
Dosto ATM Card to ham sabhi Use karte hai lekin kya aap Mini Statement ke baare me jaante hai ? Agar nahi to aap yah Post last tak padhiye kuki is Post me mai batane ja raha hu ki – Mini Statement kay hai ? Isko aap ATM se kaise nikal sakte hai ? aur last me mai aapko bataunga ki iska hamare life ke kya kya benifit ho sakta hai .
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM Ka Use Kaise Kare? ATM Se Paisa Kaise Nikale ?
- ATM Ka PIN Change Kaise Kare ?
- Apna Gmail Account Free Me Kaise Banaye ?
Mini Statement Kya Hai ?
jaisa ki iske name se hi hame pata chalta hai ki Mini ka matlab hota hai ” Chota “ aur Statement ka matlab hota hai ” Vivran “. iska matlab hai “Chota Sa Vivran” .
Agar ham Banking ke term me baat kare to iska matlab hota hai hamare Bank Account me hone wale Transactions ka Chota Sa Vivran. Mini Statement se hame apne Bank Account me hone wali Transactions ka ek Chota Sa Statement milta hai.
Hamare desh me lagbhag sabhi Banks Is Statement me Recent ke 5 Transactions ki jaankari deti hai. Agar ham Mini Statement nikale to usme hamare Bank Account me hue Recent ke 5 Transaction ka List rahta hai.
Chaliye ab ham jaan tete hai ki ATM se Mini Statement kaise nikal sakte hai.
ATM Se Mini Statement Nikalne Ka Process ?
ATM se Mini Statement nikalna bahut hi aasaan hai. Iske liye niche bataye steps ko follow kare-
- Sabse pahle aap apne ATM Card ko ATM Machine me Swipe kare.
- Ab ATM Screen me bahut saare Options aa jayenge. Is Options me se aap Mini Statement ke option ko Select kare.
- Ab aapse aapka ATM PIN manga jayega. ATM Machine ke Keyboard se apna ATM PIN Enter kar de.
- Uske baad aapse aapka Account Type pucha jayega. Aapka Bank Account jis bhi type ( Saving Account, Current Account ) ka hai use Select kare. Jyadatar Logon ke paas Saving Account hi hota hai.
- Ab thodi der ke baad aapke Left side me ATM Machine se ek Slip niklega.
- Yahi Slip Mini Statement hai use aap waha se Collect kar le.
Aap us Slip me gaur se dekhenge to aapko usme aapke Account ke Recent me hue Transactions ki jaankaari hogi.
To tha na ATM se Mini Statement nikalna aasaan. Ab jaan lete hai ki Mini Statement ke hamare life me kya-kya benefits ho sakte hai.
Mini Statement Ke Benefits
Mini Statement ke hamare life me kai benefits ho sakte hai jo aapke jarurat par depend karta hai.
- Abhi 1 Month me limited transaction hi free hai. kai baar ham bhul jate hai ki is month hamara kitna transaction ho gaya, is time iska pata lagane ke liye hame bank jane ki jarurat nahi padti. Isse ham iski jaankari le sakte hai.
- Bank Statement ke liye Branch jane ki jarurat nahi padti hai.
- Isse aapko aapke Account ke recent me hue transactions ki jaankaari mil jati hai.
- Kai baar hame 1,2 purane transactions ke pahle hue Transaction ke jaankari ki jarurat pad jati hai tab hame iske liye bank jane ki jarurat nahi padti hai.
Inhe Bhi Jaane :-
Ab mujhe ummid hai ki aap Mini Statement ke baare me kaphi chise jaan chuke hai. Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka Sawal hai to Comment Box me Comment kare. Hame aapka madad karke khushi hogi.
Agar aapko yah Post pasand aaya ya jaankari ke layak laga to ise Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Can we delete any transaction detail from mini statement
NO, you can’t do that
banks me refund paisa aaya ya nhi ye pta laga sakte h kya mini sttement se?
sir ham phone se mini statement nikal sakte he
Ha nikal sakte hai. Alag Alag bank ke liye iska alag alag process hai.
Mera khat a Punjab ka Thai to kiya yaha village me nikal sakta hai
Plz comment sir
Ha, Aapka Account kahi ka bhi ho aap Mini Statement nikal sakte hai.