
Kya aap apne SBI Registered Mobile Number Change karna chahte hai ? aur soch rahe hai ki iska process kya hai ? saath hi iske liye aapko kya-kya karna padega ? Agar “Ha” to is post ko padhte rahiye aapko sabhi sawalo ke jawab mil jayenge.
Dosto, Abhi ke time me hamara mobile number harek Bank Account me registered hona jaruri hai, jisse usme hone wale harek activity hame pata chalta rahe. Jab ham apna mobile number change kar dete hai to hame harek account me apna number Change ya Update karwa dena chahiye.
Agar aapke paas SBI ka Net Banking hai to yah kaam aap ghar baithe bhi kar sakte haio. Is post me mai isi topic “SBI Registered Mobile Number online Change kaise kare ? How to change SBI Registered Mobile Number Online In Hindi ?” par detail se jankari dene ja raha hu.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI New ATM Card Ka Green PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- SBI Internet Banking Login Password Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
SBI Registered Mobile Number Online Change Ke Liye Kya-Kya Chahiye-
Iske liye aapke paas kuch neeche di hui cheeje honi jaruri hai.
- SBI ka internet banking
- Jis SBI Account me mobile number change karna chahte hai uska ATM card.
- Dono mobile number, pahla number jo aapke account me already registered hai aur dusra number jisko aap apne account me register karna chahte hai.
Agar aapke paas ye 3 cheeje hai to aap taiyar hai.
SBI Registered Mobile Number Online Change Kaise Kare ?
Iske liye neeche ke steps ko follow kare-
Step 1.
- Sabse pahle aap SBI online banking ke official website https://www.onlinesbi.com me chale jaye.
- Is website me apna SBI ka Username aur Password enter karke Login kar le.
Step 2.
- Login karte hi aap SBI net banking ke dashboard me pahuch jayenge. Yaha par left side ke upar me “My Accounts & Profile” ka option mil jayega, uspar click kijiye.

- Click karte hi account se related bahut saare option aapko dikh jayenge, inme se aap “Profile” ya left side ke options me se “Profile” ke option par click kare.
Step 3.
Profile me click karte hi profile se related bahut saare options khul jayenge, inme se “Personal Details/Mobile” ke option par click kare.

Step 4.
Ab aapse aapke SBI Internet banking ka Profile password manga jayega. Aap yaha apna SBI Internet Banking ka Profile Password enter kar de.

Profile password enter karne ke baad “Submit” ke button par click kijiye.
Step 5.
Click karte hi ek naya page khulega jisme ki aapka Display Name, Email aur Mobile Number show hoga.
- Apna mobile number change karne ke liye diye gaye Mobile number ke right side me “Change Mobile Number-Domestic Only (Through OTP/ATM/Contact Centre)” ka option milega, uspar click kare.

- Is Option par click karne ke baad “Submit” par click kare.
Step 6.
Isme click karte hi ek naya page khul jayega, isme aapko aapka New Mobile Number enter karne ke liye bola jayega.
- Isme aap apna New Mobile Number wale dono box me apna New Mobile Number enter kar de.

- New Mobile number enter karne ke baad usi ke neeche diye gaye “Submit” ke button par click kare.
Step 7.
Submit button par click karne ke baad aapko 3 options milenge jiske through aap apna mobile number change kar sakte hai.

Inme se aap pehla wala option “By OTP on both the mobile number” ko select kare aur neeche diye gaye “Proceed” ke button par click kare.
Step 8.
- Iske baad next page khul jayega jisme ki aapke SBI me jitne bhi account honge wo saare yaha dikhayi denge, inme se aapko jis bhi account ka mobile number change karna hai us SBI Account Number ko select kare aur uske baad neeche diye gaye “Proceed” ke button par click kare.
- Click karte hi aapke samne aapne abhi jis SBI Account ko select kiya tha usme linked ATM cards ki details dikhai degi, ab aap inme se us ATM Card ko select kare jo abhi active hai.

