
Dosto jab bhi hame apna SBI Account ka Bank Balance janne ki jarurat padti hai to hum sochne lagte hai ki ab kaise ise check kare. Sayad aapko lagta hoga ki SBI Account ka Balance Enquiry / Check kewal Bank jakar hi kiya ja sakta hai.
Aaj aap is Post ko padhte rahiye, is Post me mai aapko SBI Account ka Bank Balance Enquiry / Check karne ke 4 aasaan tarike ( 4 Easiest Method of SBI Bank Account Balance Enquiry ) ke baare me batane jaa raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Gaya Ise Forgot, Reset Kaise Kare ?
- Aapka Bank Account Aadhaar Card Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare ?
SBI Account Ka Bank Balance Check Karne Ke 4 Tarike Kya Hai ?
- Missed Call ke dwara
- ATM Card ke dwara
- Internet Banking ke dwara
- Bank ke Branch Jakar
Chaliye ab upar ke 4 tariko ke baare me detail se jaan lete hai.
Missed Call Ke Dwara SBI Bank Account Ka Balance Enquiry / Check Karna
Iske liye SBI ke Account se link Mobile Number se is “09223766666” number par missed call karna hai. Missed call karne ke baad aapke SBI Account me jitna bhi balance hoga wo aapko SMS ke dwara us mobile number me bhej diya jayega.
Note :- Is tarah se balance Check karne ke liye 2 cheeje jaruri hai.
- Aapko apne SBI Account me link mobile number se hi missed call karna hoga, dusre mobile number se missed call karne par aapke account ka balance nahi aayega.
- Dusra Iske liye sabse pahle apne SBI account se link mobile number ko is suvidha ke liye Register karwana padta hai.
ATM Card Se SBI Account Ka Bank Balance Enquiry / Check Karna
Iske liye aap niche ke steps ko follow kare-
- Sabse pahle aapko kisi bhi ATM me jana hoga. Waha jane ke baad apne ATM Card ko ATM Machine me Swipe kar le.
- Jaise hi aap card ko swipe karenge ATM ke screen par banking se related bahut sare options aa jayenge, un options me se “BALANCE INQ” ke option ko select kare.
- Ab aapse ATM PIN manga jayega. Iske liye aap screen ke neeche ke keyboard ki madad se apne ATM Card ka 4 digit ka ATM PIN Enter kar de.
- Jaise hi aap pin enter karenge aapse aapka account ka type ( Saving, Current ) poocha jayega, yaha par aapka jis bhi type ka account hai usko select kar le.
- Jaise hi aap apne account ka type select karenge to uske baad ATM ke screen par aapke account me jitna bhi balance available hoga wo dikha diya jayega. Yahi aapka Bank Balance hoga.
Maine yaha SBI ATM Machine ka process bataya hai. Agar aap kisi aur bank ke ATM me jayenge to process me kuch change mil sakta hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- SBI Internet Banking Ka Username Bhul Jaane Par Ise Forgot, Recover Kaise Kare ?
Internet Banking Se SBI Account Ka Bank Balance Check Karna
Intenet Banking se apne SBI Account ka balance check karne ke liye sabse pahle aapke paas SBI ka Internet Banking hona chahiye tabhi aap apna balance check kar sakte hai.
- Iske liye sabse pahle aap https://www.onlinesbi.com par jaye.
- Is website me jane ke baad aap apne Username aur Password ki madad se SBI ke internet banking me login kar lijiye.

- Jaise hi aap login karenge wahi home screen me hi aapko account se related bahut saare options nazar aa jayenge. Aapko wahi par ek Section “Transaction Account” milega, isi Section me aapke account number ke right side me Click here for balance ka option mil jayega.

- Ab aapko apne account ka balance janane ke liye “Click here for balance” ke option par click kare.
- Iske baad usi option ke jagah par aapka account ka balance waha dikhaya jayega, jo aapka SBI ka Bank Balance hoga.

Is tarah se Online Banking se apne SBI Account ka Bank Balance jaan sakte hai.
Bank Ke Branch Jakar SBI Account Ka Bank Balance Enquiry / Check Karna
Agar aapke paas SBI ka Internet Banking, ATM Card aur Ragisterd Mobile Number me se kuch nahi hai. Aise condition me aapke paas ek hi option bachta hai SBI ke Branch me jakar apna account ka balance check karna.
Iske liye aap apna SBI ka Bank Account lekar apne Branch me chale jaiye. Waha jakar Counter me apna Account dekar bank balance puch sakta hai. Aisa karne se SBI Employee aapke bank account ka balance check karke aapko bata denge.
Is tarah se bank balance check karne ka ek tarika aur hai. Abhi bahut sare SBI Branch me khud se Passbook print karne ka Machine lag gaya hai. Kisi bhi SBI Branch me jakar apne Passbook ko Print karke bhi apna SBI Account ka Bank Balance check kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ?
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
To aapne dekha apne SBI Account ka balance janna kitna aasaan hai. Aap in 4 tariko me se kisi ka bhi use karke apne SBI Account ka Bank Balance Enquiry / Check kar sakte hai
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko Achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare saath sabhi Social Media platform me jud sakte hai jaise- YouTube, Facebook, Twitter etc hamare sabhi Social Media handles “Explain In Hindi” name se hi hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply