Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

16/11/2017 By Santosh Kumar Leave a Comment

SBI ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?

SBI ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  • 2
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  
  •  
    4
    Shares

Kya aap jaante hai ki ab SBI ATM se  Bank Account Ko Aadhaar Card Se Jod Ya Link kar sakte hai ? Do You Know How To Link SBI Account And Aadhaar Number Through SBI ATM ?

Agar aap chahte hai ki aapka SBI (State Bank Of India) ka account band na ho aur aapne abhi tak apne account ko Aadhaar se link nahi kiya hai to aapko jaldi se jaldi Aadhaar se link kar lena chahiye. Ise aap khud bhi SBI ke ATM Card se kar sakte hai, Isme 2 minute se bhi kam time lagta hai.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Union Bank Of India Account Aur Aadhaar Linking Status Kaise Check Kare ?
  • SBI New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
  • Aadhaar Card Ko Banane Ya Update Karane Me Kya-Kya Document Liya Jata Hai ? 

Aage main yahi batane ja raha hu ki kaise aap apne atm card ki sahayta se apne bank account ko aadhar card se link kar sakte hai.

State Bank Of India (SBI) ATM Se Bank Account Ko Aadhaar Se Kaise Link Kare ?

Yah bahut hi aasaan hai, Iske liye neeche ke steps ko follow kare.

  1.  Sabse pahle aap kisi bhi SBI ke ATM me chale jaye.
  2.  Ab aap apna ATM Card machine me swipe kare.
  3.  Card swipe karte hi ATM Machine ke screen par aapko bahut saare options nazar aa jayenge, un options me se aap “REGISTRATION” ke option ko select kare.
  4.  Jaise hi aap REGISTRATION ke option ko select karenge aapse aapka ATM Pin maanga jayega. Ab aapko apne ATM ka PIN daal dena hai.
  5.  Jaise hi aap aapne ATM ka PIN daalenge ATM ke screen par phir se bahut saare options nazar aayenge, un options me se aapko “AADHAR REGISTRATION” ke option ko select karna hai.
  6.  Jaise hi aap AADHAR REGISTRATION ke option ko select karenge, ATM ke screen par AADHAR REGISTRATION MENU likha aayega aur uske neeche “REGISTRATION” ka option aayega. Ab aapko “REGISTRATION” ke option ko select karna hai.
  7.  Jaise hi aap REGISTRATION ke option ko select karenge aapse aapka 12 digit ka Aadhaar Number manga jayega. Yaha aap apna 12 digit ka Aadhaar Number enter kar de.
  8.  Aadhaar number enter karne ke baad aapko “PRESS IF CORRECT” ke option ko select karna hai.  Agar aapne Aadhaar Number galat dala hai to aapko “SELECT IF INCORRECT” ke option ko select karke sahi aadhar number enter karna hai.
  9.  Jaise hi aap PRESS IF CORRECT select karenge aapse dubara Aadhaar number manga jayega. To ab aap dubara apna Aadhaar number re-enter kar de.
  10.  Dubara Aadhaar number enter karne ke baad phir se aapko “PRESS IF CORRECT” ko select karna hai.
  11.  Jaise hi aap “PRESS IF CORRECT” ko select karenge aapse aapka account type poocha jayega. Ab aap aapna account type jo bhi hai (Saving Or Current) usko select kare.
  12.  Account type select karte hi ATM ke screen par ek message “Your transaction is being processed, please wait” aayega, iska matlab hai ki aapka transaction process ho raha hai intezar kare.
  13.  Iske kuch der ke baad ATM screen par ek aur message “The transaction is complete” aayega, iska matlab hai ki aapka Aadhaar linking process complete ho gaya hai.
  14.  Ab aapke SBI ke account se aapka Aadhaar Number link ho gaya hai.

To aapne dekha dosto apne ATM se SBI ke account ko Aadhaar se link karna kitna aasaan hai. Mujhe aasha hai ki ab aap apne SBI ke account ko aadhar se khud link kar payenge aur aage aapne account ko band hone se bacha lenge.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Aapka Aadhaar Card Ka Status Activate, Deactivate Kaise Check Kare ?
  • SBI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ? Step By Step Jaankari
  • SBI ATM Card Ka PIN Bhul Gaya, Isko Dubara Forgot, Reset Kaise Kare ?

Mujhe aasha hai ki aapko is post se bahut madad mili hogi aur aage aapko dikkat nahi hogi. Agar abhi bhi aapke man me kisi tarah ka sawal hai to Comment jarur kare. Aur agar hamare post ke bare me kisi tarah ka bhi sujhaav aapke man me ho to bhi jarur Comment kare.

Agar aapko yah post pasand aaya to ise Social Media me SHARE karna bilkul bhi na bhule. SHARE karne se aap jaruratmand logo ki madad karenge. Dhanyawad.

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  • 2
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  
  •  
    4
    Shares
  •  
    4
    Shares
  • 2
  •  
  •  
  •  
  • 2
  •  

Related Posts For You:

  1. Aapka Aadhaar Card Number Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare ?
  2. 1 Minute Me Bina Internet Ke Aadhaar Card Number Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare
  3. (Union Bank Of India) UBI Account Ko Aadhaar Card Se Link Kaise Kare ? Online And Offline
  4. Union Bank Of India (UBI) Account Number Aur Aadhaar Link Hai Ya Nahi Status Kaise Check Kare ?

Filed Under: Aadhaar Card, Banking Tagged With: Aadhaar Card, Bank Account, SBI

RECOMMENDED POST FOR YOU

LPG Gas Connection Me Address Change Kaise Kare ?

LPG Gas Connection Me Address Change Kaise Kare ? (Indane Gas, Bharat Gas, HP Gas)

SBI ATM PIN Forgot / Reset Complete Process In Hindi

SBI ATM / Debit Card Ke PIN Ko Bhul Gaya. SBI ATM Card Ke PIN Ko Forgot / Reset Kaise Kare ?

Submit URL To Google

How To Submit URL To Google, Add URL To Google In Hindi

Bank Account Mini Statement

Mini Statement Kya Hai ? ATM Se Mini Statement Kaise Nikale ?

IGNOU Exam Form Submission Status Kaise check Kare

IGNOU Term End Exam Form Status Online Kaise Check Kare?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved