Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

05/12/2017 By Santosh Kumar 19 Comments

JBVNL Se Jharkhand Electricity Bill Online Pay Kaise Kare ?

JBVNL Se Jharkhand Electricity Bill Online Pay Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  • 6
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    7
    Shares

Dosto, Agar aap Jharkhand me rahte hai aur Jharkhand State Electricity Board (JSEB) ke consumer hai to Jharkhand sarkar ab aapko yah suvidh provide kar rahi hai ki aap apna electricity ka bill ghar baithe online pay kar sakte hai. Yah suvidha hame Jharkhand State Electricity Board ne Jharkhand Bijli Vitran Nigam Limited (JBVNL) ki sahayta se de rahi hai.

Pahle hume electricity board ke office me jakar apna electricity bill jama karna padta tha. Waha jakar bill jama karwane me bahut problem ka samna karna padta tha jaise-

  1. Electricity Board ka office hamare ghar se dur hota hai, kewal bill jama karne ke liye itni dur jana padta hai.
  2. Kai Kai baar Electricity Board ke staffs nahi milte hai jiske karan hume bina bill jama kiye hue hi wapas aana padta hai,  aur agle din fir se office ke chakkar katne padte hai.
  3. Itni busy time me bhi hame kewal Bijli Bill bharne ke liye 1, 2 din waste karna padta hai.

In sabhi kaarno se yah kafi time consuming and irritating wala kaam ban jata hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Aapka SIM Card Kiske Name Par Hai Kaise Pata Kare ?
  • Aapka Aadhaar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Pata Karne Ke 3 Sabse Aasan Tarike ?

Inhi sabhi Problem se bachne ke liye sarkar ne electricity bill ke Online Payment ki suvidha ko start kiya hai jiska laabh aap bhi uthaye aur ghar baithe hi electricity bill pay kariye aur tension free rahiye.

Jharkhand Bijli Bill Online Pay Karne Ke Tarike

Jharkhand Bijli Bill aap Online 2 tarah se pay kar sakte hai.

  1.  JBVNL ke official website se.
  2.  JBVNL ke Official App ka use karke Android Mobile se.

Agar aap nahi jante hai yah kaise karna hai to is Post ko padhte rahiye is Post me mai aapko iske 1st tarike JBVNL Se Jharkhand Electricity Bill Online Pay Kaise Kare ? How To Pay Online Jharkhand Electricity Bill In Hindi ? par detail jankari dene ja raha hu.

JBVNL Se Jharkhand Electricity Bill Online Pay Kaise Kare ?

Isko acche se janane ke liye neeche ke steps ko acche se follow kare-

  •  Sabse pahle aap JBVNL ke official website https://www.jbvnl.co.in me jaye.
  •  Is website ko open karne ke baad iske menu me aapko ek option “Payment” milega. Ab aapko is option par click karna hai.
Jharkhand Electricity Bill Online Payment
Jharkhand Electricity Bill Online Payment
  •  Jaise hi aap Payment ke option par click karnege wahi pe ek dropdown menu khulega, us dropdown menu me se option “Online payment” par click karna hai.
  •  Jaise hi aap Online payment wale option par click karnge, aapke samne ek naya page khul jayega.
  •  Ab is naye page me aapko “Select Bill By” ke option par click karna hai. Click karte hi aapke samne kuch options aa jayenge, ab aapke paas jo bhi information hai uske according choose kar le. Suppose ki aapne “Consumer No.” select kar liya hai.
JBVNL Customer Electricity Bill Pay Online
JBVNL Customer Electricity Bill Pay Online
  •  Jaise hi aap Consumer No. select karnge uske neeche do aur option khul jayenge. First wale option “Input Consumer No.” me aapko apna consumer number bhar dena hai aur uske neeche wale option me aapko aapka “Area” select karna hoga.
  •  Area select karne ke baad aapko ab “SUBMIT” ke option par click karna hai.
  •  Jaise hi aap submit wale option par click karenge aapke electricity bill se related saari information khul jayegi.
  •  Agar aap apne electricity bill payments ki history dekhna chahte hai to aap “Show Payment History” wale option par click kare, click karte hi aapki payment ki saare history khul jayegi.
  • Isi page ke niche me aapko “Month Wise Billing Details” likha hua milega iske neeche aapke saare months ke bill kitne aaye the wo show ho jayenge, ab aapko jis bhi month ki bill pay karni hai us month ki details ke saamne hi aapko “View” ka option mil jayega us option par click kar de.
JBVNL Month Wise Billing Details
JBVNL Month Wise Billing Details
  •  Ab aapke samne ek naya page khul jayega aur is page me us month ki electricity bill se related saari information mil jayegi.
  •  Is month ka bill pay karne ke liye aapko sabse neeche jana hai aur wahi par aapko ek option “Online Payment” par click karna hai.
JBVNL Online Payment
JBVNL Online Payment
  •  Jaise hi aap Online Payment par click karenge aapke saamne ek aur page khulega, is page me aapko “Pay Now” ka option mil jayega uspar click kare.
Jharkhand Bljli Vitran Nigam Limited Online Payment
Jharkhand Bljli Vitran Nigam Limited Online Payment
  •  Jaise hi aap Pay Now par click karenge aap payment ke page par aa jayenge aur aapko yaha par 3 payment ke modes (1. Cards, 2. Net Banking, 3. Cash Cards/Wallets) ke options mil jayenge. Ab aap jis bhi tarah se pay karna chahte hai bas aap us mode ko select kariye aur waha apna details daalkar bill pay kar dijiye.
JBVNL Bill Pay Via Cards, Net Banking, Wallet
JBVNL Bill Pay Via Cards, Net Banking, Wallet
  • Bill pay karne ke baad aapka Receipt Generate kar dega. Aap is Receipt ko Print Ya PDF me Download karke rakh sakte hai. Receipt rakhne se aapke paas ek Proof ke saath Record bhi rah jayega.

To dekha dosto aapne ki Jharkhand electricity bill pay karna kitna aashaan hai, aur isse aapka kafi time bhi bachega aur tension se bhi door rahenge. Yah process aapko abhi lamba lag raha hoga lekin jab aap ise ek baar kar lenge to yahi aapko aasaan lagne lagega.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Subsidy Ke Liye Aapka LPG Gas Aadhaar se Link Ki Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
  • Railway Reservation Counter Me Kataye Ticket Ko Online Cancel Kaise Kare ?
  • Android Mobile Me HINDI Typing Kaise Kare ?

Ab mujhe aasha hai ki agle month se aap apna electricity bill online hi Pay karenge. Agar aapne hamare is post se kuch seekha to aap is post ko apne Dosto aur Ristedaaro ke saath Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre logon ki madad karenge aur wo bhi ghar baithe hi apna electricity bill bharkar apna time bacha sakenge.

Aapko yah Post kaisa laga iske baare me Comment karke hame bata sakte hai. Dhanyawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  • 6
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  
  •  
    7
    Shares
  •  
    7
    Shares
  • 6
  •  
  •  
  •  
  • 1
  •  

Related Posts For You:

  1. JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill (Electricity Bill) Online Pay Kaise Kare ?
  2. UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment Kaise Kare ?
  3. IGNOU Online Admission Complete Process In Hindi [ With Image ]
  4. Vehicle ( Vahan, Gadi ) Ka Road TAX Online Payment / Pay Kaise Kare ?

Filed Under: Useful Tips Tagged With: Electricity Bill, JBVNL, JSEB, Online Payment

RECOMMENDED POST FOR YOU

Aadhaar Card Ka Status Active, Deactivate, Valid Or Invalid

Aadhaar Card Ka Status Active, Deactivate, Valid Or Invalid Check Ya Verify Kaise Kare ?

SBI Account Ka Balance Enquiry Check Karne Ke 4 Aasaan Tarike

SBI Account Ka Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Aasaan Tarike

Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App

Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?

Aadhaar Card Download Kaise Kare

Aadhaar Card / E-Aadhaar Card Download Kaise Kare ?

