aap apne complain se related progress status ko isi number se check kar sakte hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. Railway Reservation Counter Me Kataye Ticket Ko Online Cancel Kaise Kare ?
  2. YouTube Me Apna Channel FREE Me Kaise Banaye ?

Is tarah se aapka India Post Office ka Complaint Submit ho jayega. Agar is Complaint se related kisi tarah ka progress hoga to ise aap dekh sakte hai aur jaan sakte hai ki aapka Complaint me kuch action liya jaa raha hai ya nahi ?

India Post Office Ke Complaint Ya shikayat Ka Status Kaise Check Kare ?

Agar aap janana chahte hai ki is website se kiye gaye complain ke status ko kaise check kare to neeche bataye steps ko follow kare.

  • Sabse pahle aap website https://www.pgportal.gov.in ko open kare.
  • Is website ke open hone ke baad waha pe ek “CITIZEN CORNER” ka box milega, us box me aapko 3 options milenge un options me se aapko sabse upar wale option “Please Lodge your grievance here” par click karna hai.
  • Ab aap ek naye page par aa jayenge. Is page ke menu bar me apko “View Status” ka option milega aapko is option par click karna hai.
India Post Complaint Status Check
India Post Complaint Status Check
  • Jaise hi aap “View Status” ke option par click karenge ek naya page khul jayega. Is page me aapko aapke complain se related Registration Number bhar de.
Post Office Shikayat Status
Post Office Shikayat Status
  • Ab iske neeche captcha code hoga, us Captcha Code ko uske neeche wale box me bhar de.
  • Captcha code bharne ke baad usi box ke neeche ek “Submit” ka option milega usko click kare.
  • Submit ke option par click karte hi aapke complain se related jo bhi progress hui hogi uska status aapko waha dikh jayega.

Jis din bhi aapne complain register kiya uske 7 working days ke andar aapke complain ko solve kar diya jata hai, ye badh bhi sakta hai ye aapke location par depend karta hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  1. Mobile Me HINDI Typing Kaise Kare ?
  2. Bina Internet Train Ka Time-Tabler Ki Jaankari Kaise Le ?

To aapne dekha ki India Post Office se related complain karna kitna aasaan hai. Mujhe aasha hai ki ab aage se agar aapke saath post office se related kisi bhi tarah ki problem hogi to aap aashaani se iski complain sidhe Central Governmet ke paas kar payenge, aur isse aapki problem bhi solve ho jayegi.

Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to aap jarur Comment kare, hame aapki madad karke khushi hogi. Aur agar hamare post ke baare me kisi bhi tarah ka sujhaav aapke paas ho to bhi Comment jarur kare, hame aapke comment ka intezar rahega.

Agar aapko yah post pasand aaya to ise Social Media me SHARE karna bilkul bhi na bhule. SHARE karne se aap jaruratmand logo ki madad karenge. Dhanyawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  • 3
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    4
    Shares
  •  
    4
    Shares
  • 3
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  

Related Posts For You:

  1. Bank of India BOI Ke ATM, Debit Card Ka PIN Change Kaise Kare?
  2. Union Bank Of India (UBI) Account Number Aur Aadhaar Link Hai Ya Nahi Status Kaise Check Kare ?
  3. 2 Minute Me PAN Card Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?
  4. Kaun Banega Crorepati, KBC 2017 Season 9 Me Ghar Baithe Participate Kaise Kare ?

Filed Under: Useful Tips Tagged With: Complaint, India Post, Post Office

RECOMMENDED POST FOR YOU

Counter Railway Ticket Ko Online Cancel Kaise Kare

Railway Reservation Counter Ticket Ko Online Cancel Kaise Kare ?

SBI Registered Mobile Number Online Change Kaise Kare ?

SBI Registered Mobile Number Online Change Kaise Kare ?

Aadhaar Card Enrolment And Update Centres Ko Find Kaise Kare ?

Aadhaar Card Enrolment Center And Update Centre Ko Find, Pata Kaise Kare ?

Supporting Document For Aadhar Card Kya Hai

Aadhaar Card Banwane Ke Liye Kya Kya Document Liya Jaata Hai ?

UPPCL UP Electricity Bill Online Payment In Hindi

UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment Kaise Kare ?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. Lakhan says

    20/09/2018 at 1:07 PM

    Postman kabhi bhi Hamare Gaon pisava main post Lekar Nahi Aata mai apna passport Lene gaya tha toh mere ko bola ki 14 Tarik se system kharab hai aapka passport aa gaya hai par Denge nahi

    Reply
    • Suraj Kumar says

      21/09/2018 at 5:22 PM

      Jaise maine is post me bataya hai aap complain kariye, within one week aapka passport aapko mil jayega.

      Reply
  2. umesh says

    11/03/2018 at 8:16 PM

    itni mathapachchi ke baad Complaint krne par kuch hoga ki nhi ….Aap ne complaint kiya hai …..

    Reply
    • Santosh Kumar says

      11/03/2018 at 8:28 PM

      Bhai Post Office wale aapke paas daud ke aayenge. Isse direct Central Government ke paas complaint jata hai.

      Reply
  3. Rakesh kumar says

    20/12/2017 at 12:45 PM

    gudha gorji (udaipurwati)jhunjhunu rajasthan 333022 manroop kumar postman timr pe post nahi send kar raha please sir kuch karo.

    Reply
    • Santosh Kumar says

      20/12/2017 at 6:48 PM

      Aap is post ko achhi tarah se padhiye aur uske khilaf Complaint kar dijiye.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved