Explain In Hindi

Banking, IGNOU, Internet And Technology Solution In Hindi

Search Post

  • Home
  • Banking
    • Banking Ki Puri Jaankari
    • United Bank Of India
  • IGNOU Student Support
  • Aadhaar Card
  • Internet
    • Security Tips
    • Tech Tips
    • Useful Tips
  • Explain Me Banking
    • Explain Me Banking Website
    • YouTube Channel

15/02/2018 By Santosh Kumar 4 Comments

UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment Kaise Kare ?

UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment Kaise Kare ?
Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 3
  •  
  •  
    3
    Shares

Agar aap Uttar Pradesh me rahte hai aur Uttar Pradesh Power Corporation Ltd. ke consumer hai aur UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment karna chahte hai to is Post ko padhte rahiye.

Dosto, Ab lagbhag sabhi state ne electricity bill online payment karne ka facility provide kar diya hai. Isi rashte me Uttar Pradesh ne bhi Uttar Pradesh Power Corporation Ltd. (UPPCL) ke saath milkar UP Electricity Bill Online Pay karne ka facility provide karwa diya hai.

Is facility se aap apna bijli bill ko Ghar Baithe online bhar sakte hai. Isse aapko Electricity Board ke office me chakkar katne se chutkara mil jayega.

Is Post me mai aapko Isi ke baare me batane ja raha hu ki kaise aap Ghar Baithe UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment kar sakte hai. UPPCL Online Electricity Bill Payment Complete Process In Hindi.

Inhe Bhi Jaane:-

  • Vehicle (Gadi) Ka TAX Ghar Baithe Online Pay Kaise Kare ?
  • India Post Office Ka Complaint / Shikayat Central Govt. Ko Kaise Kare ?
  • Aapka SIM Card Kiske Name Par Hai Kaise Pata Kare ?

Iske liye aapke paas aapka Bijli Bill ka Account Number hona jarurui hai.

Apna UP Electricity Bill Ka Account Number Kaise Jaane ?

Iske liye aap apna purana electricity bill ko nikaliye mai aapko account number dhundhne me help karta hu. aapke paas neeche dikhaye hue dono me se kisi ek type ka bijli bill hoga. Aapke paas jis bhi tarah ka bill hai us image ko dekhiye maine isme jaha Account Number rahta hai usko indicate kiya hua hai.

UPPCL Bijli Bill Account Number
UPPCL Bijli Bill Account Number

Is tarah se ab aapke paas aapka Bijli Bill Ka Account Number aa gaya hai. Ab aap taiyar hai apna bijli bill online pay karne ke liye.

UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment Kaise Kare ?

Iske liye aap Neeche ke steps ko follow kare-

Step 1.

  •  Sabse pahle aap UPPCL online bill payment wale website https://www.uppclonline.com par jaye.
  •  Iske home page me hi aapko right side me “Insta Bill Payment” ka option mil jayega. Is Option par click kare.
UPPCL Insta Bill Payment
UPPCL Insta Bill Payment

Step 2.

  •  Ab aapke samne ek page khul jayega. Is page me apna Electricity Bill ka “Account Number” enter kar de.
  •  Iske baad aapko usi ke neche ek image najar aayega jisme kuch likha hoga. Is Image me likhe letter ko usi ke samne ke box me same to same likh dijiye. ( Yah ek Captcha hai aur yah Cash sensitive hota hai isliye ise jaisa dikh raha hai usi tarah type kare)
UPPCL Online Bill Payment
UPPCL Online Bill Payment
  •  Ye dono information ko fill up karne ke baad “View” ke option par click kare.

Step 3.

Iske baad aapke samne aapka detail khul jayega. is page me aapka Name, Due Date, Account Number, Bill Amount and Payble Amount likha hoga. Yaha aap Inko check kar le Details sahi hone par “Pay Now” par click kare.

UPPCL Online Bill
UPPCL Online Bill

Step 4.