Kaun Banega Crorepati KBC

Kaun Banega Crorepati, KBC 2017 Season 9 Me Ghar Baithe Participate Kaise Kare ?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. Shahnawaz says

    16/09/2018 at 5:03 PM

    Sir agar mera bijli miter kharab ho jae to kya Kare please batae

    Reply
    • Suraj Kumar says

      17/09/2018 at 9:47 AM

      Tab aap apne Electricity Board ke office me jakar inform kare, uske baad unke dwara ispar action liya jayega aur aapka meter change kar diya jayega.

      Reply
  2. AJIT KUMAR says

    31/03/2018 at 2:03 PM

    HAMARE GHAR KA BILL RS =11864 HAI LAKIN HAMARE PASS RS=2300 HAI KAISE PAYMENT KARE

    Reply
    • Santosh Kumar says

      02/04/2018 at 7:05 PM

      Tab aapko bijli office me jakar jama karna padega.

      Reply
    • Y p keshary says

      17/04/2018 at 7:26 PM

      We can pay even excess amount.which will be adjusted in your next bill.

      Reply
      • Santosh Kumar says

        19/04/2018 at 10:28 AM

        Mujhe nahi lagat hai ki aisa koi facility abhi JBVNL me hai.

        Reply
  3. L F SHAHDEO says

    22/03/2018 at 9:33 AM

    Mere Bijali bill me mera nam galat print hoker aata hai. Ishe kaise thik karwaya jai. Kiske pass jana hoga.

    L F M SHAHDEO

    Reply
    • Santosh Kumar says

      22/03/2018 at 12:56 PM

      Aap bijli office me jakar application de saath me sahi name ka proof bhi attach kare.

      Reply
      • AJIT KUMAR says

        31/03/2018 at 2:05 PM

        22/03/2018 at 9:33 AM

        Mere Bijali bill me mera nam galat print hoker aata hai. Ishe kaise thik karwaya jai. Kiske pass jana hoga.

        L F M SHAHDEO

        Reply
        • Santosh Kumar says

          02/04/2018 at 7:04 PM

          Iske liye aap bijli office me jakar contact kijiye. Pura process wahi aapko pata chalega.

          Reply
  4. kamal sharma says

    12/03/2018 at 1:15 PM

    Thanks Santosh
    you have helped all those who are suffering from hectic Bill depositing procedure.

    Reply
    • Santosh Kumar says

      13/03/2018 at 10:07 AM

      Welcome Brother & thanks for encourage us.

      Reply
    • prabir mandal says

      18/04/2018 at 10:52 AM

      Bhai Santosh, online electricity bill the site to problem dikha raha hai. Aaj kal bill payment wala page nahin khul raha hai.
      Pls check karke batao please.

      Reply
      • Santosh Kumar says

        19/04/2018 at 10:29 AM

        Yah problem kab aa raha hai jab Bill Payment karte hai tab ya apna detail kholte time ?

        Reply
      • kunal says

        22/10/2019 at 9:33 PM

        kavi kavi servor busy hone karan bhi aisa problm hota hai . ya to kavi internet ka v problm hota hai

        Reply
  5. Anand Kumar says

    03/03/2018 at 1:48 PM

    Maine abhi February month ka bill pay kiya hai, ab agar mai ye jaana chahta hu ki mere previous month ka bill status “paid” hai ya “unpaid” ye kaise pata kare?

    Reply
    • Santosh Kumar says

      03/03/2018 at 7:41 PM

      Ha dekh sakte hai. Show Payment history me jakar dekh sakte hai.

      Reply
  6. Achintya says

    11/02/2018 at 7:20 PM

    February ka bill ghar a gaya hai par abtak is site pe January tak ka hi billing detail dikha raha hai with billing status already paid. Any idea site kab tak update hogi ya ye regularly update hoti bhi hai ya nahi??

    Reply
    • Santosh Kumar says

      12/02/2018 at 8:44 AM

      Bill ghar aane ke kuch dino ke baad hi wah website me update hota hai, pareshan na ho. Hamare ghar se readings lekar jane ke baad wah update kar dete hai, wait kijiye.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved