
Is post me mai aapko batane jaa raha hu SBI ATM Machine se apne Mobile Number Register ya Link kaise kare ? How to Register or link Mobile Number in SBI ATM In Hindi ?
Dosto, kya aapka State Bank Of India ( SBI ) me account hai ? aur abhi tak aapne apne mobile number ko apne account number me register ya link nahi karwaya hai ? aur aap abhi use register karna chahte hai ? to aap sahi jagah par aa gaye hai.
Is post me mai isi ke baare me detail jaankari dene jaa raha hu. To chaliye ab jaan lete hai ki yah kaise hota hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM Ka Use Kaise Kare ? ATM Se Paisa Kaise Nikale ?
- SBI ATM PIN Ko Bhul Gaya . New ATM PIN Kaise Set Kare ?
- SBI New ATM Card Ka PIN Generate Aur Activate Kaise Kare ?
SBI ATM Machine Se Mobile Number Register Karne Ke Banifits.
Dosto agar aapka sbi me account hai to aapko pata hi hoga ki bank me kitni bhid hoti hai aur kisi bhi kaam me kitna time lag jata hai.
Agar aap branch se mobile number register karwana chahte hai to aapko sabse pahle branch jaakar mobile number registeration ke liye application likhkar jama karna padega, ya form fill up karke jama karna padega. Itna karne ke baad aapko intajaar karna padega ki kab bank ke staff aapke application ko process karenge aur aapka mobile number register karenge.
Dusri taraf SBI ATM se registration me 2 minute se bhi kam time lagta hai aur isme aap khud hi apna mobile number register kar lenge. Is tarah se aapka time bhi bachega aur paresaani se bhi bach jayenge.
SBI ATM Se Mobile Number Register Kaise Kare ?
Yah bahut hi aasaan hai iske liye bas aap niche bataye steps ko follow kare –
- Iske liye sabse pahle aap sbi ke kisi bhi atm me chale jaye. ATM me jaakar apne ATM Card ko Swipe kar le.
- Swipe karne ke baad aapke saamne “Banking” se releted bahut saare option aa jaynge, in options me se “REGISTRATION” ke option par click kar de. Ye option aapke left side me hoga.
- Ab aapko atm pin manga jayega yaha apna 4 digit ka atm pin enter kar de.
- Ab aapke saamne Registration se related bahut saare option aa jayenge, inme se “MOBILE NUMBER REGISTRATION” ke option par click kare.
- Iske baad 2 option atm screen par aayenge inme se “NEW REGISTRATION” par click kare.
- Iske baad aapko aapka Mobile Number manga jayega. Yaha aap jo bhi Mobile Number Register karna chahte hai usko enter kar de.
- Mobile Number enter karne ke baad “Confirm” par click kare.
- Iske baad dubara se aapka mobile number manga jayega. Yaha apna Mobile Number Re-Enter kar de.
- Mobile number dubaara se enter karne ke baad “Confirm” par click kare.
- Jaise hi aap Confirm par click karenge atm screen par “You have successfully update your mobile number” likha hua aa jayega. Iska matlab hai ki aapka Mobile Number Register or Link ho gaya hai.
To aapne dekha kitni aasaani se aap apna SBI ATM Machine se Mobile Number ko Register kar sakte hai. Yah process 2 minute se bhi kam time ka hai aur isme aapko kisi tarah ka intajar bhi nahi karna padta hai. Mobile Number Register karne ke baad aapko Account Number se related saare update SMS ke dwara milne lagega.
Inhe Bhi Jaane :-
- Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?
- PNB New ATM Card Ka PIN Generate Aur Activate Kaise Kare ?
- BOI ATM Card Ke PIN Ko Change Kaise Kare ?
Ab mujhe ummid hai ki aapko apna Mobile Number ko Register karne me kisi tarah ki dikkat nahi hogi. Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to Comment kare, hame aapki madad karke khushi hogi.
Agar aapko yah Post pasand aaya ya Jaankari ke layak laga to ise SHARE karna bilkul na bhule, SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge. Dhanyawad.
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Sir kitne ghante ka time lagta h
within 24 hours
Mobile me kaise check krna he ki link hua he ki nhi
Sir mere account number me kisi any I’D ke mobile number registered kr sakta hu meri femliy me se
yes, but it is not safe
Atm se rajistreshan karne ke bad ada mesege aya ki sbi k taraf s apko tin din ke bhitar call ayega
Call verification Ke liye aata hai.
Sir maine se change mobile number per select kiya fir usme phle apna old number or fir new number jaise jaise screen per pucha gya uske anusar dono number enter kiya or fir prosecing aane ke bad unable to procces ho gya ,kyu?please reply to me .
Ye option abhi bahut sare ATM Machine me kaam nahi kar raha hai.
Sir Maine ye. Try Kiya but hua ni new registration ka opsan Aya ni
Bhai abhi yah option hata liya gaya hai.
Sir mera old mobile Number band ho chuka hai to keya ab mobile number Change nhi ho Sakta
Ho Jayega iski jankari ke liye is link ko follow kare :- https://www.explaininhindi.com/sbi-me-registered-mobile-number-kho-band-ho-jane-par-change-kaise-kare/
Hi Sir,maine mobile number regester kiya pr uske baad mare mobile pr koi msg nahi aaya ha.mare number regester ho gya ha ki nahi.pls reply me sir
Jabtak aap apne mobile number ko verify nahi karenge tabtak wah registered nahi hoga.