Iske baad saara detail fir se aa jayega lekin is baar inke neeche Payment Option bhi aapke samne hoga. Yaha aapko Payment ke liye Credit/Debit Card, Internet Banking, ITZ Cash(Only Meerut) ka option mil jayega. Aap jisse bhi apna Electricity Bill Pay karna chahte hai usko select kar le. Yaha mai Debit Card ke Option ko select kar raha hu.

UPPCL Online Bill Pay
UPPCL Online Bill Pay

Select karne ke baad “Submit” button par click kare.

Step 5.

Agle page me aapko ek option “Powered by TechProcess” milega isko select kar le. Iske baad is page ke sabse neeche chale jaye aur “Submit” button par click kare.

Step 6.

Ab next page me Payment Gateway khul jayega. Agar aapne bhi Credit/Debit Card ko select kiya hai to aage ka process same karna hai.

  •  Yaha aap sabse pahle Debit Card ke option ko tick kar de.
  •  Iske baad “Select” par click karke Aapka debit Card jis bhi type (VISA, MasterCard, SBI Mestrio Card, RuPay, Other Bank Mestripo) ko select kar le.
  •  Aap jo bhi option select karenge uske hisaab se uske detail fill up karne ka option aa jayega. Yaha ab aap apne Debit Card / ATM Card ke detail ko fill up kar le.
UPPCL Online Payment
UPPCL Online Payment
  •  Saare information fill up karne ke baad “PAY NOW” par click akre.

Step 7.

Ab aapke saamne ek Confirmation page aayega. Is Page me aapka payment se related saari detail likha hua hoga. Yaha aap apne details ko dekh le aur sahi hone par is step se aage badhne ke liye “Confirm” par click kare.

Step 8.

Iske baad aapne jis bhi Bank ka ATM Card / Debit Card ka use kiye hai uske taraf se aapke registered mobile number me ek OTP aayega. Us OTP ko is Page me enter kar de.

Online Bill Payment OTP Verification
Online Bill Payment OTP Verification

OTP enter karne ke baad “Submit” par click kare.

NOTE :- Kisi kisi bank me aapko ATM / Debit Card ka PIN mangega to yaha apne ATM Card ka PIN enter karke “Submit” par click kare.

Iske baad aapka Process complete ho jayega yani aapka UP Electricity Bill Online Payment ho jayega. Agle Page me aapko aapka UP Electricity Bill Online Payment se related saara detail diya hoga.

UPPCL Online Bill Payment Successful
UPPCL Online Bill Payment Successful

Aap chahe to iske receipt ko future reference ke liye Print ya Save karke rakh sakte hai iske liye “Print” par click kare. Iske baad aap is Receipt ko yaha se PDF me Save bhi kar sakte hai aur ise Print bhi kar sakte hai.

Is tarah se aap ghar baithe UPPCL Se UP Electricity Bill Online Payment kar sakte hai. Isme aapko kahi jane ki bhi jarurat nahi hai is tarah se aapke paise aur time bachne ke saath aap paresaani se bhi bach jayenge.

Mujhe ummid hai ki yah process aapko achi tarah se samajh me aa gaya hoga. Agar abhi bhi aapke man me koi question hai to hamare Comment Box me likhkar batiye.

Inhe Bhi Jaane :-

  • Apna Windows 7, 8, 10 Ka Product Key FREE Me Find Kaise Kate ?
  • Railway Reservation Counter Ticket Ko Online Cancel Kaise Katae ?
  • Mobile Me Hindi Typing Kaise Kare ?

Aapke jaise aur bhi log honge jo is problem se pareshan honge isliye is Post ko apne Friends, Family Member and Social Media me SHARE karna bilkul na bhule. SHARE karke aap dusre Jaruratmand logon ki madad karenge.

Aap hamare Newsletter ko Subscribe karke hamare New Post ki jankari FREE me paa sakte hai, Aur hamare saath jude rah sakte hai. Dhanyawad

Santosh Kumar

Mera name Santosh Kumar hai. Yah website maine banaya hai. YouTube aur Blogging mera passion hai, main in dono ki sahayta se logo ki madad karna chahta hu.
“Khush Rahe Aur Sikhte Rahe”

www.ExplainMeBanking.com

Is Post Ko SHARE Kare
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 3
  •  
  •  
    3
    Shares
  •  
    3
    Shares
  •  
  •  
  •  
  •  
  • 3
  •  

Related Posts For You:

  1. JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill (Electricity Bill) Online Pay Kaise Kare ?
  2. JBVNL Se Jharkhand Electricity Bill Online Pay Kaise Kare ?
  3. Vehicle ( Vahan, Gadi ) Ka Road TAX Online Payment / Pay Kaise Kare ?
  4. IGNOU Online Admission Complete Process In Hindi [ With Image ]

Filed Under: Useful Tips Tagged With: Bijli Bill, Electricity Bill, Online Payment, UPPCL

RECOMMENDED POST FOR YOU

ATM Se Apna Bank Balance Check Kaise Kare ?

ATM Se Apna Bank Balance Kaise Check Kare ?

Paytm Customer Care Number And Email Id

Paytm Customer Care Number And Email Id Jo 24×7 Aapki Help Karegi

JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill Online Pay Kaise Kare ?

JBVNL Mobile App Se Jharkhand Bijli Bill (Electricity Bill) Online Pay Kaise Kare ?

My Jio Cashback Coupon Voucher Ka Use Karna

My Jio Me Mile 8 Cashback Coupon Voucher Ko Use Kaise Kare ?

Railway Group D Admit Card

Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

AAPKO YAH POST PASAND AAYA

Agar Aap Chahte Hai Ki Hamare Blog Par New Post Publish Hone Par Aapko Iski Jaankari FREE Me Mil Jaye To Aap Abhi Is Blog Ke Newsletter Ko SUBSCRIBE Kar Hamare Saath Jud Sakte Hai.

Ham Aapke Email Ko Puri Tarah Se Surakshit Rakhenge.

Comments

  1. Rambharat says

    23/07/2018 at 11:17 PM

    Santosh bhai kamal ke article likhte ho. Bijli bill se samdhit jaankari share karne ke liye dhanyawad

    Reply
    • Santosh Kumar says

      28/07/2018 at 9:25 AM

      Dhanyawad

      Reply
    • Anuj singh says

      23/08/2018 at 6:11 PM

      Mere bijli ke bill pr 8 no. Ka account no. Dikha rha hai aur jb use dalta hu to invalid btata hai plzzz help me

      Reply
      • Santosh Kumar says

        29/08/2018 at 10:11 AM

        Iske liye aap apne Bijli Office me 1 baar jaiye aur iska solution puchhiye, ya fir jo meter reading lene aata hai usse puchhiye. UPPCL ke employees ko iske baare me pata rahta hai.

        Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Follow Us

Subscribe YouTube Channel

RECENT ARTICLES

  • Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
  • United Bank Of India ATM Green Pin Gerenate And Activate Kaise Kare?
  • India Post Payment Bank (IPPB) Me Ghar Baithe Account Kaise Open Kare?
  • Paytm ATM Card or Debit Card Apply Kaise Kare Through Paytm App?
  • Railway Group D Admit Card Download Kaise Kare?

Categories

  • Aadhaar Card (15)
  • Adsense (2)
  • All Posts (18)
  • Banking (42)
  • Blogging (3)
  • Earn Money (2)
  • Education (2)
  • IGNOU Student Support (38)
  • India Post Payments Bank (1)
  • Internet (12)
  • Paytm Payments Bank (1)
  • Security Tips (8)
  • Social Media (4)
  • Tech Tips (12)
  • United Bank Of India (1)
  • Useful Tips (23)
  • Youtube (5)
  • Home
  • About Us
  • Contact Us
  • Privacy Policy
  • Sitemap
  • Disclaimer
Copyright © 2021 ExplainInHindi All Rights Reserved