- Apna atm card select karne ke baad neeche diye gaye “Proceed” ke button par click kare.
Step 9.
Ab next page me abhi jis ATM Card ko aapne select kiya tha uske details bharne ko bola jayega.
- Ab aap apne ATM Card ki details “Card Number, Validity, Card Holder Name & ATM PIN” enter kar de. ( Yaha usi ATM Card ka detail enter kare jiko abhi aapne select kiya tha)

- Iske baad last wale box me uske right side me diye gaye “Captcha Code” ko usme bhar de aur sabse neeche diye gaye “Proceed” ke option par click kijiye.
Step 10.
Proceed ke option par click karte hi aapke saamne “Thanks for registering Mobile Number with us. The status of your request is pending. Kindly complete the registration process according to the option selected by you.” likha hua aayega.
Yaha par aapka Internet Banking ka process khatm hota hai. Iske baad aapko dono mobile number ko verify karna padega. Verify karte hi aapka New Mobile Number aapke SBI Account ke saath link ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
- SBI Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Aasaan Tarike.
Yaha tak process complete karne ke baad SBI ki taraf se aapke dono SBI Registered Mobile Number (New aur Purane) par alag alag SMS aayenge, usme abhi aapne jo mobile number change karne ke liye request kiya tha uska 8 digit ka OTP aur 13 digit ka reference number hoga. ( Neeche Image me dekhiye)

Is OTP aur Reference number ko jo jis mobile number par aaya hai, usi mobile number se is format me ACTIVATE<Space>8 digit OTP value<Space>13 digit reference number likh kar 567676 par bhejna hoga.
For Example :- ACTIVATE 59367188 UM07011887059 likhkar 567676 par bhej de. (Yaha aapke paas jo message aaya hai usi ke hisaab se SMS bheje)

NOTE :- Is OTP ka validity 4 hours ki hoti hai. Isi karan se SMS ko 4 ghante ke andar dono SBI Registered Mobile Number (New aur Purane) se bhejna jaruri hai, agar 4 ghante ke andar nahi bhejenge to aapka request cancel ho jayega aur aapko upar ka process dubara karna padega.
Jaise hi aap dono SBI Registered Mobile Number se sms bhej denge waise hi aapke SBI account me aapka mobile number change ho jayega, aur New Mobile Number Register ho jayega. Iske baad aap apne Account se related sare Information apne New Mobile Number se le payenge.
Mujhe ummid hai ki aapko pura process achhi tarah se samajh me aa gaya hoga aur ab aap ghar baithe SBI Registered Mobile Number ko Online Change by OTP kar payenge.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI ATM Card Ka PIN Change Kaise Kare ? Step By Step jaankari
- ATM Fraud Se Bachne Ke Liye Rakhe In Savdhaniyo Ko Yaad.
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
sir mera internet banking hai usernem mial hai lekin pasward bhul gya hu to kaise pasward milega
Password ko aap forgot kar lijiye iske online process hai.
Registered mobile number change karna chahte hai
Aapke paas SBI Net Banking hai to is post me bataye tarike se change kar sakte hai. Agar nahi hai to apne bank ke branch me jaiye.
Sbi mobile number change karna
Sir Kaya kare aapke tips par Nahi ho raha hai koi dusra tips bataye
Agar aapke paas SBI ka Net Banking aur dono mobile number hai to jarur hoga. Iske baad bhi nahi ho raha hai to apne Branch me jakar change karwaiye.
Aapne kaisa website banaya hai ki mera problem solve nahi ho raha hai. Mera sbi registered number missing ho gaya hai aur mai out of state me hoon dusra number register Karna chahta hoon
Iske liye aapko SBI Ke branch me jana hoga. SBI Branch me jakar ek form fill up karke jama karna padega tab hi aapka Mobile Number change ho payega.
sir
my account phone no. is miss os change my new phone no.
For this visit your branch