
Dosto Agar aap ( SBI Internet Banking, SBI Online Banking ) SBI Net Banking use karte hai aur iske Login Password ko bhul gaye hai to pareshan hone ki koi jarurat nahi hai. Is Post ko pura padhiye aapko iska solution mil jayega.
Is Post me mai “SBI Internet Banking Login Password ko Forgot / Reset karne ke 3 Aasaan tarike ? 3 Easiest Method of Forgot Or Reset SBI Net Banking Login Password In Hindi ? ke baare me detail se batane ja raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
- Aapka Aadhar Card Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
SBI Net Banking Login Password Forgot / Reset Karne Ke Liye Kya-Kya Chahiye ?
Iske liye aapke paas kuch Information ka hona jaruri hai tabhi aap ise Forgot kar payenge.
- SBI Net Banking Username. (Agar apna SBI Username bhul gaye hai to yaha click kare )
- SBI Account me Registered Mobile Number.
- Us Account se issue ATM Card ka details.
SBI Internet Banking Ke Password Ko Forgot / Reset Karne Ke 3 Tarike
Neeche diye gaye 3 tariko se aap SBI Net Banking Login Password ko Reset kar sakte hai-
- Using ATM Card Details
- Using Profile Password
- Without ATM Card and Profile Password
- SBI Net Banking Profile Password.
Chaliye ab in 3 tariko ke baare me detail se jaan lete hai.
SBI Net Banking Login Password Forgot / Reset Karne Ke Common Steps
Kuch Steps sabhi 3 tariko me common yani same hai. In Steps ko sabhi tariko me follow karna padega.
Step 1.
- Sabse pahle aap SBI Internet Banking ke official website https://www.onlinesbi.com par jaye.
- Is website me jane ke baad waha par aapko “LOGIN” ka option milega, is option par click kare.

Step 2.
Jaise hi aap LOGIN par click karenge ek naya page khul jayega, is page me aapko “CONTINUE TO LOGIN” ke option par click karna hai.

Step 3.
Ab aap login wale page me pahuch jayenge. Is page me aapko bahut saare options mil jayenge, in options me se aapko Password reset karne ke liye “Forgot Login Password” wale option par click karna hai.

Step 4.
Iske baad aap ek new page me aa jayenge. Isme aapko ek drop down menu milega jisme se aapko “Forgot My Login Password” ke option ko select karna hai aur uske baad uske neeche diye gaye “Next” button par click karna hai.

Step 5.
Jaise hi aap next button par click karenge aapke samne ek naya page khul jayega aur is page me aapko kuch informations bharni hogi.

- Sabse pahle wale box me aapke SBI Intenet Banking ka Username bharna hai.
- Uske neeche wale box me aapko apne SBI ka Account Number bharna hai.
- Uske neeche apko apni Country select karni hai.
- Country select karne ke baad uske neeche apne SBI account me Registered Mobile Number bharna hai. Mobile number ko sahi bhare kyonki usi number par ek OTP aayega.
- Iske baad aapko apna Date Of Birth bharna hai.
- Last wale box me us captcha code ko bhare jo usi box ke right side me diya hua hai.
- Saari information bharne ke baad ek baar acche se verify kar le. Verify karne ke baad wahi par ek “Submit” ka button hoga usko click kare.
Step 6.
Iske baad aapke samne ek naya page khulega jisme ki ek OTP manga jayega. (Yah OTP us registered mobile number me bheja gaya hoga jo aapke account ke saath link hoga).

- Ab aap is OTP ko us box me Enter kar de.
- Agar OTP nahi aa raha hai to neeche “Click here to resend the OTP” par click kare. Isse dubara OTP send kar diya jayega.
- OTP enter karne ke baad “Confirm” wale button par click kar de.
Step 7.
Jaise hi aap confirm ke button ko click karenge aapke samne ek naya page khulega, is page me aapko 3 options diye hue honge jinse aap SBI Net Banking Login Password ko Forgot / Reset kar sakte hai.
- Using ATM Card Details
- Using Profile Password
- Without ATM Card and Profile Password
Yaha ke baad sabhi tariko ke liye branch bat jata hai. Chaliye ab in 3 tariko ke baare me detail se jaan lete hai.
1. Forgot SBI Net Banking Login Password Using ATM Card Details
Agar aap apne ATM Card ke details ka use karke Login Password ko Reset karna chahte hai to yah option aapke liye perfect hai.
- Sabse pahle upar ke “SBI Net Banking Login Password Forgot / Reset Karne Ke Common Steps” ko follow kare.
- Upar ke Step 1 to Step 7 ko follow karne ke baad 3 options me se aapko sabse pahle wale option “Using ATM Card Details” ke option ko select karna hai. Is option ko select karne ke baad wahi neeche diye gaye “Submit” button par click kare.

- Ab aap ek naya page me aa jayenge, Is page me aapko ATM card se related details jaise “Card Number, Card ki Validity, Card Holder Name, ATM PIN” bharni hai.

