
Hello Dosto, kya aap India Post Payment Bank (IPPB) me account khulwane me interested hai? Kya aap iske process ko janana chahte hai, to is post ko pura padhe kyonki main is post me batane jaa raha hu ki aap India Post Payments Bank me online ghar baithe account kaise khulwayenge.
India post payment bank me account rahne se hame fayda yah hai ki yah ek digital bank hai, aur iske branches already available hai lagbhag har ek sahar me, aur kuch dino me mujhe lagta hai ki yah har ek post office tak bhi pahunch jayega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Paytm ATM / Debit Card Ghar Baithe Apply Kaise Kare?
- LPG Gas Connection Me Address Change Kaise Kare? (HP Gas, Indane Gas, Bharat Gas)
India Post Payment Bank me account khulwane ke liye jaruri chize-
- Aadhaar Number
- PAN Number
- Mobile Number jo India Post Payment Bank me register hoga
- Aadhaar Card me link Mobile Number
India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Open Kaise Kare?
IPPB me apna account online kholne ke liye neeche bataye gaye steps ko acche se follow kare:-
- Iske liye sabse pahle aap apne mobile me “IPPB Mobile Banking” application ko Play Store se download kar le.
- Ab aap is app ko open kare, open karte hi aap iske home page me pahunch jayenge. Yaha par aapko “OPEN YOUR ACCOUNT NOW!” ka ek option mil jayega, ab aapko is option par click karna hai.

- Iske baad ek naya page aayega jisme aapko “Mobile Number aur PAN Number” daalne ko bola jayega, yaha par aap mobile number aur PAN Number daal kar neeche diye gaye “Continue” ke option par click kare.
- Iske baad aapse aapka “Aadhaar Number” manga jayega, yaha par aap Aadhar Number 2 baar daal kar neeche diye gaye 2 Terms & Conditions wale box ko tick karke sabse neeche diye gaye “Submit” ke button par click kar de.
- Ab aapne jo mobile number shuru me daala tha uspar ek India Post Payment Bank ki taraf se OTP (One Time Password) aayega, jisko is page me daal kar usi ke neeche diye gaye “Submit” ke button par click karna hai.

- Submit par click karte hi aapke Adhaar Card se link mobile number par ek OTP aayega, jisko is page par aapko enter karna hai aur neeche diye gaye “Submit” ke option par click kar dena hai.
- Iske baad aapke saamne 5 options dikhayi denge, jinko aapko ek ek karke complete karna hoga.
- Ab aap is page ke sabse upar wale option “Personal Information” par click kare.

- Is option par click karte hi aapke saamne ek form khul jayega jisme “Mother’s Maiden Name, Spouse Name, Mother’s Name, Father’s Name, Email ID aur Name” bharna hai aur sabse neeche ke “Save” button par click karna hai.
- Ab aap peeche wale page par pahunch jayenge, aur yaha par aap dekhenge to Personal Information wale option jisko aapne abhi abhi bhara tha, uske aage tick ka mark aa gaya hai, iska matlab hai aapne is option ko complete kar liya hai. Ab aap iske neeche wale option “PAN & Communication Address” ko select kare.

- Iske baad aapke saamne aapka permanent address aa jayega, jo address aapke Aadhaar card me hoga wahi address yahan aayega. Agar aapka Communication Address aur permanent address same hai to “Same as permanent address” ke box me tick mark laga de aur agar aap apna communication address add karna chahte hai to is box ko untick karke apna address fill karke sabse neeche diye gaye “Save” ke button par click kar de.
- Ab aapko phir se peeche wale page par le jaya jayega, jahan aapko “Nominee Details” ke option par click karna hai.

- Ispar click karte hi aapke saamne aa jayega ki aap is account me Nominee jodna chahte hai ya nahi. Yahan par aap apne anusaar chunaav kar le aur iske baad sabse neeche diye gaye “Save” ke button par click kar de.
- Phir se aap peeche wale page par pahunch jayenge, yahan par aapko ab “Additional Information” wale option ko select karna hai.

- Ab ek naya page khulega jisme aapko apni “Nationality, Marital Status, Occupation Type, Gross Annual Income, Educational Level & etc” bharni hai, iske baad sabse neeche diye gaye “Save” ke option par click karna hai.
- Wapas aap peeche wale page par pahunch jayenge, ab aapko sabse last wale option “Account Information” par click karna hai.
Aadhar Virtual ID Kaise Banaye? Ise Generate / Forgot / Retrieve Kaise Kare?
- Is page me aapse poocha jayega ki aap apne India Post Payment Bank account ka statement lena chahte hai ya nahi, aur iske neeche ke options ko bhi apne anusaar select kar le, aur sabse ant me diye gaye “I AGREE TO IPPB TERMS AND CONDITIONS” ke box ko tick kar de aur sabse neeche diye gaye “Save” ke option par click kar de.
- Iske baad aap phir se peeche wale page par pahunch jayenge, yahan par aap dekhenge to sabhi options ke aage tick ka mark aa gaya hoga aur sabse neeche me bhi “Cancel aur Continue” ke 2 options aa gye honge, ab aapko sabse neeche ke “Continue” wale option ko select karna hai.

- Ab aapke saamne “Confirmation” ka page aap jayega, abhi abhi aapne jo information bhari thi wo saari yahan dikhai jayegi, aur sabse upar me “Banking Options” me aap jo services lena chahte hai use tick kar de. is page me dikhai gayi sabhi information ko check kar le, kahi bhi sudhaar karna ho to us section ke right side me ek pen ka nishaan hoga uspar click karke aap isme sudhaar kar sakte hai.
- Sabhi information sahi hone par sabse neeche diye gaye “Confirm” ke button par click kare.
- Iske baad aapke Aadhaar card me registered mobile number par ek baar phir se OTP aayega, jise is page me bhar kar usi ke neeche diye gaye “Submit” ke button par click karna hai.

- Submit par click karte hi aapke saamne ek message aayega “Account Created Successfully”, iska matlab hai ki aapka account India Post Payment Bank me khul chuka hai. Isi ke neeche aapka “Customer ID aur Account Number” diya hua hoga, jise aap acche se save karke rakhe.
Important:- Is tarah se India Post Payment Bank me khulwaye gaye account me 12 mahino ke andar iska KYC kisi bhi Post Office me karwana hoga jahan par yah suvidha uplabdh hai. Agar aap iska KYC 12 mahino me nahi krwate hai to aapka account band kar diya jayega. 12 mahino tak aap is account ka use online kar sakte hai, aap jaise hi iska KYC karwayenge yah ek normal account me convert ho jayega.
- SBI Missed Call Banking Ke Liye Register & Enquiry Kaise Kare?
- Canara Bank ATM Card Green PIN Generate aur Activate Kaise Kare?
To dekha dosto kitna aasaan hai India post payment bank me account kholna, aur ab mujhe aasha hai ki aap khud se hi apna account IPPB me khol payenge aur iska use kar payenge.
Agar abhi bhi aapko koi sawal hai to hame jarur comment me bataye, main aapke comment ka reply jaldi se jaldi dene ki kosis karunga.
Is post ko Share jarur kare, jisse aur bhi logo ki madad ho sake.
I Am Suraj Kumar, I Am Intrested In Blogging, Video Making, Content Writing and More. So I am Writing Posts In This Site.
Leave a Reply