
Kya aapke paas (Union Bnak Of India) UBI ka Account hai ? Agar “Ha” to kya aapne apne UBI Account ko Aadhaar Card se Link karwaya hai ? Agar “Nahi” to aapka Bank Account ko band kar diya jayega.
Bharat Sarkaar ke anusar hamare sabhi Bank Account ko Aadhar Number se link karwana hai. Agar ham aisa nahi katre hai to hamare Bank Account ko band kar diya jayega.
Agar aapke paas UBI Bank Account hai to is Post ko padhte rahiye. Is Post me mai aapko UBI Aadhar Link ka Online and Offline dono method batane ja raha hu. How to Link UBI Account To Aadhaar Number Online and Offline In Hindi.
Inhe Bhi Jaane :-
- Aapka UBI Account Aadhar Se Link Hai Ya Nahi Status Kaise Check Kare ?
- ATM Card Use Karte Time Rakhe In Savdhaniyo Ko Yaad.
UBI Account Ko Aadhaar card Se Online Link Kaise Kare ?
UBI Account ko Aadhaar Number se Online Link karwane ke liye Neeche ke Steps ko follow kare-
Step 1
- Sabse pahle UBI ke official Website www.unionbankofindia.co.in par jaaye.
- Jaise hi aap is website me jayenge aapko iske Home Page me bahut sare information dekhne ko mil jayega. Is page me aapko sabse upar aur Left Side me ek link “Link Your Aadhaar Number” mil jayega. Is link par click kare.

Step 2
Ab aap ek new page me aa jayenge, Is page me aapko ek form dikhega jisme kuch information fill up karna padega jaise:- Union Bank Account Details, Aadhaar Details, Contact Details.

Union Bank Account Details
- Isme aapko pahle line me apna 15 digit ka UBI Account Number Fill up par dena hai. ( Harek box me 3 digit )
- Dusre line me aapko dubara se apna UBI Account Number ko fill up karna hai. Taki verify ho sake ki aapne sahi Account Number fill up kiya hai.
- Third line me aapka UBI Account me jo Name hai use fill up kar dena hai.
Aadhaar Details
- Iske pahle line me apna 12 digit ka Aadhaar Number enter kar de. ( Harek box me 3 digit )
- Dusre line me dubara se apne Aadhaar Number ko enter kar de. Taki verify ho sake ki aapne sahi Aadhaar Number enter kiya hai.
- Iske third line me Aadhaar card me jo name hai use enter kar de.
Contact Details
- Isme aapko pahle line me apna Mobile Number dalna hai.
- Dusre line me apna valid Email Id enter kar de. Agar aapke paas Email Id nahi hai to yaha click karke banana sikh sakte hai.
Note :- Mobile Number and Email Id sahi sahi dale, kuki isi me confirmation message aayega.
- Ye sabhi Information fill up karne ke baad “Submit” button par click kare. ( Upar ke image me dekhe )
Step 3.
Submit par click karte hi aapke samne ” Your Union Bank Account Number and Aadhaar Number Submitted Successfully!!!” likha hua aa jayega.

Ab aapne jo detail abhi bhara tha use verify kiya jayega. Agar aapka dala hue details sahi hoga to aapke UBI Account Number ko Aadhar Number se Link kar diya jayega. Jaise hi Linking process complete ho jayega to aapke diye hue Mobile Number and Email Id me confirmation Message and Email aa jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- Aapka Bank Account Aadhar Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare ?
- SBI ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare ?
Agar aap kisi karan se apne UBI Account ko Aadhaar se Online link nahi karwa pa rahe hai to aap ise Offline bhi karwa sakte hai. Chaliye ab iske Offline process ko bhi jan lete hai.
UBI Account Ko Aadhaar Card Se Offline Link Kaise Kare ?
Iske liye aapko do cheejo ki jarurat padegi
- Aadhaar Card and Aadhaar Card ka photo copy
- Application Form For Linking Aadhaar Number To Bank Account
Yah UBI Account ko Aadhaar se Link Form aapko Union Bank Of India ke kisi bhi branch me free me mil jayega. Agar aap ise Download karna chahte hai to yaha par click karke download kar sakte hai.
Is Form ko achhi tarah se Fill Up karke, Iske saath apna Aadhar Card ka Photo Copy ko self attested karke kisi bhi UBI Branch me jama kar de. Form ko jama karne ke liye jate time apna original Aadhaar Card lekar jaye kuki verification ke liye aapse yah manga ja sakta hai. Is Form ko fill up karte time sabhi information sahi sahi likhe.
Iske baad Bank ke employee isko verify karenge aur sara information thik raha to dono ko link kar diya jayega. Jaise hi aapka UBI Account Aadhar se link ho jayega aapke Registered Mobile Number me ek confirmation message aa jayega.
To ab aap apne UBI Account ko Aadhaar Number se link karwane ka Online and Offline dono tarika jaan gaye hai. In dono me se kisi ka bhi use aap kar sakte hai, jo aapko achha aur aasaan lage.
Inhe Bhi Jane :-
- UBI ATM Card Ka PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kiase Kare ?
- BOI ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kiase Kare ?
Aapne is Post ko last tak padha yani yah Post aapko achha aur Jaankari ke layak laga. Is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.
Aap hamare saath sabhi Social Media platform me jud sakte hai jaise- YouTube, Facebook, Twitter etc hamare sabhi Social Media handles “Explain In Hindi” name se hi hai. Dhanyawad
Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”
Leave a Reply