- Saari details bharne ke baad wahi pe ek “Proceed” ka button hoga usko click karna hai.
- Proceed ke button par click karne ke thodi der ke baad aapke samne ek naya page khulega jisme ki new pin dalne ke liye 2 box diye hue honge.

- Sabse pahle wale box me aapko apna jo bhi New Password rakhna hai usko type kar de. Ab uske neeche wale box me new password jo aapne abhi upar wale box me dala same to same enter kar de.
- New password 2 baar type karne ke baad “Submit” wale button par click kare.
- Iske baad ek new page me likha hua aayega “Your Login Password has been reset successfully” iska matlab hai aapka password successfully change ho gaya hai.

Ab aap is banaye hue New Password ka use karke apne SBI Net Banking me Login kar sakte hai.
Inhe Bhi Jane :-
- SBI New ATM Card Ka Green PIN Generate and Activate Kaise Kare ?
- SBI ATM Se Aadhaar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare ?
2. Forgot SBI Net Banking Login Password Using Profile Password
Agar aapko Profile Password yaad hai to uska use karke apne SBI Net Banking Login Password ko Forgot/Reset kar sakte hai.

Yah method filhal kaam nahi kar raha hai jiske karan abhi mai iske bare me nahi bata paunga, lekin jaise hi yah method kaam karne lagega mai yaha update kar dunga.
3. Forgot SBI Net Banking Login Password Without ATM Card and Profile Password
Agar aapke paas SBI ka ATM card nahi hai aur aap apne SBI Intenet Banking ke Profile Password ko bhul gaye hai to aap is method se apna password reset kar sakte hai. Password reset karne ke liye neeche ke steps ko follow kare.
- Sabse pahle upar ke “SBI Net Banking Login Password Forgot / Reset Karne Ke Common Steps” ko follow kare.
- Upar ke Steps 1 to Step 7 ko follow karne ke baad 3 options me se aapko sabse neeche wale option “Without ATM Card and Profile Password” ko select karna hai. Is option ko select karne ke baad wahi neeche diye gaye “Submit” button par click kare.

- Jaise hi aap submit button ko click karenge ek naya page khulega jisme aapko 2 option mil jayenge.
a. Reset your login password at Branch
b. Receive new login password by Post
First Option- ( Reset your login password at Branch )
Agar aap chahte hai ki aap apna SBI Internet Banking Login Password bank ke branch se le to iske liye aap “Reset your login password at Branch” ke option ko select kare. Is option ko select karne ke bad “Submit” button par click kare.

Agle page me aapko ek “reference number aur date” diya jayega. Is reference number aur date ko ek “reset login password form” me bharke apne branch me jama karna hoga jiske baad aapko new Login Password branch ke dwara de diya jayega.

Yah reset login password form aap isi page me “click here to download form” ke option par click karke download kar sakte hai ya phir yah form aapke bank ke branch me FREE me mil jayega.
Second Option- (Reset your login password by Post)
Agar aap apne bank ka branch nahi jana chahte hai aur aap chahte hai ki aapka SBI Internet Banking Login Password aapke address par aa jaye to iske liye aapko Second Option “Receive new login password by Post” ke option ko select karna hoga. Is option ko select karne ke bad “Submit” button par click kare.

Jaise hi aap submit button par click karenge ek new page khul jayega aur us page me aapke account ke saath registered address diya hua hoga, agar aapka address sahi hai to aapko bas neeche diye gaye “Submit” button par click karna hai

Aur agar aapko lagta hai ki yah address galat hai to aap “My Address Is Incorrect” ke option par click karke ise sudhaar sakte hai.
Submit button par click karte hi aapka request SBI ke dwara le liya jayega aur kuch din ke andar aapka SBI Net Banking Login Password aapke address par bhej diya jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI Bank Account Ka Balance Check Karne Ke 4 Aasaan Tarike.
- ATM Card Ko Use Karte Time Rakhe In Savdhaniyo Ko Yaad.
To dekha dosto aapne SBI Internet Banking Login Password ko Forgot / Reset karna kitna aasaan hai. Aap upar ke kisi bhi method jo aapko asaan lage uska use karke Password ko Reset kar sakte hai.
Ab mujhe aasha hai ki aapko aapke problem ka solution mil gaya hai aur aage jab bhi aap SBI Internet Banking Login Password ko bhul jayenge to aapko koi pareshani nahi hogi.
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Sir password banana hay example danay ki kirpa karay
Password ke liye guidelines usi ke neeche likha rahat hai . Aap agar achchhe se un guidelines ko padhenge to badi hi aasaani se password bana lenge.
Password change nahi ho rha kya karo please help me
Is process se aap apne password ko forgot kar sakte hai. Password ko change karne ke liye dusra process hai.
sir SMS ke dwara password pata Kr sakte hai kya
Nahi